Sawal: Kya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Allah ko dekha hai ?
Jawab Quran aur Sahih Hadith ki roshni mein
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ شَقِيقٍ، قَالَ قُلْتُ لأَبِي ذَرٍّ
لَوْ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم لَسَأَلْتُهُ فَقَالَ عَنْ أَىِّ شَىْءٍ كُنْتَ تَسْأَلُهُ
قَالَ كُنْتُ أَسْأَلُهُ هَلْ رَأَيْتَ رَبَّكَ
قَالَ أَبُو ذَرٍّ قَدْ سَأَلْتُ فَقَالَ " رَأَيْتُ نُورًا "
قَالَ أَبُو ذَرٍّ قَدْ سَأَلْتُ فَقَالَ " رَأَيْتُ نُورًا "
---
Abdullah bin shaqiq Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine Abu Zarr Radi Allahu Anhu se kaha ki agar main Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko dekhta to aapse kuch puchta , Abu Zar Radi Allahu Anhu ne kaha ki tum kya puchte , unhone kaha main puchta ki kya aapne apne RAB ko dekha hai ? Abu Zarr Radi Allahu Anhu ne kaha ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se ye sawal puch liya hai , aur Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya tha ki maine NOOR dekha
Sahih Muslim, Jild 1, 444
1.
عَنْ أَبِي ذَرٍّ، قَالَ سَأَلْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم
هَلْ رَأَيْتَ رَبَّكَ
قَالَ " نُورٌ أَنَّى أَرَاهُ "
Note: Isee sanad ki dusri hadith ke mutabiq Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya
نُورٌ = light
انى = I, Myself
أَرَاهُ = saw
magar kuch log iska tarjuma galat bayan karte hain aur kahte hain ki iska tarjuma hota hai
"Wo to noor hai main usko kaise dekhta " Jabki ismein kaise (كَيْفَ) lafz hai hi nahi agar ye hota ki
نُورٌ كَيْفَ أَنَّى أَرَاهُ
tab uska tarjuma hota ki wo Noor hai main usko kaise (كَيْفَ) dekhta.
Jazakallahu khairan
-----------
2.
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ رَآهُ بِقَلْبِهِ
Ibn Abbas Radi allahu anhuma ka qaul hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne Allah ko dil se dekha hai ( aur dusra qaul hai ankho se dekha) magar ye Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki hadith nahi bulki Ibn Abbas Radi allahu anhuma ka qaul hai aur qaul ke muqable mein hadith ko zyada darja aur ahmiyat di jati hai
Arabic Text
3.
عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ
قَالَتْ مَنْ حَدَّثَكَ أَنَّ مُحَمَّدًا صلى الله عليه وسلم رَأَى رَبَّهُ فَقَدْ كَذَبَ
Aisha Radi allahu ka ek qaul hai jiska mafhum hai ki agar koi ye kahe ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne apne RAB ko dekha to usne jhooth bola , magar ye hi Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki hadith nahi bulki Aisha radi allah anha ka qaul hai aur qaul ke muqable mein hadith ko zyada darja aur ahmiyat di jati hai
Arabic Text
-----------
Allah subhanahu ne Quran mein farmaya ki koi aankh usko dekh nahi sakti magar ye nahi farmaya ki koi ankh uske Noor ko nahi dekh sakti , Isliye aksar ulmao ke hisab se sabse behtar jawab is sawal ka yahi hai jo Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne khud farmaya
رَأَيْتُ نُورًا
Maine NOOR dekha
Jazak-Allahu khairan
No comments:
Post a Comment