Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, October 15, 2012

Hadith: Tum logon ko kamzor maazur logon ki duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai.


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Tum logon ko kamzor maazur logon ki duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai.
------------
✦ Abu darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Mere liye , kamjor logon ko talash karo kyunki tumhey unhi ki wajah se rozi milti hai aur unhi ki wajah se tumhari madad ki jati hai
Sunan Abu Dawud, Jild 2, 822-Sahih

✦ Mus'ab bin Sad Radiallahu anhu  se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Tum logon ko kamzor maazur logon ki duaaon ki wajah se (Allah ki taraf se) madad aur Rizq diya jata hai.
Sahih Bukhari, Jild 4, 2896
------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: میرے لیے ضعیف اور کمزور لوگوں کو ڈھونڈو، کیونکہ تم اپنے کمزوروں کی وجہ سے رزق دیئے جاتے اور مدد کئے جاتے ہو ۔
سنن ابو داوود جلد ٢ حدیث ٨٢٢-صحیح 

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ تم لوگوں کو صرف اپنے کمزور اور معذور لوگوں کی دعاؤں کی وجہ سے  اللہ کی طرف سے مدد اور  رزق دیا  جاتا ہے 
صحیح بخاری، جلد ٤،حدیث  ٢٨٩٦ 
----------
✦  रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया मेरे लिए , कमजोर लोगों को तलाश करो क्यूंकी तुम्हे उन्ही की वजह से रोज़ी मिलती है और उन्ही की वजह से तुम्हारी मदद की जाती है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 2, 822-सही

✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया तुम लोगों को कमज़ोर और माज़ूर लोगों की दुआओं की वजह से (अल्लाह की तरफ से) मदद और रिज़क़ दिया जाता है.
सही बुखारी, जिल्द 4, 2896
---------------------------

✦ Hadith : You gain victory or livelihood through the blessings and invocations of the poor amongst you.
-----------
✦ Narrated AbudDarda Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Seek for me weak persons, for you are provided means of subsistence and helped through your weaklings.  
Sunan Abu Dawud, book 14, 2588

✦ Narrated Mus'ab bin Sad Radiallahu anhu  The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "You gain victory or livelihood through the blessings and invocations of the poor amongst you."
Sahih Bukhari, Book 52, No. 145



Hadith: jab tum mein se koi Juma ki Namaz parh chukey to usey chahiye ki uskey baad Chaar rakaat Namaz Ada karey

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi Juma ki Namaz parh chukey to usey chahiye ki uskey baad Chaar rakaat Namaz Ada karey
Sunan Nasaii Vol1, 1429 -Sahih

Hazrat tameem dari Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya bandey se Qayamat ke Roz sabse pahley namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uskey Nawafil alag se likh diye jayengey aur agar usney namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apney farishton se farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye jo faraaeez usney zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga
Sunan Ibn Majah, Vol1, 1426-Sahih
--------------------------------


अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब तुम में से कोई ज़ूमा की (फ़र्ज़) नमाज़ पढ़ चुके तो उसे चाहिए की उसके बाद चार रकात नमाज़ अदा करे

सुनन नसाई जिल्द 1, 1429-सही

✦ हज़रत तमीम दारी रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया बंदे से क़यामत के रोज़ सबसे पहले नमाज़ का हिसाब होगा अगर उसकी नमाजें पूरी होंगी तो उसके नवाफिल अलग से लिख दिए जाएँगे और अगर उसने नमाजें पूरी नही की होंगी तो अल्लाह सुबहानहु अपने फरिश्तों से फरमाएगा देखो क्या मेरे बंदे के पास नवाफिल हैं ? तो उन नवाफिल के ज़रिए जो फराईज़ उसने ज़ाया कर दिए उनकी तकमील कर दो फिर बाक़ी आमाल का हिसाब भी इसी तरह होगा
सुनन इब्न माजा, जिल्द 1, 1426 सही

--------------------------------
Narrated by Abu Hurairah The Prophet Peace be upon him Said When any one of  you prays Jumu'ah, let him pray four (Rak'ahs) after that.
Sunan Nasaii, Vol 1, 1427-Sahih

