Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, January 10, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 202

 Only-Quran-Hadith Quiz 202

Sawal: Ghazwa e uhad ke moqe par jab log Rasool-Allah Sal-Allahu alauhi wasallam ko chorh kar idhar udhar jaane lage to ek sahabi aise bhi they jo Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki dhaal ban kar unhe dushman ke teero se bachate rahe aur agar koi shakhs tarkash liye huye guzarta to Aap Sal-Allahu alaihi wasallam farmate ke iske teer unko de do, un khushnaseeb sahabi ka kya naam tha ?

A. Jafar Al-tayyar Radi allahu anhu
B. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu
C. Abu talha Radi Allahu Anhu
D. Musaib bin umair Radi Allahu anhu
E. inme se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------
Quiz: On the day of the battle of Uhud, the people ran away, leaving the Prophet () , on that time A sahabi was shielding the Prophet () with his shield in front of him and and If any man passed by carrying a quiver full of arrows, the Prophet () would say to him, Empty it in front of him, who was that sahabi ?
A. Jafar Al-tayyar Radi allahu anhu
B. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu
C. Abu talha Radi Allahu Anhu
D. Musaib bin umair Radi Allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab C. Abu talha Radi Allahu Anhu
------------
Anas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Ghzwa e Uhad ke din jab log radi allahu anhu Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko chorh kar idhar udhar jaane
 
lage to Abu talha Radi allahu anhu us waqt apni ek dhaal (shield) se Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki hifazat kar rahe they , Hazrat Abu talha radi allahu
 
anhu bade teerandaaz they aur khub achchi tarah teer chalaya karte they ,us din unhone do ya teen kamanein (bows) tod di us waqt agar koi shakshtarkash liye
 
huye guzarta to Aap Sal-Allahu alaihi wasallam farmate ke iske teer Abu talha ko de do, Jab Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam jung ka haal maloom karne ke liye
 
thoda upar uth kar dekhte to Abu talha radi allahu anhu arz karte Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam mere maa baap aap par Qurban ho is tarah aap
 
upar uth kar mulahiza na farmaye kahi koi teer aapko na lag jaye , mera seena Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ke seene ki dhaal bana raha
 
Sahih Al-Bukhari, Jild 5, 3811
------------
Narrated Anas Radi Allahu anhu On the day of the battle of Uhud, the people ran away, leaving the Prophet (
) , but Abu- Talha Radi Allahu anhu was 
shielding the Prophet (
) with his shield in front of him. Abu Talha was a strong, experienced archer who used to keep his arrow bow strong and well 
stretched. On that day he broke two or three arrow bows. If any man passed by carrying a quiver full of arrows, the Prophet (
) would say to him, "Empty it 
in front of Abu Talha. When the Prophet (
) stated looking at the enemy by raising his head, Abu Talha said, "O Allah's Prophet! Let my parents be 
sacrificed for your sake! Please don't raise your head and make it visible, lest an arrow of the enemy should hit you. Let my chest be wounded instead of
 
yours.
Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 156


No comments:

Post a Comment