Only-Quran-Hadith Quiz -201
Sawal: Us khushnaseeb Sahabi ka kya
naam hai jinke liye Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya tha
فَدَاكَ أَبِي وَأُمِّي
Tum par mere Maa Baap Qurban ho??
A. Abu bakr siddiq Radi Allahu anhu
B. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu
C. Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu
D. Khalid bin walid Radi Allahu anhu
E. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------
Quiz: What is the name of that lucky Sahabi for whom Rasool-Allah
Sal-Allahu
alaihi wasallam said ...
فَدَاكَ أَبِي وَأُمِّي
"Let my father and mother be sacrificed for you" ?
A. Abu bakr siddiq Radi
Allahu anhu
B. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu
C. Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu
D. Khalid bin walid Radi Allahu anhu
E. I want to know
Bismillahirrahmanirrahim
Hadith:Eh Saad teer chalao tum par mere
maa baap Qurban ho
--------------------------------
Hazrat Ali Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi
wasallam ko kisi ke liye apne maa baap ko Qurban karne ka lafz nahi suna siwaye
saad bin abi waqas radi allahu anhu ke , maine Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi
wasallam se suna aap farma rahe they Eh Saad , Teer chalao tum par mere maa
baap Qurban ho aur mera khayal hai ki ye Ghazwa e uhad ke moqe par farmaya
Sahih Bukhari, Jild 7, 6184
Saad bin Abi Waqqas Radi allahu anhu se
rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne Uhad wale din apne
tarkash mein se teer nikal kar mujhe diye aur farmaya ki teer chalao tum par
mere maa baap Qurban ho
Sahih Bukhari, Jild 6, 4055
------------------------
Narrated Ali radi allahu anhu
I never heard Allah's Messenger Sal-Allahu alaihi wasallam saying, "Let my
father and mother be sacrificed for you," except for Sa`d (bin Abi
Waqqas). I heard him saying, "Throw! (arrows), Let my father and mother be
sacrificed for you !" (The sub-narrator added, "I think that was in
the battle of Uhud.")
Sahih Bukhari, Book 73, Hadith 203
Narrated Saad bin Abi
Waqqas Radi allahu anhu: The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam took out a
quiver (of arrows) for me on the day of Uhud and said, "Throw (arrows);
let my father and mother be sacrificed for you."
Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 385
No comments:
Post a Comment