 It was Narrated from tamim dari may ALLAH be pleased with him that the Prophet Peace be upon him said The first thing for which A person will be brought to a account on the Day of Resurrection will be his prayer (Salah) . If it is complete then the voluntary ( Nawafil) prayer will also be recorded for him (As an increase) If it is not complete then Allah will say to his Angels Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave and take them to make up what is lacking from his obligatory ( farz) prayers then All his deeds will be recokened in like manner ( Sahih) 
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426 -Sahih

Friday, October 12, 2012

Hadith: Jisney hum par hathyar uthaya wo hum mein se nahi hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Jisney hum par hathyar uthaya wo hum mein se nahi hai

Narrated Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever takes up arms against us, is not from us."
Sahih Bukhari,Vol9, Book88, Number 190: 

Our Lord! Forgive us and our brothers who have preceded us in Faith, and put not in our hearts any hatred against those who have believed. Our Lord! You are indeed full of kindness, Most Merciful.
Al Quran: Surah Al hashr , verse 10
------------------------------------------------

Hazrat Abdullah bin umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu-alaihi-wasallam ne faramaya jisney hum par hathyar uthaya wo hum mein se nahi hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 7070

Ya Rab, Hamarey aur hamrey Bhaeeyo ke jo humse pahley Imaan laye hain ke gunaah Maaf farma aur momeeno ki taraf se Hamarey Dil mein Keena (Hasad) paida na hone de, Ya Rab tu bada shafqat karney wala aur meharbaan hai
Al Quran: Surah Al hashr , verse 10

Hadith: Allah Subhanahu haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

 Hadith:  Allah Subhanahu Haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey

AbulMalih  Radi Alllahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya Allah Taala haraam Maal se diya hua Sadqa Qubul nahi farmatey aur na hi bina paki ke Namaz (Qubul farmatey hain).
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 59

-----------------------------------------------------------------------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ حرام مال سے کوئی صدقہ قبول نہیں کرتا، اور نہ ہی بغیر وضو کے کوئی نماز ۔ 
سنن ابی داؤد جلد ۱ ۵۹ صحیح
__________________


Narrated AbulMalih  Radi Alllahu Anhu  : The Prophet peace_be_upon_him  said: ALLAH does not accept charity from goods acquired by embezzlement as He does not accept prayer without purification. 
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0059


Hadith: Qayamat ke din mere sabse ziyada nazdeek wo log hongey jo mujh par kasrat se Durud bhejtey hain


Bismillah Hir-rahman Nir-rahim 

Abdullah bin masood radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din mere sabse ziyada nazdeek wo log hongey jo mujh par kasrat se Durud bhejtey hain
Jamia Tirmidhi , Vol 1, # 466

--------------------------------------------------------
Narrated by Abdullah bin masood may ALLAH be pleased with him The Prophet peace be upon him said On the day of Qiyamah the person closest to me will be the one who has sent the most Durood unto me. 
Jamia Tirmidhi, Vol1 #466

اللَّهُـمّ صَــــــلٌ علَےَ مُحمَّــــــــدْ و علَےَ آل مُحمَّــــــــدْ
Allahumma salli ala muhammadiw wa ala aali muhammed

Hadith: Eh Allah main teri panaah maangta hun, teri NAIMATON ke zawal se


Abdullah bin umar Radi allahu anhu se rivayat hai ki  Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ki dua ye thi :  Ya Allah main Panaah maangta hun teri Naimat ke zawal se, aur teri di huyee Aafiyat aur sehat ke palat janey se ,aur tere naaghani Azab se , aur  sab tere ghazab (gussey) waley kaamon se.

Sahih Muslim , 6943
Sunan Abu Dawud , Vol 1, 1532 


 ---------------------------------------------------
Abdullah b. Umar Radi allahu anhu reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) supplicated in these words:" O Allah, I seek refuge in Thee from the withdrawal of Thine blessing and the change of Thine protection (from me) and from the sudden wrath of Thine, and from every displeasure of Thine."




