Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Friday, January 19, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 281

 Only-Quran-Hadith Quiz 281


Sawal: Qayamat ke din shafaat ke liye log jin Nabiyo ke pass jaynge inmein se un Naamo ko pahle se baad ke hisab se tarteeb dijiye , yani jinke pass sabse pahle jaynge unko sabse pahle likhna hai aur jawab BCDEA, ABCDE is tarah se dena hai ?


A. Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam 

B. Nooh Alaihi Salam

C. Ibrahim Alaihi Salam

D. Adam Alaihi Salam

E. Yusuf Alaihi Salam

F. Eesa Alaihi Salam

G. Musa Alaihi Salam

H. Sahi Jawab ka intezar hai
----------------------
Quiz: On the day of Qayamah for intercession , to which Prophet the people will go first and after that and after that... ?
Kindly select and arrange the below Prophets Name in ascending order ( first to last) and reply like this BCDAE, DCBAE..


A. Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam 

B. Nooh Alaihi Salam

C. Ibrahim Alaihi Salam

D. Adam Alaihi Salam

E. Yusuf Alaihi Salam

F. Eesa Alaihi Salam

G. Musa Alaihi Salam

H. I want to know



Sahi Jawab DBCGFA
-----------
D. Adam Alaihi Salam

B. Nooh Alaihi Salam

C. Ibrahim Alaihi Salam

G. Musa Alaihi Salam

F. Eesa Alaihi Salam

A. Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam

Maidan e mahshar mein Ummat ki shafaat
 
---------------------------
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu Qayamat ke din jaise hum duniya mein jama hote hain usee tarah momeeno ko ekaththa kerega (woh garmi se pareshan ho kar) kahenge kash hum kisi ki sifarish apne maalik ke paas le jate taake humein apni is haalat se aaram mil jaye Isliye sab mil kar Aadam Alaihi Salam ke paas aayenge, aur unse kahenge oh Adam Alaihi salam aap logo ka haal nahi dekhte kis balaa mein girftar hain. Aap ko Allah subhanahu ne ( khaas ) apne haath se banaya aur farishton se aap ko sajda karaya aur har cheez ke naam aap ko batlaye ( har zuban mein bolna baat karna sikhaya) kuch sifarish kijiye taaki hum logon ko is jagah se nijaat ho kar aaraam miley. Wo farmayenge main is layaq nahi, un ko wo khata yaad aa jayegi jo unhon ne ki thi ( mamnoo darakht mein se khana ), tum log aisa karo Nooh Alaihi Salam ke paas jao wo pahle Rasool hain jinko Allah Subhanahu ne zameen walon ki taraf bheja tha.

Aakhir wo log sab Nooh Alaihi Salam ke paas aayenge, wo bhi yahi jawab denge, Main is Layaq nahi apni khata jo unhon ne (duniya mein) ki thi yaad karenge, wo bhi kahenge tum log aisa karo ibrahim alaihi salam ke paas jao jo Allah ke khalil hain ( log un ke paas jayenge) wo bhi apni khatayein yaad kar ke kahenge mein is layaq nahi tum moosa Alaihi Salam ke paas jao Allah ne un ko taurat inayat farmayee, un se bol kar baatein kee.

Phir log Moosa Alaihi Salam ke paas aayenge woh bhi yahi kahenge mein is Layaq nahi apni khata jo unhon ne duniya mein ki thi yaad karenge , (aur kahenge) tum aisa karo Eesa Alaihi salam ke paas jao woh Allah ke bande, aur uske Rasool hain, uska khaas kalma aur khaas rooh hain. 
yeh log eesa Alaihi Salam ke paas aayenge woh kahenge mein is Layaq nahi tum aisa karo Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam ke paas jao woh Allah ke aise bande hain jin ki agli pichli khatayein sab bakhsh di gayi hain
Aakhir yeh sab log jama ho kar mere paas aayenge.
 

Main phir apne RAB ki bargaah mein haazir honey ki ijazat manguga, mujh ko ijazat mil jayegi. Mein apne RAB ko dekhte hi Sajde mein chala jaunga aur jab tak usko manzoor hoga woh mujhko sajde hi mein rehne dega. Uske baad hukm hoga Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam apna sir uthao aur arz karo tumhari arz suni jayegi tumhari darkhwast Manzoor hogi, tumhari sifarish maqbool hogi is waqt mein apne malik ki is tarah Hamd (tariff) karuga jo woh mujh ko sikha chuka hai. ( ya sikhlaye ga ) phir logon ki sifarish shuru kar dunga. sifarish ki ek hadd muqarrar kar di jayegi. main unko jannat mein le jaoon ga.

Phir (dusri baar) lout kar apne RAB ke paas haazir hunga aur phir se usko dekhte hi sajde mein chala jauunga aur jab tak usko manzoor hoga woh mujhko sajde hi mein rehne dega. Uske baad hukm hoga Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam apna sir uthao aur arz karo tumhari arz suni jayegi

….Uske baad hukm hoga Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam apna sir uthao aur arz karo tumhari arz suni jayegi tumhari darkhwast Manzoor hogi, tumhari sifarish maqbool hogi is waqt mein apne malik ki is tarah Hamd (tariff) karuga jo woh mujh ko sikha chuka hai. ( ya sikhlaye ga ) phir logon ki sifarish shuru kar dunga. lekin sifarish ki ek hadd muqarrar kar di jaye gi. mein un ko bahisht mein le jaoon ga 

Phir (teesri baar) lout kar apne RAB ke paas haazir hunga aur phir se usko dekhte hi sajde mein chala jauunga aur jab tak usko manzoor hoga woh mujhko sajde hi mein rehne dega. Uske baad hukm ho ga Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam apna sir uthao aur arz karo tumhari arz suni jayegi tumhari darkhwast Manzoor hogi, tumhari sifarish maqbool hogi is waqt mein apne malik ki is tarah Hamd (tariff) karuga jo woh mujh ko sikha chuka hai. ( ya sikhlaye ga ) phir logon ki sifarish shuru kar dunga. lekin sifarish ki ek hadd muqarrar kar di jayegi, main unko jannat mein le jaoon ga. 

