Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, January 16, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 257

 Only-Quran-Hadith Quiz 257 



Quiz : Sahaba ne Ramzan mein kitni raat lagatar Rasool-Allah 
Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath taraweeh ki namaz padhi ?

A. 0

B. 5

C. 27

D. 4

E. 3

F. Sahi jawab ka intezar hai
------------
Quiz : How many nights continuesly Sahaba prayed Night prayer 
( taraweeh) with congregation in ramzan with Prophet Sallallahu 
Alaihi Wasallam?

A. 0

B. 5

C. 27

D. 4

E. 3

F. waiting for reply



Sahih jawab E - 3 
----------------------------------------
Urwa bin Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ayesha radi allahu Anha ne farmaya ek baar (Ramadan ki ) aadhi raat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam masjid mein tashreef le gaye aur wahan (taraweeh ki) namaz padi, sahaba Radi Allahu Anhuma bhi aapkey saath namaz mein shamil ho gaye, subah huyee to unhoney uska charcha kiya.
Phir dusri raat mein log pahle se bhi zyada shamil ho gaye, aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath namaz padhi. Dusri subah ko aur zyada charcha hua to
teesri raat us sey bhi zyada log jama ho gaye , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne (us raat bhi) namaz padi aur logo ne aapki pairwi ki,
Chothi raat ko ye aalam tha ki masjid mein namaz padney aaney walo ke liye jagah bhi baqi nahi rahi ( magar us raat Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Namaz ke liye bahar hi nahi aaye) bulki subah namaz ke liye tashreef laye aur jab namz pad li to logo ki taraf mutwajja hojar shahadat ke baad farmaya Amma baad tumharey yahan jama honey ka mujhe ilm tha lekin mujhe iska khauff hua ki ye namaz tum par farz na ho jaye aur phir tum usey ada na kar sako Aur jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam is duniya se rukhsat ho gaye to uskey baad bhi yahi kaifiyat rahi ( log alag alag taraweeh padte rahe ) 
Sahih Bukhari, Vol 3, 2012
Narrated 'Urwa: That he was informed by `Aisha, Allah's Apostle went out in the middle of the night and prayed in the mosque and some men prayed behind him. In the morning, the people spoke about it and then a large number of them gathered and prayed behind him (on the second night). In the next morning the people again talked about it and on the third night the mosque was full with a large number of people. Allah's Apostle came out and the people prayed behind him. On the fourth night the Mosque was overwhelmed with people and could not accommodate them, but the Prophet came out (only) for the morning prayer. When the morning prayer was finished he recited Tashah-hud and (addressing the people) said, Amma ba'du, your presence was not hidden from me but I was afraid lest the night prayer (Qiyam) should be enjoined on you and you might not be able to carry it on. So, Allah's Apostle died and the situation remained like that (i.e. people prayed individually).

Sahih Bukhari, Vol 3, 2012

No comments:

Post a Comment