Only-Quran-Hadith Quiz 252
Sawal: Adam alaihi salam ko ye kisne
kaha tha ki tum wahi adam ho na jinko unki lagjish (khata) ki wajah se jannat
se bahar bheja gaya ?
A. Maut ke farishte ne
B. Dozakh ke daroge ne
C. Jannat ke daroga ne
D. Ibrahim Alaihi salam ne
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
------------------
Quiz :Who said to Adam alaihi salam that "You are Adam whose mistake expelled you from Paradise"
A. The Angels
of death said
B. The Guard of Hell said
C. The Guard of paradise said
D. Ibrahim alaihi salam said
E. None of the above
F. I want to know
Sahih Jawab E. Inmein se koi nahi kyunki wo kahne wale Musa alaihi
salam
they
---------------
Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sal-alalahu
alaihi wasallam ne farmaya hazrat musa aur hazrat adam alaihi salam ne aapa
mein bahas ki hazrat musa alaihi salam ne unse kaha ki aap wahi adam hain jinko
unki lagjish (khata) ki wajah se jannat
se bahar bheja gaya. Hazrat Adam alaihi salam ne kaha ki aap wahi musa alaihi
salam hai na jinko Allah subhanahune apni risalat aur apne kalam se nawaza phir
bhi aap mujhe ek aise muaamle par malamat karte hain jo Allah subhanahu ne meri
paidayeesh se bhi pahle muqaddar kar diya tha
Rasool-Allah sal-alalahu alaihi wasallam ne do baar ye farmaya ki
"is tarah hazrat Adam aalihi salam , hazrat musa alaihi salam par galib aa
gaye."
Sahih Bukhari, 3409
--------------
Narrated Abu Huraira Radi allahu anhu Allah's Messenger (ﷺ) said, "Adam alaihi salam
and Musa alaihi salam argued with each
other. Musa alaihi salam said to Adam
alaihi salam . 'You are Adam whose mistake expelled you from Paradise.' Adam
alaihi salam said to him, 'You are
Musa whom Allah selected as His
Messenger and as the one to whom He spoke directly; yet you blame me for a
thing which had already been written in my fate before my creation?"'
Allah's Messenger (ﷺ) said
twice, "So, Adam alaihi salam
overpowered Musa alaihi salam ."
Sahih Bukhari, Book 55, 621
No comments:
Post a Comment