Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, March 31, 2019

Hadith: Salam ko phailao, tum bhi salamat rahoge





*Bismillahirahmanirrahim*

*Mafhum e Hadith:  Salam ko phailao, tum bhi salamat rahoge*
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  Salam ko phailao, tum bhi salamat rahoge aur salam mein bukhl Karne wala Sabse bada bakhil hai,
Al-Silsila-As-Sahiha 262, 264
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  سلام کو پھیلاؤ ، تم بھی  سلامت رہو گے  اور سلام میں بخل کرنے والا سب سے بڑا بخیل ہے۔
السلسلہ صحیحہ  ٢٦٢ ، ٢٦٤ 
----
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया सलाम को फैलाओ , तुम भी सलामत रहोगे और सलाम में बुखल करने वाला सबसे बड़ा बखील है , 
अल सिलसिला अस सहीहा  , 262,264
----
✦ Rasool-Allah  Sal-Allahu Alaihi Wasallam said  Make the greeting common practice among you and you will be safe and the most miserly of people are those who are miserly with the greeting of peace.
Al-Silsila-As-Sahiha-264

Thursday, March 28, 2019

Juma ki namaz ko pabandi se padhne walo ki fazilat



Bismillahirahmanirrahim

✦ Juma ki namaz ko pabandi se padhne walo ki fazilat
-------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu Qayamat ke din dino ko (yani sunday, monday ...in sabko)  unki halat mein zahir karega aur juma ke din ko chamakta hua (sitare ki tarah) zahir karega, Ahl e juma (Juma ki namaz ka pabandi se ehatmam karne wale) usko is tarah ghere huye honge jaise dulhan ko uske shohar ki taraf bhejte huye gher liya jata hai.Ye (Juma ka din) unke liye (Ahl e juma ke liye) roshni karega aur wo uski roshni mein chalenge, unke rang baraf ki taraf safed honge aur unki khushbu kasturi ki tarah phoot rahi hogi wo kafur ke pahad mein mashgul honge,  jinn aur insan unko dekh rahe honge aur wo tajjub ki wajah se nigah neechi nahi karenge  yaha tak ki wo Jannat mein dakhil ho jayenge aur sawab ki niyyat se azan dene walo ke alawa koi bhi un logo ke martabe tak nahi pahuch sakega
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees – 565
-------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ قیامت كے دن،دنوں( ایام) كو ان كی حالت میں ظاہر كرے گا، اور جمعہ كے دن كو چمكتا ہوا ستارہ بنا كر ظاہر كرے گا، اہل جمعہ اس کو اس طرح گھیرے ہوئے ہوں گے جیسے دلہن کو اس کےشوہر کی طرف بھیجتے ہوئے گھیر لیا جاتا ہے۔یہ ان کے لئے روشنی کرے گا۔ اور وہ اس كی روشنی میں چلیں گے، ان كے رنگ برف كی طرح سفید ہونگے ، ان كی خوشبو كستوری كی طرح پھوٹ رہی ہوگی، وہ كافور كے پہاڑوںمیں مگن ہوں گے۔ جن و انس انہیں دیكھ رہے ہوں گے۔ وہ خوشی سے کسی کی طرف التفات نہیں کریں گے، حتی كہ وہ جنت میں داخل ہو جائیں گے۔ان كے ساتھ صر ف ثواب كی نیت سے اذان دینے والوں كے علاوہ كوئی شریك نہ ہوگا۔
السلسلہ اسصحیحہ  ٥٦٥ 
-------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहु क़यामत के दिन दिनों को (यानी सोमवार, मंगलवार ...इन सबको)  उनकी हालत में ज़ाहिर करेगा और ज़ूमा के दिन को चमकता हुआ (सितारे की तरह) ज़ाहिर करेगा, अहल-ए-ज़ूमा (ज़ूमा की नमाज़ का पाबंदी से एहतमाम करने वाले) उसको इस तरह घेरे हुए होंगे जैसे दुल्हन को उसके शोहार की तरफ भेजते हुए घेर लिया जाता है, ये (ज़ूमा का दिन) उनके लिए (अहल-ए-ज़ूमा के लिए) रोशनी करेगा और वो उसकी रोशनी में चलेंगे, उनके रंग बरफ की तरफ सफेद होंगे और उनकी खुश्बू कस्तूरी की तरह फूट रही होगी वो काफूर के पहाड़ में मशगूल होंगे,  जिन्न और इंसान उनको देख रहे होंगे और वो ताज्जुब की वजह से निगाह नीची नही करेंगे, यहाँ तक की वो जन्नत में दाखिल हो जाएँगे और सवाब की निय्यत से अज़ान देने वालो के अलावा कोई भी उन लोगो के मर्तबे तक नही पहुँच सकेगा
अल-सिलसिला-अस-सहिहा हदीस–565

✦ The Virtue of those who pray Friday prayers sincerely 
-------
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said , On the day of Qayamah, Allah subhanahu will raise the days (Sunday, Monday..etc.) in their form , but the day of juma (Friday) will be raised as a big shining (star)  The People of Friday (the one who sincerely pray Friday prayers) will surround to it , like a bride is surrounded on the time when she was being sent to her bridegroom.That (friday) will spread light for those people (for Ahal a Juma) and they will walk in that light. Their color will be white like an ice and the  fragrance of musk will be coming out from them . they will be busy in the mountain of Camphor (kafoor) . Many jinn and human being will be watching them surprisingly and those will enter in paradise.
Nobody will be able to reach on that level except the  one who pronounce Adhan (the call of prayer) with the intention of getting good deeds ( he will also reach to that level)
Al-Silsila-As-Sahiha-565