A Very Nice Dua


Thursday, October 11, 2012

Hadith: Eh Allah tu maaf karne wala, karam karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai


Dua:
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ كَرِيمٌ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Allahumma innaka 'afuwwun kareemun tuhibbul 'afwa fa'fu 'anni

Eh Allah tu maaf karne wala, karam karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai so mere gunaah maaf farma de.Sunan Ibn majah, Vol3, 731
----------------------------------------------------------------
اے اللہ تو معاف کرنے والا ہے اور معافی کو پسند کرتا ہے تو تو مجھ کو معاف فرما دے ۔
--------------------

O Allah! You are the One who pardons, The Most Generous; You love to pardon, so pardon me
Sunan Ibn majah, Vol5, 3850

Hadith: Dua ibadat hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Hadith: Dua Ibadat hai 

Nu'man ibn Bashir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Dua Ibadat hai aur tumharey Rab ka farman hai mujhse dua karo mein Qubul karunga
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1466

----------------------------------------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: دعا عبادت ہے ۱؎، تمہارا رب فرماتا ہے: مجھ سے دعا کرو، میں تمہاری دعا قبول کروں گا 
----------

Narrated An-Nu'man ibn Bashir: The Prophet (peace_be_upon_him) said: Supplication (du'a') is itself the worship. (He then recited:) "And your Lord said: Call on Me, I will answer you"
Sunan Abu Dawud, Vol 1 , 1474


Hadith: Mainey jannat mein Ek Shaksh ko Mazey kartey huye dekha…



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Hadith: Mainey jannat mein Ek Shaksh ko Mazey kartey huye dekha…

Mainey jannat mein Ek Shaksh ko Mazey kartey huye dekha jisney ek darakht ko raah mein se kaat diya tha
 jis sey logon ko takleef hoti thi

Sahih Muslim, vol 6, 6671
---------------------------------------------
Abu Huraira reported Allah's Messenger may peace be upon him as saying that I saw a person enjoying himself in paradise because of the tree that he cut from the path which was a source of inconvenience to the people. 

Sahih Muslim, Book #032, #6341

Tuesday, October 9, 2012

Mafhum-e-Hadith : Jumaa ke din Ziayda se ziyada durud Parha karo


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

 Mafhum-e-Hadith : Jumaa ke din Ziayda se ziyada durud Parha karo
(On the day fo Friday , invoke more blessings on Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam )

Abu darda radi allahu anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha Ya Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara Durud  Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai.
Sunan Abu Dawud,  Vol 1 , 1035-Sahih


हज़रत औस बिन औस रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया तुम्हारे तमाम दिनों में ज़ूमा का दिन सबसे अफ़ज़ल है की इस दिन हज़रत आदम अलैहि सलाम को पैदा किया गया और 
उसी दिन उनकी रूह क़ब्ज़ की गयी और इसी दिन सूर फूँका जाएगा और इसी दिन सब बेहोश होंगे इसलिए इस रोज़ (ज़ूमा को) मुझ पर ज़ियादा से ज़ियादा दुरुद भेजा करो क्यूंकी तुम्हारा दुरुद पढ़ना मुझ पर पेश किया जाता है, लोगों ने कहा या रसूल-अल्लाह सलल्लाल्हू अलैहि वसल्लम हमारा दुरुद पढ़ना आप पर किस तरह से पेश होगा जबकि आप तो मिट्टी हो गये होंगे,तो आप सलल्लाल्हू अलैहि वसल्लम ने फरमाया अल्लाह ताला ने अम्बिया कराम के जिस्म को मिट्टी पर हराम कर दिया है. 
सुनन अबू दावूद जिल्द 1,1035 - सही


English Translation:

Hadith:  On the day of Friday , invoke more blessings on Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam

The Prophet (peace_be_upon_him) said: Among the most excellent of your days is Friday; on it Adam was created, on it he died, on it the last trumpet will be blown, and on it the shout will be made, so invoke more blessings on me that day, for your blessings will be submitted to me. The people asked: Apostle of Allah, how can it be that our blessings will be submitted to you while your body is decayed? He replied: Allah, the Exalted, has prohibited the earth from consuming the bodies of Prophets.
Sunan Abu Dawud, Book 3, Number 1042-Sahih

