❗
Only-Quran-Hadith Quiz-324❗
Dono sawalo ke jawab saath mein
is tarah dijiyee AB / BD
-Ek Baar Rasool-Allah
Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki kaun hai jo meri is baat ko Qubul kare
to main uske liye Jannat ka zimma leta hu ?
Sawal 1 : inmein se Wo baat
kaunsi thi ?
A. Kabhi Namaz na chorhna
B. Kabhi kisi ki Geebat na karna
C. Kabhi Logo se na maangna
D. Kabhi Ramzan ke roze na
chorhna
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
Sawal 2 : Wo sahabi kaun they
jinhone us waqt Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki wo baat maan li aur phir
zindagi bhar us par amal kiya ?
A. Abu Bakr Radi allahu anhu
B. Soban Radi allahu anhu
A. Abu Talha Radi allahu anhu
A. Maaz Radi allahu anhu
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
------------
Kindly reply two questions
together like this AC / BD
Once The Messenger of Allah
Sallallahu Alaihi Wasallam said: 'Who will commit himself to one thing, I will
guarantee him paradise..
Quiz 1 : What was that thing
among below ?
A. Never leave any prayer
B. Never backbite anybody
C. Never Beg people for
anything
D. Never leave the fasting of
ramzan
E. None of the above
F. I want to know
Quiz 2 : That time who commited
on this thing and after that whole life he followed it ?
A. Abu Bakr Radi allahu anhu
B. Soban Radi allahu anhu
A. Abu Talha Radi allahu anhu
A. Maaz Radi allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know
Sahi jawab CB
-----------
Soban Radi Allahu Anhu se
rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki kaun hai
jo meri is baat ko Qubul kare to main uske liye Jannat ka zimma leta hu, maine
arz kiya ki Main ,Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki logon se kuch na
maangna , kaha jata hai ki agar soban Radi Allahu Anhu sawar hote aur unki
chadi gir jaati to kisi se ye na kahte ye mujhe de do bulki wo khud utar kar
lete
Sunan Ibn Majah, Jild 1,
1837-Sahih
Thawban Radi Allahu Anhu se
rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shaksh
mujhse is baat ki zamanat de de ki wo logo se nahi maangega ( sawal nahi
karega) to main usko Jannat ki zamanat
deta hu, Thawban Radi Allahu Anhu ne kaha ki main (ab se kuch nahi mangunga)
(Thawban Radi Allahu Anhu se rivayat karne wale ravi farmate hain) uske baad se
unhone kisi se kuch nahi maanga
Sunan Abu Dawud, Vol 1,
1630-Sahih
------------------
Thawban Radi allahu anhu said:
“The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: 'Who will commit
himself to one thing, I will guarantee him paradise?' I said: 'I will.' He
said: 'Do not ask (beg) people for anything.' So Thawban would drop his whip
while he was on his mount, and he would not say to anyone: 'Get that for me'
rather he would dismount and grab it.”
Sunan Ibn majah, Book 8,
1837-Sahih
Narrated by Thawban Radi Allahu
Anhu The prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said If anyone guarantees me that
he will not beg from people, I will guarantee him Paradise. Thawban Radi Allahu
Anhu said : I (will not beg).
He never asked anyone for
anything.
Sunan Abu Dawud, Book 9,
1639-Sahih
No comments:
Post a Comment