Wednesday, March 27, 2019

Surah Al-Baqarah aakhri do aayato ki fazilat aur uska tarjuma




Urdu Video


English Video

*Bismillahirahmanirrahim*

*Surah Al-Baqarah aakhri do aayato ki fazilat aur uska tarjuma*
-----------
✦ Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)
Sahih Bukhari, Jild 6, 5009 
-----------
آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ
 كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ
لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ
وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ

لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ
  رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَاأَوْ أَخْطَأْنَا
 رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا،
 رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِه،ِ
وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا
أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ

-----------
✦  Al Quran : Rasool (sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi sab imaan rakhte hain Allah par aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , (aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai.
✦  ALLAH Subhanahu kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga 
✦ Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma , 
✦ Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala , 
✦ Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi, 
✦ aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar. 
✦ Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farmaSurah Al-Baqara (2) Aayat 285 - 286
-----------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جس نے سورۃ البقرہ کی دو آخری آیتیں رات میں پڑھ لیں وہ اسے ہر آفت سے بچانے کے لیے کافی ہو جائیں گی۔ 
صحیح بخاری جلد ٦ / ۵۰۰۹
-----------
 القرآن : رسول (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) اس پر ایمان لائے (یعنی اس کی تصدیق کی) جو کچھ ان پر ان کے رب کی طرف سے نازل کیا گیا اور اہلِ ایمان نے بھی، سب ہی (دل سے) اﷲ پر اور اس کے فرشتوں پر اور اس کی کتابوں پر اور اس کے رسولوں پر ایمان لائے، (نیز کہتے ہیں:) ہم اس کے پیغمبروں میں سے کسی کے درمیان بھی (ایمان لانے میں) فرق نہیں کرتے، اور (اﷲ کے حضور) عرض کرتے ہیں: ہم نے (تیرا حکم) سنا اور اطاعت (قبول) کی، اے ہمارے رب! ہم تیری بخشش کے طلب گار ہیں اور (ہم سب کو) تیری ہی طرف لوٹنا ہے

اللہ کسی پر اس کی طاقت سے زیادہ بوجھ نہیں ڈالتا ۔    ہر ایک پائے گا جو کمائے گا اور بھرے گا جو کرے گا ۔  اے پروردگار! اگر ہم بھول جائیں یا غلطی کر بھیٹیں تو ہم سے مواخذہ نہ فرمانا اور اے ہمارے پروردگار! ہمارے اوپر اس طرح کا کوئی بار نہ ڈال ،  جیسا تونے ان لوگوں پر ڈالا ،  جو ہم سے پہلے ہو گذرے اور اے ہمارے پروردگار! ہم پر کوئی ایسا بوجھ نہ لاد ،  جس کو اٹھانے کی ہم میں طاقت نہ ہو اور ہمیں معاف کر ،  ہمیں بخش اور ہم پر رحم فرما ۔  تو ہمارا مولیٰ ہے ،  پس کافروں کے مقابل میں ہماری مدد کر!
القرآن سورة البقرہ  (۲) ٢٨٥-٢٨٦ 
-----------
✦  The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night,that will be sufficient for him.(it means he will be protected from all kind of evils in that night)
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, Hadith 530
-----------
✦  Al Quran : The Messenger (Muhammad sallallahu alaihi wasallam ) believes in what has been sent down to him from his Lord, and (so do) the believers. Each one believes in Allah, His Angels, His Books, and His Messengers. (They say), We make no distinction between one another of His Messengers" - and they say, We hear, and we obey. (We seek) Your Forgiveness, our Lord, and to You is the return (of all).
✦ Allah burdens not a person beyond his scope. He gets reward for that (good) which he has earned, and he is punished for that (evil) which he has earned. 
✦ Our Lord ! Punish us not if we forget or fall into error, 
✦ Our Lord ! Lay not on us a burden like that which You did lay on those before us (Jews and Christians); 
✦ Our Lord ! Put not on us a burden greater than we have strength to bear. 
✦ Pardon us and grant us Forgiveness. Have mercy on us. 
✦ You are our Maula (Patron, Supporter and Protector, etc.) and give us victory over the disbelieving people. 
-----------
Surah Al-Baqara (2) Verse 285 - 286