Hadith: Jumaa ki namaz ko 3 tarah le log aatey hain





Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Jumaa ki namaz ko 3 tarah le log aatey hain
(
Three types of people attend Friday prayer)

Abdullah ibn Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Jumaa mein 3 tarah ke log aatey hain, ek to wo jo waha aakar behuda baat karey, uska hissa yahi hai (yani usko kuch sawab na milega) aur dusra wo hai jo wahan aakar Allah Subhanahu se Dua karey agar Allah chahega to uski Dua Qubul karega aur chahega to nahi karega, aur teesra wo hai jo wahan aakar khamoshi se baith jaye na logon ki gardanein faand kar (over the neck) aagey badey aur na kisi ko takleef pahuchaye to uska ye amal is jumaa se lekar agli jumaa tak bulki aur teen deen ziyada tak ke liye gunaahon ka kaffara ban jayega, kyunki Allah subhanahu ka irshaad hai ki jo shaksh ek neki karta hai usko 10 gunaa sawab milega
Sunan Abu Dawud, 1101-Hasan

 अब्दुल्लाह इब्न उमर रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया ज़ूमा में 3 तरह के लोग आते हैं, एक तो वो जो वहां आकर बेहूदा बात करे, उसका हिस्सा यही है (यानी उसको कुछ सवाब ना मिलेगा) और दूसरा वो है जो वहाँ आकर अल्लाह सुबहानहु से दुआ करे अगर अल्लाह चाहेगा तो उसकी दुआ क़ुबूल करेगा और चाहेगा तो नही करेगा, और तीसरे  वो है जो वहाँ आकर खामोशी से बैठ जाए ना लोगों की गर्दनें फाँद कर आगे बड़े और ना किसी को तकलीफ़ पहुचाए तो उसका ये अमल इस ज़ूमा से लेकर अगली ज़ूमा तक बल्कि और तीन दिन ज़ियादा तक के लिए गुनाहों का कफ़्फ़रा बन जाएगा, 
क्यूंकी अल्लाह सुबहानहु का इरशाद है की जो शख्स एक नेकी करता है उसको 10 गुना सवाब मिलेगा

सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1 ,1101-हसन

Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As: The Prophet peace_be_upon_him said: Three types of people attend Friday prayer; One is present in a frivolous way and that is all he gets from it; another comes with a supplication, Allah may grant or refuse his request as He wishes; another is present silently and quietly with-out stepping over a Muslim or annoying anyone, and that is an atonement for his sins till the next Friday and three days more, the reason being that Allah, the Exalted, says: "He who does a good deed will have ten times as much" .
Sunan Abu Dawud, Book 3, 1108-Hasan

Hadith: Dhoka Deney walo ke liye Qayamat ke din ek Jhanda (flag) hoga


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Dhoka Deney walo ke liye Qayamat ke din ek Jhanda (flag) hoga


Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Dhoka Deney walo ke liye Qayamat ke din ek Jhanda (flag) hoga jiskey jariye wo pahchana jayega.(ki ye dhokeybaz hai)

Sahih Bukhari, Vol 8, 6966

----------------------------------------------------------------------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”ہر دھوکہ دینے والے کے لیے قیامت کے دن ایک جھنڈا ہو گا جس کے ذریعہ وہ پہچانا جائے گا۔“ 


------------------

Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam   said, "For every betrayer there will be a flag by which he will be recognized on the Day of Resurrection (that he is a betrayer)

Hadith: wo (Fitney) baarish ke qatron ki tarah tumharey gharon mein dakhil ho rahey hain


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: wo (Fitney)  baarish ke qatron ki tarah tumharey gharon mein dakhil ho rahey hain

Ma'qil bin Yasar Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallaho alaihey wasallam ne farmaya Fasaad aur fitney ke waqt Ibaadat karney ka sawab aisa hai jaisey mere paaas(meri taraf) Hijrat karney ka. 
Sahih Muslim, 7400 

