Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, January 14, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 231

  Only-Quran-Hadith Quiz 231


Sawal: Jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki 
meri ummat mein se 70,000 log bina hisab ke jannat mein dakhil 
honge to ek sahabi khade huye aur farmaya ki mere liye dua kijiye ki Allah mujhe unmein se bana de , wo kaunse sahabi they ?

A. Zaid Radi Allahu anhu

B. Abu Bakr Radi Allahu anhu

C. Ukasah Radi Allahu anhu

D. jafar Radi Allahu anhu

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------
Quiz : Once Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said From among my 
followers, a group of 70,000 will enter Paradise without being 
asked 
for their accounts , that time A Sahabi stood up and said O Allah's 
Messenger () Invoke Allah for me that He may include me with 
them, Who was that Sahabi ?

A. Zaid Radi Allahu anhu

B. Abu Bakr Radi Allahu anhu

C. Ukasah Radi Allahu anhu

D. jafar Radi Allahu anhu

E. None of the above

F. I want to know


Sahi jawab C. Ukasha Radi Allahu anhu
--------

Hazrat Abu Hurairah radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein se 70,000 log bina hisab ke jannat mein dakhil honge jinke chehre chand ki tarah chamaka rahe honge , hazrat Ukasha Radi allahu anhu apni dharidar chadar sanbhalte huye uthe aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam mere liye bhi dua kijiye ki Allah subhanahu mujhe unhi mein se bana de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne dua farma di ki Eh ALlah Ukasha ko bhi unhi mein se bana de , uske baad Ansar qabeele ke ek aur sahabi khade huye aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam dya farma dijiye ki Allah subhanhu mujhe bhi unhi mein se kar de , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tumse pahle Ukasha dua kara chuke
Sahih Bukhari, 5811

Ibn Abbas Radi Allahu anhuma se rivayat hai ki Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain aur apne Rab hi par bharosa rakhte hain
Sahih Bukhari, Vol 7, 6472
----------
Correct answer is C. Ukasha Radi Allahu anhu
----------
Narrated Abu Huraira radi Allahu Anhu
I heard Allah's Messenger (
) saying "From among my followers, a group of 70,000 will enter Paradise without being asked for their accounts, Their faces will be shining like the moon." 'Ukasha bin Muhsin Al-Asadi got up, lifting his covering sheet and said, "O Allah's Messenger () Invoke Allah for me that He may include me with them." The Prophet () said! "O Allah! Make him from them." Then another man from Al-Ansar got up and said, "O Allah's Messenger ()! Invoke Allah for me that He may include me with them." On that Allah's Messenger () said, "'Ukasha has anticipated you."
Sahih Bukhari, Book 72, 702
 

Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhu: ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Seventy thousand people of my followers will enter Paradise without accounts, and they are those who do not practice (Evil) Ruqya and do not see an evil omen in things, and put their trust in their Lord. 
Sahih Bukhari, Book 76, No. 479


No comments:

Post a Comment