Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, January 26, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-307 ❗

Only-Quran-Hadith Quiz-307

Jawab ek se zyada hain

Sawal : inmein se kaun kaun se logo par Allah ki laanat hai ?


A. Bakhil ( Kanjus) par
B. Jo Allah ke siwa kisi aur ke liye Qurbani kare
C. Bidati ko jagah dene wale par
D. Allah ki aayato ko Chupane walo par
E. Kudrati balon mein nakli baal lagane waliyon par
F. Munafiqo par
G. Kisi Momeen ko Jaan boojh kar Qatl karne wale par
H. Geebat karne wale par
i. Sahi jawab ka intezar hai
----------------

 more than one answer is correct 

Quiz: To whom Allah Allah has cursed among below ?

A. On the miser
B. Who sacrificed for anyone besides Allah
C. The one who accommodates an innovator in religion
D. Those who conceal the verses of Allah
E. lady as lengthens her hair artificially
F. On the Hypocrites
G. Whoever kills a believer intentionally
H. The one who backbite others
I. I want to know



Sahi jawab : BCDEFG
-----------
Al Quran: Aur jo koi kisi Momeen ko Jaan boojh kar ( intentionaly) Qatl kare uski saza Dojakh hai jismein wo hamesha rahega us par ALLAH ka ghazab aur uski laanat hai aur ALLAH ne uske liye bada Azab tayyar kiya hai
Al Quran Surah An Nisa (4), 93

Al Quran : Jo log Allah ki us Nazil ki huyee Hidayat ko Chupatey hain jo usney logon ke liye Apni kitab mein bayan ki hai , Un Par Allah ki Laanat hai aur (Dusrey) Laanat karney walon ki laanat hai”
Al Quran Surah Baqarah (2), 159

Al Quran: Allah ne munafiq mardo aur munafiq aurto aur kafiron ko dozakh ki aag ka wada kiya hai , wo usmein padhe rahenge, wo unke liye kafi hogi, aur Allah ne un par laanat ki hai aur unke liye hamesha ka azab hai
Surah  At-Tawba (9), 68

Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya sir ke kudrati balon mein nakli baal lagane waliyon par aur lagwane waliyon par aur godne wali ( tattoo lagane ) par aur gudwane waliyon (tattoo lagwane) par ALLAH ne laanat bheji hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5933-Sahih

Abu Tufail Amir se rivayat hai ki main hazrat Ali Radi Allahu Anhu  ke pass baitha tha itne mein ek shakhs aaya aur kahne laga Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aapko kuch chup kar (secretaly) batlaya hai , to Hazrat Ali Radi Allahu Anhu  naraz huye aur kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe aisee koi cheez nahi batlayee jo dusro se chupa li ho, siwaye chaar  baato ke , wo shaksh kahne laga ki Eh Ameerul momeneen wo  baatein kaunsi  hain to hazrat Ali Radi Allahu Anhu  ne kaha ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam  ne farmayee Jo apne walid par laanat kare us par Allah ki laanat hai , jo Allah ke siwa kisi aur ke liye Qurbani kare us par bhi Allah ki laanat hai, jo deen mein naye naye kaam nikalne wale (bidati) ko jagah de us par bhi Allah ki laanat hai aur jo zameen ke nishan (boundry line) ko badal de us par bhi Allah ki laanat hai
Sahih Muslim, Jild 5, 5124
-----------
Al Quran: And whoever kills a believer intentionally, his recompense is Hell to abide therein; and the Wrath and the Curse of ALLAH
are upon him, and a great punishment is prepared for him.
Al Quran Surah An Nisa (4) 93

Al Quran:  Verily, those who conceal the clear proofs, evidence and the guidance, which We have sent down, after We have made it
clear for the people in the Book, they are the ones cursed by Allah and cursed by the cursers.
Al Quran Surah Baqarah (2), 159


Allah has promised the hypocrites - men and women - and the disbelievers, the Fire of Hell; therein shall they abide. It will suffice them. Allah has cursed them and for them is the lasting torment.
Surah  At-Tawba (9), 68

Narrated Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ALLAH's Apostle SallallahuAlaihi wasallam said, "ALLAH has cursed such a lady as lengthens (her or someone else's) hair artificially or gets it lengthened, and also a lady who tattoos (herself or someone else) or gets herself tattooed.
Sahih Bukhari, Book 72, 820

Abu Tufail Amir bin Withila reported I was in the company of Ali b. Abi Talib, when a person came to him, and said: What was it that Allah's Apostle () told you in secret? Thereupon he (liadrat 'All) was enraged and said: Allah's Apostle () did not tell me anything in secret that he hid from people, except that he told me four things. He said: Commader of Faithful, what are these? He Sallallahu Alaihi wasallam  said: Allah cursed him who cursed his father; Allah cursed him who sacrificed for anyone besides Allah; and Allah cursed him who accommodates an innovator (in religion) ; and Allah cursed him who changed the minarets (the boundary lines) of the land.

Sahih Muslim,  Book 22, 4876

No comments:

Post a Comment