Usama bin Zaid Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya main fitno ko dekhta hu ki wo baarish ke qatron ki tarah tumharey gharon mein dakhil ho rahey hain
Sahih Bukhari, 7060


اللَّهُمَّ  إِنِّي  َأَعُوذ بِك مِنْ فِتْنَة الْمَحْيَا وَالْمَمَات
“Allahumma inni Awuzubika min fitnatil mahya wal mamaat”
Ya Allah main teri panaah chahta hu Zindagi aur maut ke fitno se.
___________________________

آ پ صلی الله علیه وسلم نے فرمایا: فساد اور فتنہ کے دوران میں عبادت ( پر توجہ مرکوز ) کرنا،میری طرف ہجرت کرنے کی طرح ہے۔ 
صحیح مسلم ۷۴۰۰

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم مدینہ کے ٹیلوں میں سے ایک ٹیلے پر چڑھے پھر فرمایا کہ میں جو کچھ دیکھتا ہوں تم بھی دیکھتے ہو؟ لوگوں نے کہا کہ نہیں۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میں فتنوں کو دیکھتا ہوں کہ وہ بارش کے قطروں کی طرح تمہارے گھروں میں داخل ہو رہے ہیں۔ 

صحیح بخاری  ۷۰۶۰

Hadith: Bukhar jahannam ki bhaap ke asar se hota hai…


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Bukhar jahannam ki bhaap ke asar se hota hai…



Aisha Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bukhar  jahannam ki bhaap (heat) ke asar se hota hai isey paani se thanda kiya karo  
Sahih Bukhari, 3263
---------------------------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”بخار جہنم کی بھاپ کے اثر سے ہوتا ہے اسے پانی سے ٹھنڈا کر لیا کرو۔“
صحیح بخاری ۳۲۶۳

-------------------------------------------------------------------------

 Narrated Aisha Radi allahu anha: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Fever is from the heat of the (Hell) Fire, so cool it with water." 

-----------------------------------------------------------------------------
Dua-e-Shifa


اللهم رب الناس، مذهب البأس، اشف أنت الشافي، لا شافي إلا أنت، شفاء لا يغادر سقماً
(Allahumma Rabbin nas Mudhabal ba'sa, ashfi , anta shafee, la Shaafi illa Anta, shifa'a  la yughadiru saqma)

O Allah! The Lord of the people, the Remover of trouble! (Please) cure (Heal) , for You are the Healer. None brings about healing but You; a healing that will leave behind no ailment.  - Sahih Bukhari , Book #71, Hadith #638

Translation: Eh Allah logon ke Rab , Takleef  ko dur karney waley,Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai,aisee shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahey.
Sahih Bukhari, 5742

Hadith: Maut ko bhi Zabah kar diya jayega phir kabhi Maut nahi Aayegi


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Maut ko bhi Zabah kar diya jayega phir kabhi Maut nahi Aayegi

Ibn Umar Radi Allahu Anhu anhuma se rivayat hai ki jab Ahal-e-jannat jannat mein chale jayengey aur jab Ahal-e-Dozakh Dozakh mein chaley jayenagey to Maut ko laya jayega aur usey Jannat aur Dozakh ke darmiyan rakh kar Zabah kar diya jayega phir ek Aawaz dene wala Aawaz dega ki Eh jannat walo tumhey ab Maut nahi aayegi aur EH Dozakh walo tumhey bhi ab Maut nahi aayegi is baat se jannati aur ziyada khush ho jayengey aur Jahannami aur ziyada gamgeen ho jayengey
Sahih Bukhari, Vol8, 6548


Narrated Ibn 'Umar Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "When the people of Paradise have entered Paradise and the people of the Fire have entered the Fire, death will be brought and will be placed between the Fire and Paradise, and then it will be slaughtered, and a call will be made (that), 'O people of Paradise, no more death ! O people of the Fire, no more death ! ' So the people of Paradise will have happiness added to their previous happiness, and the people of the Fire will have sorrow added to their previous sorrow."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, Number 556


Hadith : Suraj aur chand mein Grahan (eclipse) dekho to Namaz Parha karo aur Dua kartey raho