https://youtu.be/TXi7r84ZxoQ

Tuesday, March 26, 2019

Hadith : Jab tum janaze ko dekho to khade ho jao





*Bismillahirahmanirrahim*

✦ Hadith : Jab tum janaze ko dekho to khade ho jao 
-----
✦ Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se riwayat hai ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke samne se ek janaza guzra to Aap uske liye khade ho gaye aur ham bhi Aap Sallallahu Alahih Wasallam ke sath khade ho gaye phir hamne arz ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ye to ek Yahudi aurat Ka janaza hai to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya maut khauf aur ghabrahat ka sabab hai, islye jab tum janaze ko dekho to khade ho jao 
Sahih Muslim, Jild 2, Hadith 2222
-----
✦ जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है एक बार रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैहि वसल्लम के सामने से एक जनाज़ा गुज़रा तो आप उसके लिए खड़े हो गये और हम भी आप सललल्लाहू अलैहि वसल्लम के साथ खड़े हो गये फिर हमने अर्ज़ की या रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैहि वसल्लम ये तो एक यहूदी औरत का जनाज़ा है तो आप सललल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया मौत ख़ौफ़ और घबराहट का सबब है, इस लिए जब तुम जनाज़े को देखो तो खड़े हो जाओ 
सही मुस्लिम, जिल्द 2, हदीस  2222
-----
جابر بن عبداللہ رضی اللہ عنه سے روایت کی ایک  بار رسول اللہ ﷺ کے سامنے سے 
 ایک جنازہ گزرا تو آپ ﷺ  اس کے لئے کھڑے ہوگئے اور ہم بھی آپ  ﷺ  کے ساتھ کھڑے
 ہوگئے پھر ہم نے عرض کی : اے اللہ کے رسول  ﷺ  !یہ تو ایک یہودی عورت ( کا جنازہ ) ہے
تو آپ  ﷺ  نے فرمایا :    موت خوف اور گھبراہٹ ( کا باعث )  ہے ، اس لئے
 جب تم جنازے کو دیکھو تو کھڑے ہوجاؤ ۔    
صحیح مسلم جلد ٢ حدیث ٢٢٢٢ 
 -----
✦ Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu said There passed a bier and the Prophet ( ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ ) stood up for it and we also stood up along with him. We said: Messenger of Allah, that was the bier of a Jewess. Upon this he remarked: Verily, death is a matter of consternation, so whenever you come across a bier stand up.
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 2095

Mafhum-e-Hadith : Masjid mein namaz ke baad baithne ki fazilat





*Bismillahirahmanirrahim*

✦ Mafhum-e-Hadith : Masjid mein namaz ke baad baithne ki fazilat
--------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab banda Wuzu Kar ke Masjid main aata hai to Allah Subhanahu uske har Qadam ke badle das  nekiyan likhte hai phir jab wo Masjid mein Namaz padh kar wahi baith jata hai to wo roza rakhne wale aur Qayam Karne wale ki tarah hota hai jab tak ki wo laut na aaye
Masnad Ahmed # 591-Sahih
----------
 رسول اللہ ‌صلی الله ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا جب بندہ وضو کر کے مسجد میں آتا ہے تو اللہ تعالیٰ اس کے ہر قدم کے بدلے دس نیکیاں لکھتے ہیں، پھر جب وہ مسجد میں نماز پڑھ کر وہیں بیٹھ جاتا ہے تووہ روزہ رکھنے والے اور قیام کرنے والے کی طرح ہوتا ہے، جب تک کہ وہ لوٹ کر نہ آ جائے  
مسند احمد  ۵۹۱ صحیح
-----
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब बंदा वुज़ू कर के मस्जिद में आता है तो अल्लाह सुबहानहु उसके हर क़दम के बदले दस नेकियाँ लिखते हैं  फिर जब वो मस्जिद में नमाज़ पढ़ कर वही बैठ जाता है तो वो रोज़ा रखने वाले और क़याम करने वाले की तरह होता है जब तक की वो लौट ना आए 
मसनद अहमद  # 591-सही
-----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said After perofrming ablution (Wudhu) if a slave comes in masjd , Allah subhanahu increase his 10 good deeds for each steps , And after performing prayer if he sits in the masjid he will be like the one who fast and do Qayam untill he return back (from masjid)
Masnad Ahmed # 591-Sahih

Monday, March 25, 2019

Al Quran : Aur Jab Quran padha jaye to gaur se suna karo aur khamosh raha karo taaki tum par raham kiya jaye




Bismillahirahmanirrahim

Al Quran : Aur Jab Quran padha jaye to gaur se suna karo aur khamosh raha karo taaki tum par raham kiya jaye
--------
اور جب قرآن پڑھا جائے تو توجہ سے سنا کرو اور خاموش رہا کرو تاکہ تم پر رحم کیا جائے
--------
अल कुरान : और जब कुरान पढ़ा जाए तो गौर से सुना करो और ख़ामोश रहा करो ताकि तुम पर रहम किया जाए 
--------
Al Quran : So, when the Quran is recited, listen to it, and be silent that you may receive mercy.
--------
Surah Al Aaraf (7), Aayat 204

Wednesday, March 20, 2019

Al Quran : Eh logo Jo Imaan laye ho Allah Subhanahu se darte raha karo




Bismillahirahmanirrahim

✦ Al Quran : Eh logo Jo Imaan laye ho Allah Subhanahu se darte raha karo  aur uske Rasool (Sal-Allahu Alaihi wasallam) par Imaan lao Allah Subhanahu tumhein apni Rehmat ka dohra hissa dega aur tumhein Noor dega jiski Roshni mein tum chaloge aur tumhare gunah bhi maaf farma dega Allah Subhanahu bakashne wala mehrban hai 
Surah Hadeed (57) aayat (28)
-------------
اے لوگوں جو ایمان لائے ہو اللہ سے ڈرتے رہا کرو اور اس کے رسول پر ایمان لاؤ اللہ تمہیں اپنی رحمت کا دوہرا حصہ دے گا اور تمہیں نور عطا فرماۓ گا جس کی روشنی میں تم چلو پھرو گے اور تمہارے گناہ بھی معاف فرما دے گا ، اللہ بخشنے والا مہربان ہے ۔ 
سورۃ الحدید (۵۷) آیت ۲۸ 
--------
✦ अल क़ुरान : एह वो लोगो जो ईमान लाए हो अल्लाह सुबहानहु से डरते रहा करो  और उसके रसूल (सललल्लाहू अलैहि वसल्लम) पर ईमान लाओ अल्लाह सुबहानहु तुम्हें अपनी रहमत का दोहरा  हिस्सा देगा और तुम्हें नूर अता फरमाएगा  जिसकी रोशनी में तुम चलोगे और तुम्हारे गुनाह भी माफ़ फरमा देगा अल्लाह सुबहानहु बख्शने वाला मेहरबान है
सुरह हदीद (57),  आयत (28)
------------
✦ O you who have believed, fear Allah and believe in His Messenger; He will [then] give you a double portion of His mercy and make for you a light by which you will walk and forgive you; and Allah is Forgiving and Merciful. 
Surah Hadeed (57)  Verse (28)


