Only-Quran-Hadith Quiz 223
Sawal: Wo kaunsi Sahabiya thi jo Rasol-Allah salalahu alaihi wasallam ka
paseena mubarak barkat ke liye istemal kiya karti thi ?
A. Umm Hani Radi Allahu anha
B. Umm Atiyah Radi Allahu anha
C. Umm Sulaim Radi Allahu anha
D. Umm Habiba Radi Allahu anha
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
------------
Quiz: What is the name of that woman
companion who used to collect the sweat of Prophet salalahu alaihi wasallam for
the blessing ?
A. Umm Hani Radi Allahu anha
B. Umm Atiyah Radi Allahu anha
C. Umm Sulaim Radi Allahu anha
D. Umm Habiba Radi Allahu anha
E. None of the above
F. I want to know
Sahi Jawab C. Umm Sulaim Radi Allahu
anha
( Anas radi allahu anha ki walida)
-----------------
✦ Mafhum-e-Hadith : Rasool-Allah
Sallallahu Alaihi wasallam ka paseena mubarak
✦ Anas Radi Allahu Anhu ne farmaya (Unki
walida) Um Sulaim Radi Allahu Anha Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye chamdey ka farsh bicha deti thi aur
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam isi par Qailulla kartey ( yani din ke waqt thoda
sa sote ) they phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam so gaye to Umm sulaim
Radi Allahu Anha ne Aapka paseena aur baal le liye aur is ko (paseene ko) ek
sheeshi mein jama kar diya aur phir Suk ko ( ek tarah ki khushbu ko) usme mila
diya phir jab Anas bin malik Radi Allahu Anhu ki wafat ka waqt kareeb aaya to
unhone waseeyat ki, ke is suk ( jismein Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam
ka paseena mila hua tha) ko unke hanut ( ek tarah ki khhushbu jo Mayyat par
lagate hain) mein mila diya jaye
Sahih Bukhari, Vol 7, 6281
✦ Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu
Alaihi wasallam (unki walida) umm sulaim Radi Allahu Anha ke ghar jaate aur
unke bichone par sote they jab wo waha nahi hoti, ek din aap Sallallahu Alaihi
wasallam tashrif laye aur unke bichone
par so rahe wo aayee to logo ne ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
tumhare ghar mein bichone par so rahe hain ye sun kar wo aayee aur dekh ki
aapko paseena aaya hua hai aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ka paseena chamdey ke bichone par jama ho
gaya hai, umm suaim Radi Allahu Anha ne
apna dibba khola aur paseene ko puch kar seeshiyon mein bharne lagi
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ekdam se uth gaye aur farmaya ye kya
kar rahe ho ?, umm sulaim Radi Allahu Anha ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu
Alaihi wasallam humne ye (aapka paseena ) apne bachcho ke barkat ke liye liya
hai Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne
farmaya tumne thik kiya
Sahih Muslim, Jild 5, 6056
No comments:
Post a Comment