Bismillah hirrahman nirrahim

Hadith : Suraj aur chand mein Grahan (eclipse) dekho to 
Namaz  Parha karo aur Dua kartey raho

Abu Bakra Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Suraj aur chand  dono Allah Subhanahu ki nishaniya hai aur  Kisi ki  wajah se inmein Grahan (eclipse) nahi lagta bulki Allah subhanahu uskey zariye apney bando ko darata hai
Sahih Bukhari, Vol2, 1048



Abu Bakra Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ki khidmat mein hazir they ki Suraj ko graham lagna shuru ho gaya Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam maszid mein gaye saath mein mein hum bhi gaye Aapney humein Do rakaat namaz parhayee yahan tak ki suraj saaf ho gaya phir Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam   ne farmaya Suraj aur chand mein Kisi ki maut ki wajah se grahan (eclipse) nahi lagta jab tum grahan  dekho to Namaz parho aur  Dua kartey raho jab tak Grahan chala na jaye
Sahih Bukhari, Vol2, 1040

-----------------------------------------------------------------------


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا سورج اور چاند دونوں اللہ تعالیٰ کی نشانیاں ہیں اور کسی کی موت و حیات سے ان میں گرہن نہیں لگتا بلکہ اللہ تعالیٰ اس کے ذریعہ اپنے بندوں کو ڈراتا ہے۔
صحیح بخاری جلد ۲ ۱۰۴۸



ابو بکرہ  رضی اللہ عنہ نے کہ ہم نبی کریم  صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں حاضر تھے کہ سورج کوگرہن لگنا شروع ہوا ۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم ( اٹھ کر جلدی میں ) چادر گھسیٹتے ہوئے مسجد میں گئے ۔ ساتھ ہی ہم بھی گئے آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے ہمیں دو رکعت نماز پڑھائی تاآنکہ سورج صاف ہو گیا ۔ پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ سورج اور چاند میں گرہن کسی کی موت و ہلاکت سے نہیں لگتا لیکن جب تم گرہن دیکھو تو اس وقت نماز اور دعا کرتے رہو جب تک گرہن کھل نہ جائے ۔

صحیح بخاری جلد ۲ ۱۰۴۰

---------------------


Narrated Abu Bakra Radi Allahu Anhu Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said: "The sun and the moon are two signs amongst the signs of Allah and they do not eclipse because of the death of someone but  Allah frightens His devotees with them."
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 18, Number 158:

Narrated Abu Bakra Radi Allahu Anhu : We were with Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam when the sun Eclipsed. Allah's Apostle stood up dragging his cloak till he entered the Mosque. He led us in a two-Rakat Prayer till the sun (Eclipse) had cleared. Then the Prophet Peace be upon him  said, "The sun and the moon do not Eclipse because of someone's death. So whenever you see these Eclipses pray and invoke (Allah) till the Eclipse is over."
Sahih Bukhari, Book
#18, Hadith #150



Eclipse Prayer :
Narrated Asma' bint Abi Bakr Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam once offered the Eclipse Prayer. He stood for a long time and then did a prolonged bowing. He stood up straight again and kept on standing for a long time, then bowed a long bowing and then stood up straight and then prostrated a prolonged prostration and then lifted his head and prostrated a prolonged prostration. And then he stood up for a long time and then did a prolonged bowing and then stood up straight again and kept on standing for a long time. Then he bowed a long bowing and then stood up straight and then prostrated a prolonged prostration and then lifted his head and went for a prolonged prostration. On completion o the Prayer, he said, "Paradise became s near to me that if I had dared, I would have plucked one of its bunches for you and Hell became so near to me that said, 'O my Lord will I be among those people?' Then suddenly I saw a woman and a cat was lacerating her with it claws. On inquiring, it was said that the woman had imprisoned the cat till it died of starvation and she neither fed it no freed it so that it could feed itself."
Sahih Bukhari, Book
#12, Hadith #712

Mafhum e hadith: Logo ne pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum Aap par kis tarah durud bheja karein






Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum e hadith: Logo ne pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum Aap par kis tarah durud bheja karein