❗Only-Quran-Hadith Quiz 745❗

❗Only-Quran-Hadith Quiz 745❗ 

*Ek jung mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ek unchi jagah par chadhna chah rahe they magar chadh nahi paaye to ek sahabi us waqt neeche baith gaye jin par apna qadam mubarak rakh kar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam us jagah chadh gaye aur phir un sahabi ko ek khushkhabri di* 

*Sawal 1 : Wo khushnaseeb sahabi kaun they ?* 

A. Ali Radi allahu anhu 
B. Maaz bin Jabal Allahu Anhu 
C. Saad bin abi waqas Radi Allahu anhu 
D. Abu talha Radi Allahu anhu 
E. Abu Bakr Radi Allahu Anhu 
F. Sad bin maaz Radi Allahu Anhu 
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi jawab ka intezar hai 

*Sawal 2 : Unko kya khushkhabri di ?* 

A. Us Jung mein fateh ki 
B. Us jung mein shahadat ki 
C. Jannat ki 
D. Maal e ganeemat ki 
E. Hijrat ki 
F. Qaisar aur Qisra ke mahlo ki 
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi jawab ka intezar hai 
_________________________________ 

❗Only-Quran-Hadith Quiz❗ 

*In one battle Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam wanted to climb up on to a rock but he couldn't , that time A Sahabi sat down and Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Stepped on his back and climbed up to that rock and gave him good news* 

*Quiz 1 : Who was that Sahabi ?* 

A. Ali Radi allahu anhu 
B. Maaz bin Jabal Allahu Anhu 
C. Saad bin abi waqas Radi Allahu anhu 
D. Abu talha Radi Allahu anhu 
E. Abu Bakr Radi Allahu Anhu 
F. Sad bin maaz Radi Allahu Anhu 
G. None of the above 
H. I want to know 

*Quiz 2 : Regarding what the Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam gave him good news?* 

A. Victory in the battle 
B. Got martyr in the battle  
C. Paradise 
D. War booty (maal e ganimah) 
E. Migration 
F. The palace of Qaisar and Qisra 
G. None of the above 
H. I want to know 


✅ *Sahi Jawab GC* 💐 
 ---------
Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ghzawa-e-Uhad mein RasoolAllah SallAllahu 
Alaihi Wasallam ke jism-e-mubarak par Do (lohe ki) Zirahein thi , Aap SallAllahu Alaihi 
Wasallam ek chattan par chadne lage magar chadh na sake , phir Talha Radi Allahu Anhu 
(ghutno ke bal) neeche baith gaye aur un par paanw rakh kar  Aap SallAllahu Alaihi Wasallam upar chadh gaye , aur uske baad RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne 
farmaya unke liye (Talha Radi Allahu Anhu ke liye)  Jannat wajib ho gayee  Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1669-Hasan 

Yaha jin sahaba ko jannat ki khushkhabro di gayee wo *Talhah ibn Ubaydallah* Radi Allahu Anhu they wo makka mein paida huye they. 
https://en.wikipedia.org/wiki/Talhah 

Jabki Abu Talha Radi Allahu Anhu ka asli naam Zayd ibn Sahl ibn al-Aswad tha wo bhi Ghzwa e uhad mein saath they aur wo madina mein paida huye they. https://en.wikipedia.org/wiki/Abu_Talha_al-Ansari 

Sahabah participated in battle of Uhud 
https://en.wikipedia.org/wiki/Category:Sahabah_participated_in_battle_of_Uhud 
--------- 
Narrated Zubair Radi Allahu Anhu that On the Day of (the battle of) Uhud, the Messenger of 
Allah (ﷺ) wore two coats of mail. He tried to get up on a Rock , but was not able to, so Talhah Radi Allahu Anhu sat (with his knees bent) under him, lifting the Prophet (ﷺ) upon it, such that he could sit on the Rock. So he said: 'It (Paradise) has been obligatory for Talhah. 
Jamia Tirmidhi, Book 46, 3738-Hasan 

Here the companion who got the good news of Paradise is *Talhah ibn Ubaydallah* Radi Allahu Anhu...he was born makka. https://en.wikipedia.org/wiki/Talhah 

The real name of Abu Talha Radi Allahu Anhu was Zayd ibn Sahl ibn al-Aswad...he was born in Madina and was alao present in the battle of Uhud. 
https://en.wikipedia.org/wiki/Abu_Talha_al-Ansari 

Sahabah participated in battle of Uhud 
https://en.wikipedia.org/wiki/Category:Sahabah_participated_in_battle_of_Uhud 
----------  


❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 744* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 744* ❗ 

*Jawab ek se zyada hai* 

*Sawal : Imein se kaun kaun se fazilat juma ke din ki hain ?* 

A. iska darja Eid Al Fitr se bhi zyada hai 
B. iska Darja Eid Al Adha se bhi zyada hai 
C. is din se aasman aur zameen darte hain 
D. Juma ki azan hote hi kharid o farokht chorh deni chahiye 
E. Allah ke kareeb jo farishte hain wo bhi is din darte hain 
F. Juma ki raat surah kahaf padhne se uske aur aasman ke beech noor ki roshni ho jati hai 
G. Sare Nabeeyo ko Juma ke din paida kiya gaya  
H. Sahi Jawab ka intezar hai 
__________________________________ 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗ 

