Only-Quran-Hadith Quiz 267
Sawal : Allah subhanahu se ye baat
kisne kahi thi ?
رَبِّ أَرِنِي كَيْفَ
تُحْيِي الْمَوْتَىٰ
Eh mere RAB mujhko dikha ki tu murdon ko kaise zinda karega ?
Eh mere RAB mujhko dikha ki tu murdon ko kaise zinda karega ?
A. Musa alaihi
salam ne
B. Yunus Alaihi salam ne
C. Ibrahim Alaihi salam ne
D. Khizr Alaihi salam ne
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
----------
Quiz : Who said to Allah ?
رَبِّ أَرِنِي كَيْفَ تُحْيِي الْمَوْتَىٰ
My Lord! Show me how You give life to the dead.
A. Musa alaihi salam
B. Yunus Alaihi salam
C. Ibrahim Alaihi salam
D. Khizr Alaihi salam
E. None of the above
F. I want to know
Sahi Jawab C. Ibrahim Alaihi salam
--------
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
----------
وَإِذْ قَالَ إِبْرَاهِيمُ رَبِّ أَرِنِي كَيْفَ تُحْيِي الْمَوْتَىٰ
قَالَ أَوَلَمْ تُؤْمِن ۖ قَالَ بَلَىٰ وَلَـٰكِن لِّيَطْمَئِنَّ قَلْبِي ۖ
قَالَ فَخُذْ أَرْبَعَةً مِّنَ الطَّيْرِ
فَصُرْهُنَّ إِلَيْكَ ثُمَّ اجْعَلْ عَلَىٰ كُلِّ جَبَلٍ مِّنْهُنَّ جُزْءًا
ثُمَّ ادْعُهُنَّ يَأْتِينَكَ سَعْيًا ۚ وَاعْلَمْ أَنَّ اللَّهَ عَزِيزٌ
حَكِيمٌ
----------
Al Quran : Aur Jab Ibrahim (Alaihi salam) ne kaha ki Eh mere RAB mujhko
dikha ki tu murdon ko kaisey zinda
karega, ALLAH ne farmaya ki kya tumhey
yaqeen nahi hai ? Farmaya ki kyu nahi lekin mein isliye dekhna chahta
hun ki mere Dil ko itminan ho jaye, ALLAH ne farmaya ki chaar (4) parinde pakad
kar apne paas mangwa le (aur tukde tukde kar de aur) phir unka ek ek tukda har ek pahaad par rakh
de phir usko bula to wo tumharey pass
chaley aayengey aur jaan lo ki Beshak ALLAH zabardast hikmat wala hai
Surah Al-Baqara (2), Verse 260
----------
Al Quran : When Ibrahim (Abraham) said, "My Lord! Show me how You give
life to the dead." He (ALLAH) said: "Do you not believe?" He
[Ibrahim (Abraham)] said: "Yes (I believe), but to be stronger in
Faith." He said: "Take four birds, then cause them to incline towards
you (then slaughter them, cut them into pieces), and then put a portion of them
on every hill, and call them, they will come to you in haste. And know that
ALLAH is All-Mighty, All-Wise."
Surah Al-Baqara (2), Verse 260
No comments:
Post a Comment