Abu Humaid As-Sa'idi Radiallahu anhu se rivayat hai ki logo ne pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum Aap par kis tarah durud bheja karein Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  kaho

اللــــــــهم صل على محمد وعلى آل محمد  كما صليت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم  إنك حميد مجيد
  .اللـــــــهم بارك على محمد وعلى آل محمد  كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد


Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
Sahih Bukhari,  3369


Ya Allah Rahmat nazil farma Mohammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par aur Aal-e-Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par, Jaise tu ne Rahmat nazil farmaaiyee hain Ibrahim Alaih salaam par aur Aulad e Ibrahim Alaih salaam par...Beshak Tu bade Rehmat Wala aur Badi Buzoorgi Wala hai
Ya Allah barkaat nazil farma Mohammad(Sallallaahu Alayhi Wasallam) par aur Aal-e-Muhammad (Sallallaahu Alayhi Wasallam) par, Jaise tu ne barkaat nazil farmaaiyee hain Ibrahim Alaih salaam par aur Aulaad e Ibrahim Alaih salaam par...

Beshak Tu bade Rehmat Wala aur Badi Buzoorgi Wala hai
Sahih Bukhari, 3369

---------------------------------------------------------------------------
Hadith: How shall we (ask Allah to) send blessings on Prophet Peace be upon him

Narrated Abu Humaid As-Sa'idi Radiallahu anhu The people asked, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam! How shall we (ask Allah to) send blessings on you?" Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam replied, "Say:


اللــــــــهم صل على محمد وعلى آل محمد  كما صليت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم  إنك حميد مجيد
  .اللـــــــهم بارك على محمد وعلى آل محمد  كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد


O Allah! Send Your Mercy on Muhammad and on his wives and on his off spring, as You sent Your Mercy on Abraham's family; and send Your Blessings on Muhammad and on his offspring, as You sent Your Blessings on Abraham's family, for You are the Most Praise-worthy, the Most Glorious."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 55, No. 588:

Hadith: Tumhara durud mujh tak pahucha diya jata hai chahey tum kisi bhi jagah ho



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Tumhara durud mujh tak pahucha diya jata hai chahey tum kisi bhi jagah ho

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya apney gharon ko kabrein na banaao aur meri kabr ko Eid ki tarah na bana lena, aur mujh par Durud bhejtey rahna kyunki tumhara durud mujh tak pahucha diya jata hai chahey tum kisi bhi jagah ho
Sunan Abu Dawud, vol2, 274

Narrated AbuHurayrah Radi Allahu Anhu : The Prophet (peace_be_upon_him) said: Do not make your houses graves, and do not make my grave a place of festivity. But invoke blessings on me, for your blessings reach me wherever you may be.
Sunan Abu dawud, Book #10, Hadith #2037

Sunday, October 7, 2012

Mainey apni Dua Qayamat ke din apni ummat ki shfa’at ke liye mehfooz rakhi huyee hai






Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Mainey  apni  Dua Qayamat ke din apni ummat ki shfa’at ke liye mehfooz rakhi huyee hai


Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 
har nabee ne kuch cheezein maangi, ya farmaya ki har Nabee ko ek (khas) dua di gayee yani jo bhi unhoney dua maangi wo Qubul ki gayee lekin mainey  apni  Dua Qayamat ke din apni ummat ki shfa’at ke liye mehfooz rakhi huyee hai.

Sahih Bukhari, vol 7, 6305
---------------------------------



نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ہر نبی نے کچھ چیزیں مانگیں یا فرمایا کہ ہر نبی کو ایک دعا دی گئی جس چیز کی اس نے دعا مانگی پھر اسے قبول کیا گیا لیکن میں نے اپنی دعا قیامت کے دن اپنی امت کی شفاعت کے لیے محفوظ رکھی ہوئی ہے۔ 
--------------------------------------------------------------
Narrated Anas Radi Allahu Anhu : that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "For every prophet there is an invocation that surely will be responded by Allah," (or said), "For every prophet there was an(special) invocation with which he appealed to Allah, and his invocation was accepted (in his lifetime), but I kept my (this special) invocation to intercede for my followers on the Day of Resurrection." 

Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 317