*Answers are more than one* 

*Quiz : What are the importance of the friday ?* 

A. It is greater before Allah then the  Day of Fitr 
B. It is greater before Allah then the Day of Adha 
C. Heaven and earth fear on Friday 
D. We should leave of the business after the Adhan for friday prayer 
E. The  angel who is close to Allah fear on Friday 
F. Whoever reads Surah Al-Kahf on the night of Friday, will have a light that will stretch between him and the heaven G. All Prophets were created on friday 
H. I want to know 


✅ *Sahi Jawab ABCDE* 💐 
------------- 
Al Quran : Eh Imaan walon jab jumaa ke din namaz ke liye azan di jaye to Allah ke zikr ki taraf jaldi se aa jao aur kharid wa farokht chhodh do , tumhare liye yahi baat behtar hai agar tum ilm rakhte ho 
Surah Al Juma (62) , Aayat  9 

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya beshak juma ka din tamam dino ka sardar aur Allah Subhanahu ke nazdik sabse zyada azmat wala din hain iss ka darja Allah Subhanahu ke nazdik Eid ul Adha aur Eid ul fitr se bhi zyada hain iss ki paanch (5) khususiyat hain Allah Subhanahu ne is din Adam Alaihi Salam ko paida farmaya isee din uko zameen par utara isee din Allah Subhanahu ne inn ko wafat di aur iss din mein ek aisa waqt hai ke banda usmein jo bhi Allah Subhanahu se mange Allah Subhanahu usay dega jab tak ke haram cheez ka sawal na karen aur isee din Qayamat aayegi, Juma ke din har muqarrab farishtein asman, zameen, hawayein, pahad aur samandar (Qayamat ke aane se) darte rehte hain 
Sahi Al Jame, 2279-Hasan 

____________________ 

✅ *Answer ABCDE* 💐 
------------ 
✦ Al Quran : O you who believe! When the call is proclaimed for the Salat on Friday, come to the remembrance of ALLAH and leave off business.That is better for you if you did but know  Then when the Salat (prayer) is ended, you may disperse through the land, and seek the Bounty of ALLAH, and remember ALLAH much: that you may be successful. Al Quran, Surah Jumaa (62), Aayah: 9-10 

It was narrated that Abu Lubabah bin Abdul-Mundhir said: The Prophet (ﷺ) said: Friday is the chief of days, the greatest day before Allah. It is greater before Allah then the Day of Adha and the Day of Fitr. It has five characteristics: On it Allah created Adam; on it Allah sent down Adam to this earth; on it there is a time during which a person does not ask Allah for anything but He will give it to him, so long as he does not ask for anything that is forbidden; on it the Hour will begin. The  angel who is close to Allah, heaven, earth, wind, mountain, and sea fear on Friday  
Sahi Al Jame, 2279-Hasan 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 743* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 743* ❗ 

*Sawal  1 : Wo kaunse sahabi hain jo Qayamat ke din Ahl-e-ilm ki qayadat kar rahe honge ?* 

*Sawal  2 : Wo kaunse sahabi hain jinki biwi ko RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam ne jannat mein dekha tha ?* 

A. Abdullah bin masood Radi allahu anhu 
B. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu 
C. Uthman Radi Allahu anhu 
D. Ubai bin Kab Radi Allahu anhu 
E. Saad bin Maaz Radi Allahu Anhu 
D. Abu talha Radi Allahu Anhu 
E. Umar Radi Allahu anhu 
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi jawab ka intezar hai 
___________________________________ 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗ 

*Quiz 1 : Who will be the ahead of All scholars on the Day of Judgement ?* 

*Quiz 2 : Whose wife RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam saw in the paradise ?* 

A. Abdullah bin masood Radi allahu anhu 
B. Maaz bin jabal Radi Allahu Anhu 
C. Uthman Radi Allahu anhu 
D. Ubai bin Kab Radi Allahu anhu 
E. Saad bin Maaz Radi Allahu Anhu 
D. Abu talha Radi Allahu Anhu 
E. Umar Radi Allahu anhu 
G. None of the above 
H. I want to know 


✅ *Sahi Jawab BD* 💐 
--------------- 
RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab ulma apne RABB ke samne hazir honge to Maaz bin jabal (radi Allahu anhu) ek paththar ki phenk par ( yani kuch duri par) 
unse aage honge (yani ahal e ilm ki qayadat kar rahe honge) 
Al Silsila As Sahiha, 3417 

RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya main jannat mein dakhil hua to waha Abu 
Talha Radi Allahu Anhu ki biwi Rumaisa Radi Allahu Anha ko dekha 
Sahih Bukhari 3679 
--------------- 
RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam said that on the Day of Judgement, Muaad bin jabal will come, a throw of a stone (means for a distance) ahead of all scholars so it means he will be ahead of them. Al Silsila As Sahiha, 3417 

Narrated Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam said said, "I saw myself (in a dream) entering Paradise, and behold! I saw Ar-Rumaisa', Abu Talha's wife 
Sahih Bukhari, Book 57, Hadith 28 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 742* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 742* ❗ 

*Sawal 1 : Inmein se wo kaunsa aazkar hai jisko padhne se shaitan chota sa ho jata hai ?* 

