Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, January 15, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 247


 Only-Quran-Hadith Quiz 247



Sawal: Qayamat se pahle Dabbat Al Ard (zameen ka jaanwar) niklega jo insano se baat karega, iski dalil Quran ke kaunsi surah mein hai ?



A. Surah Al-Baqarah

B. Surah An-Naml

C. Surah Fussilat

D. Surah Al Anbiya

E. Imein se koi nahi

F. Sahih Jawab ka intezar hai
---------

Quiz : Before Qayama , Allah wil bring bring out from the earth a beast who will speak to the human,
in which Surah in Quran Allah has mentioned abount that beast ?

A. Surah Al-Baqarah

B. Surah An-Naml

C. Surah Fussilat

D. Surah Al Anbiya

E. None of the above

F. I want to know




Sahih jawab B. Surah Naml

-----------

Bismillahirrahmanirrahim

وَإِذَا وَقَعَ الْقَوْلُ عَلَيْهِمْ أَخْرَجْنَا لَهُمْ دَابَّةً مِّنَ الْأَرْضِ تُكَلِّمُهُمْ أَنَّ النَّاسَ كَانُوا بِآيَاتِنَا لَا يُوقِنُونَ
---------
Aur jab unke (nafarmano ke) baare mein (azab ka) wada pura ho jayega to hum unke liye zameen mein se ek jaanwar nikalenge jo unse bayan kar dega

isliye ki ye log hamari aayaton par imaan nahi laate they
Surah An Naml (27) , Aayat 82
-----------
And when the Word (of torment) is fulfilled against them, We shall bring out from the earth a beast for them, to speak to them because mankind believed not with certainty in Our Ayat .
Surah An Naml (27) , Aayat 82
----------------------
Tafseer ibn kathir: ye janwar aakhri zamane mein zahir hoga jab log deen ko bilkul chorh denge wo logo se baat karega aur ibn abbas radi allahu anhu ka qaul hai ki wo logo ko zakhmi bhi karega.
ek rivayat mein hai ki ye dabbat al ard jaanwar teen baar niklega ,jisme se do baar wo makka se dur kahi jungel mein zahir hoga aur maka ke logo ko uski khabar nahi hogi magar teesri baar wo masjid haram mein kaba ke andar rukn aur maqam ke darmiyan zahir hoga aur aone sir se mitti jhaad raha hoga log usko dekh kar idhar udhar bhagne lganege ye momeeno ki jamaat ke paas jayega aur unke chehro ko roshna kar dega aur kafiro ki peshani par muhar laga dega jis se momeeno aur kafiro mein farq malum ho jayega


No comments:

Post a Comment