Phir (chothi baar) lout kar apne RAB ke paas haazir hunga aur arz karunga YA RAB ab to dozakh mein aise hi log rah gaye hain jo Quran ke hisab se dozakh hi mein hamesha rehne ke layaq hain (yani kafir aur mushrik) Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya phir dozakh se woh log nikaal liye jayenge jinhone (duniya mein ) La ilaha illAllah kaha hoga aur unke dil mein ek jau ke barabar bhi imaan hoga phir woh log bhi nikaal liye jayenge jinhone La ilaha illAllah kaha hoga aur unke dil mein gehun ke dane ke barabar bhi imaan hoga. phir woh bhi nikaal liye jayege jinhon ne La ilaha illAllah kaha ho ga aur un ke dil mein zarre ke barabar bhi imaan ho ga
Sahih Bukhari, Jild 8, 7410


The intercede of the ummah on the day of Qayamah Part
----------------------------
Narrated Anas Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Allah will gather the believers on the Day of Resurrection in the same way (as they are gathered in this life), and they will say, 'Let us ask someone to intercede for us with our Lord that He may relieve us from this place of ours.' Then they will go to Adam Alaihi Salam and say, 'O Adam Alaihi Salam ! Don't you see the people (people's condition)? Allah created you with His Own Hands and ordered His angels to prostrate before you, and taught you the names of all the things. Please intercede for us with our Lord so that He may relieve us from this place of ours.' Adam Alaihi Salam will say, 'I am not fit for this undertaking' and mention to them the mistakes he had committed, and add, "But you better go to Noah Alaihi Salam as he was the first Apostle sent by Allah to the people of the Earth.


They will go to Noah Alaihi Salam who will reply, 'I am not fit for this undertaking,' and mention the mistake which he made, and add, 'But you'd better go to Ibrahim Alaihi Salam, Khalil Ar-Rahman.' They will go to Ibrahim Alaihi Salam who will reply, 'I am not fit for this undertaking,' and mention to them the mistakes he made, and add, 'But you'd better go to Moses Alaihi Salam, a slave whom Allah gave the Torah and to whom He spoke directly


They will go to Moses who will reply, 'I am not fit for this undertaking,' and mention to them the mistakes he made, and add, 'You'd better go to Jesus, Allah's slave and His Apostle and His Word (Be: And it was) and a soul created by Him.' They will go to Jesus who will say, 'I am not fit for this undertaking, but you'd better go to Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam whose sins of the past and the future had been forgiven (by Allah).' So they will come to me


And I will ask the permission of my Lord, and I will be permitted (to present myself) before Him.
When I see my Lord, I will fall down in (prostration) before Him and He will leave me (in prostration) as long as He wishes, and then it will be said to me, 'O Muhammad! Raise your head and speak, for you will be listened to; and ask, for you will be granted (your request); and intercede, for your intercession will be accepted.' I will then raise my head and praise my Lord with certain praises which He has taught me, and then I will intercede. Allah will allow me to intercede (for a certain kind of people) and will fix a limit whom I will admit into Paradise.


I will come back again (second time) , and when I see my Lord (again), I will fall down in prostration before Him, and He will leave me (in prostration) as long as He wishes and then He will say, 'O Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam! Raise your head and speak, for you will be listened to


and ask, for you will be granted (your request); and intercede, for your intercession will be accepted.' I will then praise my Lord with certain praises which He has taught me, and then I will intercede. Allah will allow me to intercede (for a certain kind of people) and will fix a limit to whom I will admit into Paradise,


I will return again (third time), and when I see my Lord, I will fall down (in prostration) and He will leave me (in prostration) as long as He wishes, and then He will say, 'O Muhammad! Raise your head and speak, for you will be listened to, and ask, for you will be granted (your request);
and intercede, for your intercession will be accepted.' I will then praise my Lord with certain praises which He has taught me, and then I will intercede. Allah will allow me to intercede (for a certain kind of people) and will fix a limit to whom I will admit into Paradise.


I will come back and say, 'O my Lord! None remains in Hell (Fire) but those whom Qur'an has imprisoned therein and for whom eternity in Hell (Fire) has become inevitable.' " The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam added, "There will come out of Hell (Fire) everyone who says: 'La ilaha illal-lah,' and has in his heart good equal to the weight of a barley grain. Then there will come out of Hell (Fire) everyone who says: ' La ilaha illal-lah,' and has in his heart good equal to the weight of a wheat grain. Then there will come out of Hell (Fire) everyone who says: 'La ilaha illal-lah,' and has in his heart good equal to the weight of an atom (or a smallest ant).
Sahih Bukhari, Book 93, Hadith 507



No comments:

Post a Comment