A. Aayat Al Kursi 

B. - Bismillah 

C. - Alhamdulillahi Kathira 

D.- La ilaha illAllah 

E. Auzubillahi Min Ash-Shaitanirrajeem 

F. La hawla wa la Quwwata illa billah 

G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai 


*Sawal2 : Us Azkar ko kis waqt padhne par shaitan chota ho jata hai?* 

A. Khana shuru karte waqt 
B. Khana khane ke baad 
C. Ghar se nikalte waqt 
D. Ghar mein dakhil hote waqt 
E. Subah aur sham ko 
F. Koi bhi muskil kaam ke waqt 
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai 
____________________________________ 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗ 

*Quiz 1  : What is that azkar if a person recite, the devil will become soo small ?* 

A. Aayat Al Kursi 
   . 
B.Bismillah 

C.Alhamdulillahi Kathira 

D.La ilaha illAllah 

E.Auzubillahi Min Ash-Shaitanirrajeem 

F.La hawla wa la Quwwata illa billah 

G. None of the above 
H. I want to know 

*Quiz 2 : At which time one should recite that azkar ?* 

A. Before eating 
B. After Eating 
C. While exit from home 
D. White enter to home 
E. Morning and evening 
F. Any tough time 
G. None of the above 
H. I want to know 


✅ *Sahi Jawab BG* 💐 
------------- 
✦ Abu Al Malih Radi Allahu Anhu se rivayat hai  main Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke peeche sawar tha ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sawari phisal gayee maine kaha shaitan mrey to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya aise na kaho ke Shaitan mrey islye ke jab tum aisa kahoge to wo phool kar ghar ke barabar ho jayega aur kahega mere quwwat ko iss ne qubul kar liya , isliye (jab kabhi thokar lage ya phisal jao to) kaho Bismillah ( Allah ke naam se) kyunki jab tum ye kahoge to wo pichak kar itna chota ho jayega Jaise makhkhi 
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1545-Sahih 
------------- 
Abul Malih Radi Allahu Anhu said  I was riding on a mount behind the Rasool-Allah 
Sallallahu Alaihi Wasallam,, It stumbled. Thereupon I said: May the devil perish ! He 
Sallallahu Alaihi Wasallam, said: do not say; may the devil perish! because if you say that he (devil) will swell like a house, and will say (its) by my power. So (when you stumble) you should say  Bismillah  because when you say that, he will diminish like a fly 
Sunan Abu Dawud, Book 42, 4964-Sahih 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 741* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 741* ❗ 

*Dono sawalo mein jawab ek se zyada hai* 

*Sawal 1 : RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam kiske liye khas taur par agle, pichle, chup kar kiye huye aur elaniya taur par kiye huye tamam gunaho ki maafi ki dua farmayee?* 

A. Abu bakr radi allahu anhu ke liye 
B. Umar radi allahu anhu ke liye 
C. Ummat ke liye 
D. Apne aap ke liye 
E. Aisha radi allahu anha ke liye 
F. Fatima radi allahu anha ke liye 
G. Uthman Radi Allahu Anhu ke liye 
H. Sahi jawab ka intezar hai 

*Sawal 2 : Ye dua Aap SallAllahu Alaihi Wasallam kis waqt maanga karte they ?* 

A. Raat ko sote waqt 
B. Safar ke dauran 
C. Har namaz ke baad 
D. Tahajjud ke waqt 
E. Subah aur sham 
F. Neend se bedar hokar 
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi jawab ka intezar hai 
__________________________________ 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗ 

*For both quiz Answers are more than one* 

*Quiz 1 : For whom the RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam specially supplicated , to forgive the sins of past , future and the sins which were done secretly and publicly ?* 

A. Abu bakr radi allahu anhu  
B. Umar radi allahu anhu  
C. For his nation (Ummah) 
D. For himself 
E. Aisha radi allahu anha  
F. Fatima radi allahu anha 
G. Uthman Radi Allahu Anhu 
H. I want to know 

*Quiz 2 : At which time RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam used to supplicate ?* 

A. While sleeping 
B. During the journey 
C. After Every prayer D. In Tahajjud prayer 
E. Morning and evening 
F. While getting up in the morning 
G. After eating 
H. I want to know 


✅ *Sahi Jawab  CDE / CD* 💐 
--------- 
Aisha Radi Allahu Anha se riwayat hain ke jab maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi 
Wasallam ko khush dekha to kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Allah 
Subhanahu se mere liye dua kijiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ya Allah Aisha (Radi Allahu Anha) ke Agle aur peechle gunah maaf farma jo chup kar kiye aur jo elaniya taur par kiye , Aisha Radi Allahu Anha muskura diye Yaha tak ke unka sir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki goud mein aa gaya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tumhein meri dua Achchi lagi unhone kaha mujhe kya hua ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki dua mujhe achchi na lage Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ki 
kasam main har Namaz mein apni Ummat ke liye yehi dua karta hu Al Silsila As Sahiha , 3383 

Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam raat ko Tahajjud mein ALLAH se ye dua kiya karte the Eh ALLAH tere hi liye taarif hai , tu aasman aur zameen ka RAB hai, aur tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka qayam karne wala hai aur un sabka jo kuch usmein hai.Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tea qaul sachcha hai aur tera wada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai , dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai , Eh ALLAH maine teri hi samne sir jhuka diya aur tujh par imaan laya 
Maine teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya, maine teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu , tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain ,jo (gunah) maine chup kar kiye aur jo khule aam kiye ( wo maaf farma)Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi 
Sahih Bukhari, 7499 , 7385 
_______________________ 

