Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, January 16, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 261

 Only-Quran-Hadith Quiz 261 


Sawal: : Wo kaunsa kaam hai jiske liye Allah ne farmaya ki agar 
banda wo karey to mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki "Main 
uska Kaan (ear) ban jata hu jis se wo sunta hai,uski Aankh ban jata 
hu jis se wo dekhta hai"


A. Farz namaz ada karna

B. Ramzan ke roze rakhna

C. Hajj ada karna

D. Nawafil ibadat karna 

E. Saal ki Zakat Ada karne

F. Sahi jawab ka intezar hai
--------
Quiz : Whats is that deed if a muslim does it , Allah says I become 
his sense of hearing with which he hears, and his sense of sight 
with which he sees,


A. Obligatory Prayers

B. Fasting of Ramdhan

C. Performing Hajj

D. Performing Nawafil

E. Giving Charity yearly

F. I want to know




Sahi jawab D. Nawafil ibadat karna 
------------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai Jisne mere kisi wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elan-e-Jung hai aur Mera banda jin jin ibadaton se Mera Qurb hasil karta hai (yani mere kareeb aata hai unmein se) koi ibaadat mujhko us se ziyada pasand nahi hai jo maine us par farz ki hai ( jaise Namaz Roza , Hajj , Zakat..) 

Aur mera banda Nawafil ibaadat karke mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us se Muhabbat karne lag jata hu phir jab main us se Muhabbat karne lag jata hu to Main uska Kaan (ear) ban jata hu jis se wo sunta hai,uski Aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai , uska haath ban jatahu jis se wo pakadta hai , uska paaw (leg) ban jata hu jis se wo chalta hai. Aur agar mujhse maangta hai to main usey deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai to main usko Mehfooz rakhta hu Aur main jo kaam karna chahta hu usmein mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apne momeen bande ki Jaan nikalne mein hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta 
Sahih Bukhari, Vol 7, 6502
 
---------
Arabic text
http://www.sunnah.com/bukhari/81/91
---------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said that , "Allah Subhanahu said, 'I will declare war against him who shows hostility to a pious worshipper of Mine. And the most beloved things with which My slave comes nearer to Me, is what I have enjoined upon him;

And My slave keeps on coming closer to Me through performing Nawafil (praying or doing extra deeds besides what is obligatory) till I love him, so I become his sense of hearing with which he hears, and his sense of sight with which he sees, and his hand with which he grips, and his leg with which he walks; and if he asks Me, I will give him, and if he asks My protection (Refuge), I will protect him; (i.e. give him My Refuge) and I do not hesitate to do anything as I hesitate to take the soul of the believer, for he hates death, and I hate to disappoint him." 

Sahih Bukhari, Book #76, 509

No comments:

Post a Comment