Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, January 16, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 255

 Only-Quran-Hadith Quiz 255 


Jawab ek se zyada sahih ho to is tarah dijiyega ACD, BCDE etc


Sawal : inmein se kaun kaun se kaam Marhum rishtedar (Dead) ki taraf se kiye ja sakte hain ?

A. Roza

B. Sadqa

C. Hajj

D. Namaz 

E. Umrah

F. Sahi jawab ka intezar hai
-------
If more than one ans is correct then reply like this ACD, BCDE etc

Quiz: Among below which work can be done behalf of dead relatives?

A. Fasting

B. Sadqa

C. Hajj

D. Salah (prayer) 

E. Umrah

F. I want to know



Sahi jawab ABCE

Marhum (dead) ki taraf se roze , sadqa aur hajj , umrah ki dalil

Ibn Abbasa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur farmaya ki meri bahan ka inteqal ho gaya hai aur uskey zimme do maah ke rozey they Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya batao agar tumhari bahan ke zimmey qarz hota to to kya tum ada karti? To usney kaha ki kyun nahi jarur to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Allah ka haq us sey zyada hai ki Ada kiya jaye
 
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1758-Sahih
 

Hazrat buraidah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Aurat Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur arz kiya ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam meri walida ke zimmey rozey they aur unka inteqal ho gaya kya main unki janib se rozey rakh lu ? Farmaya haan
 
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1759-Sahih
 

Ayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki ek shaksh aaya aur usney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha ki meri Maa achabak mar gayee aur waseeyat na kar saki, agar wo bolti to jarur sadqa deti, ab agar main Uski taraf se sadqa du to kya usey Sawab hai ? Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN
 
Sahih Muslim, Vol 3, 2326
 

Abdullah bin Buraidah radi allahu anhu se rivayat hai ki ek aurat Rasool-Allah Sal-Alalahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur arz kiya ki meri maa ka inteqal ho chuka hai aur unhone hajju nahi kiya hai kya main unki taraf se hajj kar sakti hu ,Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum unki taraf se hajj karo
Jamia Tirmizi, Jild 1, 914-Sahih

Note : jab Hajj karte hain to usmein Umrah bhi hota hai ..isliye umrah bhi kar sakte hain
 
-----------------
https://islamqa.info/en/142234 

https://islamqa.info/en/95220
-------------
It was narrated that Ibn Abbas Radi Allahu Anhu A woman came to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: O Messenger of Allah, my sister has died and she owed a fast of two consecutive months.’ He said: ‘Do you not think that if your sister owed a debt, you would pay it off for her?’ She said: ‘Of course.’ He said: ‘The right of Allah is greater.
 
Sunan ibn Majah, Book 7, 1758-Sahih
 

It was narrated from Ibn Buraidah that his father said A woman came to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam and said: O Messenger of Allah, my mother has died and she owed a fast. Should I fast on her behalf?’ He said: ‘Yes.’”
 
Sunan ibn Majah, Book 7, 1759-Sahih

Aisha Radi Allahu Anha said that A person came to the Apostle of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam and said: My mother died suddenly without having made any will. I think she would have definitely given Sadaqa if she had been able to speak. Would she have a reward if I gave Sadaqa on her behalf? He Sallallahu Alaihi Wasallam said: Yes.
 
Sahih Muslim, Book 005, 2196

Abdullah bin Buraidah narrated from his father who said: "A woman came to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam and said: 'My mother died and she did not perform Hajj should I perform Hajj on her behalf?' He said: 'Yes, perform Hajj on her behalf.'"
Jamia tirmizi, Book 4, 929

https://islamqa.info/en/142234

https://islamqa.info/en/95220


No comments:

Post a Comment