✅ *Answer CDE / CD* 💐 
----- 
Aisha Radi Allahu anha reported: When I saw the RasoolAllah  SallAllahu Alaihi Wasallam with a cheerful face, I said, Ya RasoolAllah  SallAllahu Alaihi Wasallam supplicate to Allah for me. RasoolAllah  SallAllahu Alaihi Wasallam said, O Allah, forgive Aisha for her past and future sins, in secret and in public. Aisha laughed so much that her head fell from his lap. The Prophet said to her, “Does my supplication make you happy?” She said, “Why would your supplication not make me happy?” The Prophet said, “By Allah, it is my supplication for my nation(ummah) in every prayer. 
Al Silsila As Sahiha , 3383 

Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhu Whenever the Prophet (ﷺ) offered the night (Tahajjud) prayer, he used to say, "O Allah! All the Praises are for You; You are the Light of the Heavens and the Earth. And all the Praises are for You; You are the Keeper of the Heavens and the Earth. All the Praises are for You; You are the Lord of the Heavens and the 
Earth and whatever is therein. You are the Truth, and Your Promise is the Truth, and Your Speech is the Truth, and meeting You is the Truth, and Paradise is the Truth and Hell (Fire) is the Truth and all the prophets are the Truth and the Hour is the Truth. O Allah! I surrender to You, and believe in You, and depend upon You, and repent to You, and in Your cause I fight and with Your orders I rule. So please forgive my past and future sins and those sins which I did in secret or in public. It is You Whom I worship, None has the right to be worshiped except You . Sahih Bukhari, Book 93, 590 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 740* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 740* ❗ 

*Sawal : Ghazwa e Uhad ke din inmein se kauna sa farishta RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ki hifazat mein jung kar rahe tha ?* 

A. Mikail  Alaihi salam 
B. Israfil Alaihi salam 
C. Israil Alaihi salam 
D. Raqib  Alaihi salam 
E. Atid  Alaihi salam 
F. Uhad mein koi farishta nahi lada 
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai 
__________________________________ 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗ 

*Sawal : Which angel was faught to protect RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam on the battle of Uhud ?* 

A. Mikail  Alaihi salam 
B. Israfil Alaihi salam 
C. Israil Alaihi salam 
D. Raqib  Alaihi salam 
E. Atid  Alaihi salam 
F. No Angel was fought in Uhud 
G. None of the above 
H. I want to know 


✅ *Sahi Jawab A* 💐 
------------- 
Saad Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ghzwa e Uhud ke din maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam dahine aur bayein taraf do shaksho ko dekha jo safed kapde pahne huye they  maine is se pahle unko kabhi nahi dekha aur na uske baad kabhi dekha Wo hazrat 
Jibraeel Alaihi salam aur Mikaeel Alaihi salam they 
Sahih Muslim, Jild 6, 6004 

Saad Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ghzwa e Uhud ke din maine dekha ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ki saath do aur ashab aaye huye they wo apako apni hifazat mein le kar kuffar se badi sakhti se ladd rahe they unke jism par safed kapde they maine is se pahle unko kabhi nahi dekha aur na uske baad kabhi dekha 
Sahih Bukhari, Jild 5, 4044 
------------ 
Sad Radi Allahu Anhu reported that on the Day of Uhud I saw on the right side of Allah's Messenger (ﷺ) and on his left side two persons dressed in white clothes and whom I did not see before nor after that, and they were Gabriel and Michael (Allah be pleased with both of them). 
Sahih Muslim, Book 30, Hadith 5713 

Narrated Sa`d bin Abi Waqqas: I saw Allah's Messenger (ﷺ) on the day of the battle of Uhud accompanied by two men fighting on his behalf. They were dressed in white and were fighting as bravely as possible. I had never seen them before, nor did I see them later on. Sahih Bukhari, Book 59, Hadith 384 
----------------  

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 739* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 739 ❗ 

*Jawab ek se zyada ho bhi sakte hain aur nahi bhi ho sakte* 

*Sawal : Inmein se wo kya hai ya kaun hai jinke baare mein ummat ko zyada bahas karne se mana farmaya gaya hai ?* 

A. Sahaba 
B. Rooh 
C. Arsh 
D. Mairaj 
E. Taqdeer 
F. Farishte 
G. Qayamat ka waqt 
H. Sahi Jawab ka intezar hai 
______________________________________ 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗ 

*Answer can be more than one or only one* 

*Sawal : What is or what are the things that we should not argue over it or we should be silent in those matters ?* 

A. Sahaba (Companions ) 
B. Rooh (Spirit) 
C. Arsh (Throne) 
D. Mairaj (Night of journey) 
E. Destiny 
F. Angels 
G. Time of Qayamah 
H. I want to know 


-------------- 
✅ *Sahi Jawab AE* 💐 
------------
RasoolAllah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab mere sahaba ka zikr ho to khamosh raha karo (yani unki khatao ko nazarandaz kar diya karo), aur jab sitaro ka zirk ho tab bhi khamosh rahna aur jab taqdeer ka zikr ho tab bhi khamosh raha karo (yani in sabke baare mein zyada bahas na kiya karo)  
Al Silsila As sahiha, 3350 
---------- 
It was narrated from Ibn Masood Radi Allahu Anhu that the Rasool Allah SallAllahu Alaihi Wasallam said: If my Companions are mentioned, then keep quiet (means don't talk too much about them) if the stars are mentioned, then keep quiet; and if the divine decree is mentioned, then keep quiet. 
Al Silsilah As sahiha, 3350 

This hadeeth indicates that it is not permissible for a person to speak badly or argue of the Companions of the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him), and that he should keep quiet about the disputes that occurred among them ans also for stars and destiny a person should not argue because Allah is only has the full knowledge about all these things. 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 738* ❗

