Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Monday, January 15, 2018

Only-Quran-Hadith Quiz 248

Only-Quran-Hadith Quiz 248



Sawal: Rasol-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko ek baar khwab mein

dikhaya gaya ki ek shakhs ka jabda lohe ke hook se cheera ja raha 

tha us shakhs ka kya gunah tha?


A. Maa baap ka nafarman tha

B. Logo ki Geebat karne wala tha

C. Sood khane wala tha

D. Jhooti baatein bayan karta tha

E. Inmein se koi nahi

F. Sahih Jawab ka intezar hai
------------
A. The prophet sal-alalahu alaihi wasallam saw in a dream that a 

person jawbone was being torn by an iron hook, fir which sin he 

was getting these kind of punishment?



A. He was undutiful to his parents.

B. He was a backbiter

C. He used to deal in Riba (usury)

D. He used to tell lies

E. None of the above

F. I want to know



Sahi Jawab;D. Jhooti baatein bayan karta tha
---------------------------------------------

Rasool-Allah sal-alalahu alaihi wasalam ko ye bataya gaya ki
jis aadmi ka jabda lohe ke ankas (hook) se pharha ja raha tha to woh jhoota aadmi tha jo jhooti baatein bayan kiya karta tha. is se woh jhooti baatein dusre log suntay, is tarah ek jhooti baat dur dur tak phail jaya karti thi. usko Qayamat tak yahi azaab hota rahga
Sahih Bukhari, Jild 2, 1386
-------------
Note : Astagfirullah Rabbi....Aajkal whats app aur dusre social media par kuch log bina dalil ki jhoothi baate share karte rahte hain unko is hadith se ibrat hasil karni chahiye ki kahi nawuzubillah unka jabda bhi isee tarah na cheer diya jaye.Allah hum sabko har tarah ke azab se bachaye
-------------
The prophet Sal-alalahu alaihi wasallam was informed that
The one whose cheek you saw being torn away, he was a liar and he used to tell lies, and the people would report those lies on his authority till they spread all over the world. So, he will be punished like that till the Day of Resurrection.
Sahih Bukhari, Book 23, 468

Note : Now a days on social media some people share many fake and false things , they should take lesson from this hadith , May Allah save us from all kind of punishment


No comments:

Post a Comment