Only-Quran-Hadith Quiz 264
!! Dono sawalo ke jawab saath is tarah dijiyega AB,CD, DE .....
Sawal 1: Wo kausne Nabee hain jinhone apne waqt ke zalim
baadshah ko ye
kaha
رَبِّيَ الَّذِي يُحْيِي وَيُمِيتُ
"Mera RAB wo hai jo zinda karta hai aur maarta hai"
A. Musa alaihi salam
B. Nooh Alaihi salam
C. Sohaib Alaihi saam
D. Yusuf Alaihi salam
E. Inmein se koi nahi
F. Sahih jawab ka intezar hai
--------------
Sawal 2: unke jawab ne us zalim baadshah ne kaha ki
أَنَا أُحْيِي وَأُمِيتُ
"Main bhi zinda karta hu aur maarta hun"
Wo baadshah kaun tha
A. Firuan
B. Qarun
C. Namrud
D. Haman
E. Inmein se koi nahi
F. Sahih jawab ka intezar hai
--------------------------------------------------
Kindly reply both quiz like this ..AB...Cd..EF
Quiz 1: Whats is the name of that Nabee who said to the tyrant
(oppressor)
of that time that
رَبِّيَ الَّذِي يُحْيِي وَيُمِيتُ
"My Lord (ALLAH) is He Who gives life and causes death"
A. Musa alaihi salam
B. Nooh Alaihi salam
C. Sohaib Alaihi saam
D. Yusuf Alaihi salam
E. None of the above
F. I want to know
-----------
Quiz 2 : And in his reply that tyrant (oppressor) said
"I give life and cause death."
أَنَا أُحْيِي وَأُمِيتُ
Who was that tyrant ?
A. Firuan
B. Qarun
C. Namrud
D. Haman
E. None of the above
F. I want to know
Sahi jawab EC
Ibrahim alaihi salam ne namrud ko kaha tha
--------
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
---------------
أَلَمْ تَرَ إِلَى الَّذِي حَاجَّ إِبْرَاهِيمَ فِي رَبِّهِ أَنْ آتَاهُ
اللَّهُ الْمُلْكَ
إِذْ قَالَ إِبْرَاهِيمُ رَبِّيَ الَّذِي يُحْيِي وَيُمِيتُ قَالَ أَنَا
أُحْيِي وَأُمِيتُ ۖ
قَالَ إِبْرَاهِيمُ فَإِنَّ اللَّهَ يَأْتِي بِالشَّمْسِ مِنَ الْمَشْرِقِ
فَأْتِ بِهَا مِنَ الْمَغْرِبِ
فَبُهِتَ الَّذِي كَفَرَ ۗ وَاللَّهُ لَا يَهْدِي الْقَوْمَ الظَّالِمِينَ
---------------
Al Quran : Kya tumne us shaksh ko nahi dekha jisne Ibrahim (Alaihi
salam) se uske RAB ke liye jhagda kiya
kyunki ALLAH ne usko sultanut di thi, Jab Ibrahim(Alaihi salam) ne kaha ki Mera RAB wo hai jo zinda karta
hai aur maarta hai usne kaha ki main bhi zinda karta hu aur maarta hun ,
Ibrahim (Alaihi salam) ne kaha ki Beshak
ALLAH Suraj ko mashriq (purab) se lata hai tu usey maghrib (paschim) se le aa ,
tab wo kaafir hairan rah gaya aur ALLAH be insaafon ko seedhi Raah nahi
dikhata.
Surah Al-Baqara, (2), Verse 258
- Wo baadshah namrud tha - Tafsir ibn kathir , Al-Baqara 2 :258
---------------
Al Quran : Have you not looked at him who disputed with Ibrahim (alaihi
salam) about his Lord (ALLAH), because ALLAH had given him the kingdom? When
Ibrahim (alaihi salam) said (to him): "My Lord (ALLAH) is He Who gives
life and causes death." He said, "I give life and cause death."
Ibrahim (alaihi salam) said, "Verily! ALLAH brings the sun from the east;
then bring it you from the west." So the disbeliever was utterly defeated.
And ALLAH guides not the people, who are Zalimun (wrong-doers).
Al-Baqara, Chapter #2, Verse #258
-That tyrent was Namrud - Tafsir ibn kathir , Al-Baqara 2 :258
No comments:
Post a Comment