Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, January 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-308 ❗


Only-Quran-Hadith Quiz-308

Sawal : Wo kaunsa kaam hai jiske liye Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum usko karoge to Aapas mein  Muhabbat  karne lag jaoge ?

A. Khana khilana
B. Salam karna
C. Jamat se Namaz padhna
D. Beemar ki ayadat karna
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
---------
Quiz : What is that for which Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Shall I not tell  you of something which, if you do it, you will love one another?

A. Feed the people
B. Greeting (Salam)
C. Pray with congregation
D. Visiting sick
E. None of the above
F. waiting for reply


Sahi Jawab B
-------
Hazrat Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya qasam hai us zaat ki jiske qabze mein meri jaan hai tum jannat mein tab tak dakhil nahi ho sakte jab tak ki Imaan wale na ho jaye, aur tum tab tak imaan wale nahi ho sakte jab tak aapas mein Muhabbat na karne lag jao, to kya main tumhe aisee cheez  bata na du ki jab tum usko karoge to Aapas mein  Muhabbat  karne lag jaoge, Apne darmiyan Salam ko Phailao (yani ziyada se ziyada salam kiya karo)
Sunan Ibn Majah, Jild 1, 68 -Sahih
------
Narrated Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'By the One in Whose Hand is my soul! You will not enter Paradise until you believe, and you will not (truly) believe until you love one another. Shall I not tell you of something which, if you do it, you will love one another? Spread the greetings of Salam amongst yourselves.

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 68-Sahih

No comments:

Post a Comment