E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahih Jawab A. Roza* 💐
------------
Abu Zarr Radi Allahu Anhu se riwayat hai Unhone Kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Roza kya hai Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ye Qarz hai jiska badla diya jaega
Sawal : Inmein se wo kaun hai jisko Qayamat ke din Zehreela saanp uske jabdo se pakad lega ?
A. Gheebat karne wale
B. Sharab peene wale
C. Shirk Karne wale
D. Zakat nahi dene wale
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahih Jawab D. Zakat nahi dene wale* 💐
------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreeley ganjey saanp ki shakal ikhtriyar kar lega uski aankhon ke pass do siyah(black) nuqtey honge jaise saanp ke hote hain phir wo saanp uskey dono jabdo se usey pakad lega aur kahega ki main tera maal aur khazana hun
Sawal : Agar roza iftar ke liye khajur na mile to kis se iftari karni chahiye?
A. Doodh
B. Zaitun
C. Namak
D. Paani
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahih Jawab D. Paani* 💐
------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab tum mein se koi roza iftar kare to khajur se kare aur agar khajur na mile to paani se kare kyunki paani paak karne wala hai
Sawal : Agar koi kisi Rozedaar ka roza iftar karaye to usko kitna sawab hoga ?
A. Rozedaar ka Ek tehayee
B. Rozedaar ke barabar
C. Rozedaar ka aadha
D. Inmein se koi nahi
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ *Sahih Jawab B. Rozedaar ke barabar* 💐
-----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Jo kisi Rozedar ka roza iftar karaye to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozedar ke sawab mein kami bhi nahi hogi
Sawal: Wo kaun log hain jinki peshani aur peetho ko jahannam mein garam sone chandi se daaga jayega ?
A. Sood khane wale
B. Zakat Ada nahi karne wale
C. Yateemo ka maal khane wale
D. Meeras ka maal khane wale
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ Sahih Jawab B. Zakat Ada nahi karne wale 💐
-----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi sone aur chandi ka malik ho aur uski Zakat ada nahi karta ho to us sone aur chandi ke takhte (plates) banaye jayenge aur usko jahannam ki aag mein garam kiya jayega phir uski (zakat na dene wale ki) peshani aur karwatein (pahlu) aur peeth ko daga jayega, aur jab wo thande ho jayenge to phir se inko garam kiya jayega aur ye azab usko us din tak hota rahega jiski miqdar (duration) pachas hazar saal hai , phir Allah apne bando ke beech faisla farma dega aur wo jannat ya jahannam ki taraf apna rasta dekh lega
Sawal: Ramzan ke roze ke baad kaunse roze rakhne se purey saal bhar ke roze ka sawab milta hai ?
A. 14,15,16 ke roze
B. Muharram ke 10 roze
C. Shawaal ke 6 roze
D. Arafa ke 2 roze
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ Sahih Jawab C. Shawwal ke 6 roze 💐
-----------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ramdan ke rozey rakhey aur uskey baad 6 (roze) shawwal ke bhi rakhe to usko hamesha ke rozo ka sawab hoga
Sahih Muslim 2758
✦ Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo Eid ul Fitar ke baad 6 din roza rakhe to usko purey sal roza rakhne ka sawab milega, jo ek neki laayega usko iska 10 guna ajar milega
Sunan Ibn Maja 1715-Sahih
✦ Note : Ulma kahte hain ki agar koi eid ke foran baad na rakh saka ho to pure shawwal mahine mein kabhi bhi ek ek karke ya ek hi saath ye 6 rozey rakhe ja sakte hain
Sawal: Kis cheez ko dehk kar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Apni ek biwi se farmaya ye Aapko Jahhanum mein le jane ke liye kaafi hai agar app Zakat nahi dogi to ?
A. Chandi ke Kangan
B. Chandi ki Anguthiya
C. Chandi ke Bartan
D. Sone ke kangan
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ Sahih Jawab B. Chandi ki Anguthiya 💐
-----------
✦ Abdullah bin shaddad Radi allahu anhu se rivayat hai ki hum log Aisha Radi allahu anha ke paas gaye to wo kahne lagi mere paas Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam aaye Aapne mere haath mein chandi ki anguthiyan dekhi aur farmaya , Aisha ye kya hai ? maine arz kiya ki ye maine isliye banwayee hai ki aapke liye banao singar karu , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne pucha , kya aap inki zakat ada karti ho maine kaha nahi , ya jo Allah ko manzur tha kaha Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ye aapko jahannam mein je jaane ke liye kaafi hai (agar aap zakat nahi dogi to)
Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Al Fitr ki Namaz ko jaane se pahle kya karte they ?
