Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, January 17, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 275

 Only-Quran-Hadith Quiz 275 



Dono quiz ka jawab saath mein is tarah dijiyega....AB ya CD etc
Sawal 1 : Abu jahal kaunse ghazwe mein mara gaya tha ?

A. Ghazwa e Uhad

B. Fateh Makka

C. Ghazwa e Badr

D. Ghazwa e Khandaq

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2: Abu jahal ko Qatl karne wale do naujawan kaun they ?

A. Muaadh bin zaid , Muaadh bin jabal 

B. Muaadh bin Afra , Muaadh bin Amr

C. Zaid bin Afra, Zaid bin Amr

D. Afra bin Muaadh, Afra bin Amr

E. inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------
-Reply both quiz together like this ...AB ..CD etc.
Quiz 1 : In which Battle Abu jahal was killed ?

A. Battle of Uhad 

B. Conquest of Makka

C. Battle of Badr

D. Battle of Khandaq

E. None of the above

F. waiting for the answer

Quiz 2 : Who killed Abu jahal ?

A. Muaadh bin zaid , Muaadh bin jabal 

B. Muaadh bin Afra , Muaadh bin Amr

C. Zaid bin Afra, Zaid bin Amr

D. Afra bin Muaadh, Afra bin Amr

E. None of the above

F. waiting for the answer



Sahi Jawab : 

C. Ghazwa e Badr

B. Muaadh bin Afra , Muaadh bin Amr

----------
Abdul rahman bin auf radi allahu anhu ne bayan kiya ki badr ki ladayee mein main saff ke saath khada hua tha, maine jab dayein bayein dekha to mere dono taraf qabeel e ansar ke do nau umar ladke they ,maine aarzoo ki ke kaash main kisi zyada umar wale ke beech mein hota, unmein se ek ne meri taraf ishara kiya aur pucha ki chacha kya aap abu jahal ko jaante hain maine kaha ki haan , lekin bete tumko us se kya kaam hai , ladke ne jawab diya mujhe malum hua hai wo Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko gaaliyan deta hai, us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai , agar mujhe wo mil gaya to main us waqt tak us se juda nahi hunga jab tak ki hum mein koi jiski qismat mein pahle marna ho wo mar na jaye , mujhe is par badi hairat huyee.phir dusre ne ishara kiya aur wahi baat usne bhi kahi, Abhi chand minute hi guzre they ki mujhe Abu jahal dikhayee diya jo logon mein ghumta phir raha tha maine kaha ki jiske baare mein tum mujhse puch rahe ho wo samne hai , dono ne apni talwarein sanbhali aur us par tut padhe aur hamla karke usko Qatl kar daala, uske baad Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur aapko ye khabar di, Aapne pucha ki tum dono mein se kisne usko Qatl kiya hai , dono ne kaha ki maine qatl kiya hai, is liye Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne pucha ki apni talwarein tumne saaf kar li hain , unhone kaha ki nahi, phir Aapne un dono ki talwaro ko dekha aur farmaya tum dono ne hi usko maara hai, aur uska saman maaz bin amr bin jamu ko milega, wo dono naujawan Muaadh bin afra aur Muaadh bin Amr bin Al-Jamuh they
Sahih Bukhari, Jild 5, 3988
---------------
Narrated `Abdur-Rahman bin Auf Radi Allahu anhu While I was standing in the row on the day (of the battle) of Badr, I looked to my right and my left and saw two young Ansari boys, and I wished I had been stronger than they. One of them called my attention saying, "O Uncle! Do you know Abu Jahl?" I said, "Yes, What do you want from him, O my nephew?" He said, "I have been informed that he abuses Allah's Messenger (
). By Him in Whose Hands my life is, if I should see him, then my body will not leave his body till either of us meet his fate." I was astonished at that talk. Then the other boy called my attention saying the same as the other had said. After a while I saw Abu Jahl walking amongst the people. I said (to the boys), "Look! This is the man you asked me about." 
So, both of them attacked him with their swords and struck him to death and returned to Allah'S Apostle to inform him of that. Allah's Messenger (
) asked, "Which of you has killed him?" Each of them said, "I Have killed him." Allah's Messenger () asked, "Have you cleaned your swords?" They said, "No. " He then looked at their swords and said, "No doubt, you both have killed him and the spoils of the deceased will be given to Mu`adh bin `Amr bin Al-Jamuh." The two boys were Mu`adh bin 'Afra and Mu`adh bin `Amr bin Al-Jamuh.
Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 369


No comments:

Post a Comment