Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, January 17, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 278

 Only-Quran-Hadith Quiz 278



Jawab is tarah dijiyega ..ACD ya CDE etc

Sawal : Ghazwa e badr ki shuruaat mein musalamno ki taraf se 
ladne ke liye Utba, shaiba aur waleed ke muqable mein kaunse 3 
sahaba ko Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne aage bheja ?


A. Ali Radi Allahu anhu

B. Khalid bin waleed Radi allahu anhu 

C. Abdullah bin masood Radi Allahu anhu

D. Zubair bin awwam Radi Allahu anhu

E. Umar Radi Allahu anhu

F. Hamza Radi Allahu anhu

G. Talha Radi Allahu anhu

H. Ubaydah ibn Al-Harith Radi Allahu anhu

i. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------------
Kindly reply like this ..ACD or CDE etc.

Quiz : On the initiate of the battle of badr, Who were that three 
sahaba which went forward to fight against Utba, Shaybah aur 
waleed ?


A. Ali Radi Allahu anhu

B. Khalid bin waleed Radi allahu anhu 

C. Abdullah bin masood Radi Allahu anhu

D. Zubair bin awwam Radi Allahu anhu

E. Umar Radi Allahu anhu

F. Hamza Radi Allahu anhu

G. Talha Radi Allahu anhu

H. Ubaydah ibn Al-Harith Radi Allahu anhu

i. I want to know



Sahi jawab AFH
-----------
A. Ali Radi Allahu anhu

F. Hamza Radi Allahu anhu

H. Ubaydah ibn Al-Harith Radi Allahu anhu

-----------
Ali Radi allahu anhu se rivayat hai ki (Ghazwa e badr wale din) Utbah ibn Rabi'ah aage aaya aur uske baad uska beta (waleed) aur uska bhai (Shaybah) peeche
 
aaye, phir utbah ne aawaz di kaun mere muqable mein aayega to ansar ke kuch jawano ne uska jawab diya usne pucha tum kaun ho ? unhone bataya ki (hum ansar
 
ke log hain) usne kaha humko tumhari jarurat nahi hum apne chachazado (muqable ke liye) chahte hain to Rasool-Allah Sal-Allahu alahi wasallam ne farmaya
 
Hamzah tum khade ho jao , Ali tum khade ho aur ubaida bin harith tum khade ho , to Hamza Radi Allahu anhu utbah ki taraf badhe , aur main shaiba ki taraf
 
badha aur ubaidah aur waleed (aapas mein bheedey) to dono ko do do zakhm lage, dono ne ek dusre ko nidhal kar diya phir hum waleed ki taraf mayal huye aur
 
usko bhi Qatl kar diya aur ubaidah ko utha kar le aaye
Sunan Abu Dawud, Jild 2, 892-Sahih
-----------
Narrated Ali ibn Abu Talib Radi Allahu anhu (At the battle of Badr) Utbah ibn Rabi'ah came forward followed by his son and his brother and cried out: Who
 
will be engaged in single combat? Some young men of the Helpers responded to his call. He asked: Who are you? They told him. He said: We do not want you;
 
we, in fact, want only our cousins. The Prophet (
) said: Get up Hamzah get up Ali; get up Ubaydah ibn Al-Harith. Hamzah went forward to Utbah, I went 
forward to Shaybah; and after two blows had been exchanged between Ubaydah and Al-Walid, they wounded one another severely; so we turned against aA-Walid
 
and killed him, and we carried Ubaydah away.
Sunan Abu dawud, Book 14, 2659-Sahih


No comments:

Post a Comment