A. Khajurein khate
B. 2 Rakaat padhte
C. Miskeen ko khana dete
D. inmein se koi nahi
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ Sahih Jawab A. Khajurein khate 💐
------------
Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Al Fitr ke din tab tak (Namaz ke liye) nahi nikalte jab tak khuch Khajurein na kha lete aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Taaq yani 1, 3, 5, 7..... khajurein khaya karte they
Sawal: Inmein se Zakat ul Fitr kis par farz nahi hai ?
A. Ghulam par
B. Beemar par
C. Bachche par
D. Inmein se sab par farz hai
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ Sahih Jawab D. Inmein se sab par farz hai 💐
------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Zakat-ul-Fitra ek sa khajur ya ek sa jou (barley ) (One Sa' = 3 Kilograms approx) farz qarar di hai jo Ghulam, Aazad, Mard, Aurat, chotey aur badey tamam musalmano par farz hai aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye hukm diya hai ki Eid ki Namaz ko jane se pahle ye Ada kar diya jaye
Sawal : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramazan mein kis waqt Eitkaf karte they ?
A. Sirf Shab e Qadr ki raat
B. Aakhri 3 dino mein
C. Aakhri 7 dino mein
D. Aakhri 10 dino mein
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ Sahih Jawab D. Aakhri 10 dino mein 💐
------------
Abdullah bin Umar radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramazan ke Aakhri Ashre yani Aakhri 10 dino mein Eitkaaf karte they
Sawal : Kis waqt Farishto ki tadad Zameen par Kankariyo se bhi zyada ho jati hai ?
A. Shab e Qadr ko
B. Arafa ke din
C. Eid ke din
D. Ramzan ke Aakhri Ashre mein
✅ Sahih Jawab A. Shab e Qadr ko 💐
----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Shab e Qadr 27 ya 29 ki raat hai iss raat mein zameen par farishton ki tadad kankariyon ki tadad se zyada hoti hai
Sawal : Ye kaunse Rozedaar ke liye farmaya gaya ke Allah Subhanahu ko uski koi zaroorat nahi ke wo apna khana peena chorhe de ?
A. Jo iftar mein deri karen
B. Jo bina sehari ke roza rakhe
C. Jo roze mein jhoot bolna na chorhe
D. Jo roza rakh kar Quran na padhe
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ C. Jo Roze mein jhoot bolna na chorhe 💐
---------------
✦ Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya agar koi shakhs (roza rakhkar bhi) jhoot bolna aur dagabazi karna na chorhe to Allah subhanahu ko uski koi jarurat nahi ki wo apna khana peena chorh de
Sawal : Ramadan ke mahine ki aakhri 10 raaton mein qayam karne par kya sawab milega ?
A. Agle aur pichle tamam gunah maaf honge
B. 1000 Saal ki ibadat ka sawab milega
C. Jannat mein Ek ghar milega
D. Ek saal ke saare gunah maaf honge
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ Sahih Jawab A. Agle aur pichle tamam gunah maaf honge 💐
---------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Shab e Qadr Ramzan ke mahine ke aakhri 10 raato mein hai jo shaksh Ajar aur Sawab ke liye in 10 raato mein Qayam karega to Allah Subhanhu uske Agle aur pichle tamam gunah maaf farma denge
Sawal : Jis ne Ramazan Ka pura mahina paya aur wo ibadat aur tauba ke zariye apne gunah nahi bakhshwa saka to uska kya hoga ?
A. Wo Dozakh mein dakhil hoga
B. Uske Aamal zaya ho jayenge
C. Usko 7 miskeen ko khilana hoga
D. Usko ek mahine ke roze rakhne honge
E. Rabbi Zidni ilman (Eh Allah mere ilm mein Barkat Ata farma)
✅ Sahih Jawab A. Wo Dozakh mein dakhil hoga 💐
---------------
✦ Rasool Allah ﷺ ne farmaya Jibril Alaihi salam tashrif laye aur kaha Jis ne Ramazan Ka pura mahina paya aur wo (ibadat aur tauba ke zariye) apne gunah nahi bakhshwa saka to wo dozakh mein dakhil hua aur Allah Subhanahu ki Rahmat se dur ho Gaya