Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, January 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-304❗


Only-Quran-Hadith Quiz-304

Jawab ek se zyada hai

Sawal : Hadith ke hisab se inmein se kis kis ko shaheed ka darja milega ?

A. Aag mein jal kar mr jaane wala
B. Pet ki beemari se marne wala
C. Dil ki beemari se marne wala
D. Paani mein doob kar marne wala
E. Bachche ki wiladat ke waqt marne wali aurat
F. Taawun (plague) se marne wala
G. Sahi jawab ka intezar hai
---------
Answers are more than one

Quiz : According hadith  Who are regarded as martyrs among below ?

A. Who die because of Burning in fire
B. Who die because of Abdominal disease
C. Who die because of heart disease
D. Who die because of drowning
E. dying in childbirth
F. Who die because of the plague
G. waiting for reply


Sahi Jawab - BDEF
-----------
Safwan bin Umayyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Taawun se marne wala , pet ke marz se marne wala , paani mein doob kar marne wala , aur bachche ki wiladat ke waqt marne wali aurat ye sabhi shaheed hain is hadith ke ek ravi ne kaha ki ye hadith Abu UthmanRadi Allahu Anhu ne kayee baar rivayat ki hai aur ek baar ye bhi kaha ki ye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka irshad hai
Sunan Nasaii, Jild 1, 2056-Sahih

Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Shaheed paanch tarah ke hote hain taoon (ki beemari) mein halaq hone wala , pet ki beemari se marne wala , doob kar marne wala, dab kar marne wala aur Allah ke raaste mein shahadat pane wala
Sahih Bukhari, Vol 4,2829

-----------
 It was narrated that Safwan bin Umayyah Radi Allahu Anhu said: "The plague, abdominal illness, drowning and dying in childbirth are martyrdom." (One of the narrators) said: Abu 'Uthman Radi Allahu Anhu narrated this to us several times, and on one occasion he attributed it to the Prophet.
Sunan Nasaii, Book 21, Hadith 2056-Sahih

Narrated Abu Huraira Radi allahu anhu Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Five are regarded as martyrs: They are those who die because of plague, Abdominal disease, drowning and a falling building (one who is buried under debris) and the martyrsin Allah's Cause."

Sahih Bukhari, Book 52, 82

No comments:

Post a Comment