Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, January 19, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 287

 Only-Quran-Hadith Quiz 287



Sawal: Jab banda namaz mein surah fatiha padhte waqt Maliki 

yawmi-d-Din kahta hai to Allah subhanahu uske jawab mein kya 

farmata hai ?


A. Mere bande ne meri tarif ki

B. Mere bande ne meri tausif ki,

C. Mere bande ne apne sab kaam mere supurd kar diye

D. Mera banda jo sawal karega wo usko milega

E. Inmein se koi nahi

F. Sahi jawab ka intezar hai
-----------
Quiz : When a muslim recite surah fatiha in prayer and say Maliki 

yawmi-d-Din that time what Allah says in its reply ?



A. My servant has praised Me.

B. My servant has lauded Me.

C. My servant entrusted (his affairs) to Me.

D. My servant will receive what he asks for

E. None of the above

F. I want to know




Sahi Jawab

C. Mere bande ne apne sab kaam mere supurd kar diye
--------------------
Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Jisne namaz mein surah fatiha nahi padhi to uski namaz puri nahi huyee aur uski namaz naqis (adhuri) hai, ye jumla Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne teen baar farmaya, Abu hurairah Radi allahu anhu se logo ne pucha ki jab hum imam ke peeche ho to kya kare? Unhone kaha ki us waqt tum aahista se surah fatiha padh liya karo, kyunki maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko ye farmate huye suna hai ki
Allah subhanahu farmata hai namaz mere aur mere bando ke darmiyan aadhi aadhi taqseem ho chuki hai aur mera banda jo sawal karta hai wo pura kiya jata hai jab koi shakhs Al-hamdu lillahi Rabb il-'alamin kahta hai to Allah subhanahu farmata hai ki mere bande ne meri tarif ki
aur jab Ar-Rahman Ar-Raheem kahta hai to Allah subhanahu farmata hai mere bande ne meri tausif ki,
aur jab banda Maliki yawmi-d-Din kahta hai to Allah subhanahu farmata hai mere bande ne mere buzurgi bayan ki, aur ye bhi farmata hai ki mere bande ne apne sab kaam mere supurd kar diye
aur namazi jab Iyya-ka na'budu wa iyya-ka nasta'in kahta hai to Allah subhanahu farmata hai ye mere aur mere bande ke darmiyan ka muamla hai mera banda jo sawal karega wo usko milega
phir jab namazi apni namaz mein Ihdinassirat al-mustaqim , Sirat al-lazina an'amta 'alai-him , Ghair il-Maghdubi 'alai-him wa la-d-dallin kahta hai to Allah subhanahu farmata hai
ye sab mere is bande ke liye hai, jo wo talab karega usko diya jayega
Sahih Muslim, Jild 2, 878


Hadith: If anyone observes prayer in which he does not recite Surah fatiha (uumul quran) , It is not complete.
----------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported The Apostle of Allah () said: If anyone observes prayer in which he does not recite Surah fatiha (uumul quran) , It is deficient [he said this three times] and not complete. It was said to Abu Huraira: At times we are behind the Imam. He said: Recite it inwardly, for he had heard the Messenger of Allah () declare that

Allah the Exalted had said: I have divided the prayer into two halves between Me and My servant, and My servant will receive what he asks. When the servant says:Al-hamdu lillahi Rabb il-'alamin
Allah the Most High says: My servant has praised Me.

And when he (the servant) says: Ar-Rahman Ar-Raheem
Allah the Most High says: My servant has lauded Me.

And when he (the servant) says: Maliki yawmi-d-Din
He remarks: My servant has glorified Me.
and sometimes He would say: My servant entrusted (his affairs) to Me.

And when he (the worshipper) says: iyya-ka na'budu wa iyya-ka nasta'in
He (Allah) says: This is between Me and My servant, and My servant will receive what he asks for.

Then, when he (the worshipper) says: "Ihdinassirat Al-mustaqim , Sirat Al-ladhina an'amta 'alai-him , Ghair il-Maghdubi 'alai-him wa la-d-dallin"
Guide us to the straight path, the path of those to whom Thou hast been Gracious not of those who have incurred Thy displeasure, nor of those who have gone astray, He (Allah) says: This is for My servant, and My servant will receive what he asks for.
Sahih Muslim, Book 4, 775


No comments:

Post a Comment