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz 738* ❗ 

*Dusre sawal mein jawab ek se zyada hain* 

*Sawal : Allah ke taraf se aawaz dene wala roz kitni baar logo se ye kahta hai ki tumne jo aag lagayee hai usko thandi kar do ?*  

A. Do baar (Subah aur sham ) 
B. Ek baar (subah ke waqt) 
C. Ek baar (Raat ke waqt) 
D. Ek baar (Sham ke waqt) 
E. Paanch baar (Har namaz ke waqt) 
F. Ek baar (Tahajjud ke waqt) 
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi Jawab ka intezar hai 

*Sawal 2 : Is hadith ke mutabiq wo kaunse aamal hain jisko karne se wo aag thandi hoti hai ?* 

A. Sadqa 
B. Namaz 
C. Roza  
D. Aansoo bahana 
E. Miskeen ko khana khilana 
F. Tauba Astigfar  
G. Wudhu 
H. Sahi Jawab ka intezar hai 
___________________________________ 

❗ *Only-Quran-Hadith Quiz* ❗ 

*Second Question has more than one answers* 

*Quiz 1 : How many times daily a caller of Allah says  to the people that get up and extinguish the fire which you set for youself ?* 

A. Two times (in the morning and evening) 
B. One time (in the morning) 
C. One time (in the night) 
D. One time (in the evening) 
E. Five times At every prayer time) 
F. One time (At the time of tahajjud) 
G. None of the above 
H. I want to know 

*Quiz 2 : According this hadith , by which deeds those fire can be extinguished ?* 

A. Charity (Sadqa) 
B. Prayer (Salah) 
C. fasting 
D. By tears 
E. Feeding to the poor 
F. Asking forgiveness (Astigfar) 
G. Ablution (Wudu) 
H. I want to know 

✅ *Sahi Jawab E BG* 💐 
---------- 
Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi 
Wasallam ne farmaya har namaz ke waqt ek Munadi bheja jata hai aur wo kahta hai Eh bani Adam utho apne liye jo aag jalayee hai usay bujha do, log khade hote hain aur Wuzu Karte hain to unki ankho se unki khatayain gir jati hain aur Namaz padhte hai to unke do namazon ke darmiyan ke gunah baksh diye jaate hain, phir jab zohar ka waqt hota hai to phir se munadi aawaz deta hai Eh bani Adam utho tumne apne liye jo aag jalayee hai usko bujha do,  wo khade hote hain ,wuzu karte hain aur namaz padhte hai to phir se darmiyani waqt ke gunah maaf ho jaate hain, phir jab Asar ka waqt aata hai to usee tarah hota hai aur jab Magrib ka waqt hota hai to usee tarah hota hai, Jab Isha ka waqt hota hai to usi tarah hota hai, phir wo so jaate hain aur unke gunaah baksh diye gaye hote hain, phir Aap Sallallahu 
Alaihi Wasallam ne farmaya is tarah koi khair (bhalayee) mein dub jata hai koi Shar (burayee) mein dub jata hai 
Al-Silsila-tus-Sahiha,785 

_________________________ 

✅ *Answer E BG* 💐 
---------- 
Narrated by Abdullah ibn masood Radii Allahu Anhhu that RasoolAllah Sallallhu alaihi wasallam said at the time of every prayer A caller being sent and he says Oh son of Adam get up and extinguish the fire which you set for yourself , when people get up and perform ablution (Wudu) , every sin they have  committed with their eyes are washed away and if they perfome prayer , the sins committed betweeen two prayers will be forgiven, when the time of Dhuhar comes , that caller again says Oh son of Adam get up and extinguish the fire which you set for yourself,  when people get up and perform ablution (Wudu) and prayer, the sins committed between two prayers will be forgiven,when the time of asar comes same thing happens and when the time of maghrib comes again same thing happens, and when the time of isha comes again same thing happens. After that , they got sleep and their sins will be forgiven. RasoolAllah Sallallhu  
Alaihi wasallam said in this way some people engage in good things and some in evil things Al-Silsila-tus-Sahiha, 785 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 737*❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 737*❗ 

*Sawal : Bani israeel ne jis bachde ki ibadat shuru kar di thi usse mutalliq inmein se kaun kaun see baate sahi hain?* 

A. Wo bachda unse baat karta tha 
B. Usko Jewarat ke jariye banaya tha 
C. Jibril Alaihi Salam ke ghode ke paanw se lagi mitti usmein dali gayee thi 
D. Firuan ne jadugar samri ko hukm dekar usko banwaya tha 
E. Uski Ibadat karne walo ko Qatl ki saza mili 
F. Harun Alaihi salam us waqt un logo ke beech mojud they 
G. Sahi jawab ka intezar hai 
__________________________________ 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz*❗ 

*Quiz : Choose the correct sentence regarding the calf which was being made by the bani israeel for worship ?* 

A. It used to speak with them 
B. It was made throw the ornaments 
C. A handful (of dust) from the (hoof) print of the Jibril's horse was thrown into this 
D. Firon ordered to samari to make this Calf 
E. The one who worshipped calf got punishment of death 
F. Harun Alaihissalam was present among them when they made calf G. I want to know 



✅ *Answer BCEF* 💐 
------------ 
88 Then he took out (of the fire) for them (a statue of) a calf which seemed to low. They said: "This is your ilah (god), and the ilah (god) of Musa (Moses), but he [Musa (Moses)] has forgotten (his god).'"  
  
89 Did they not see that it could not return them a word (for answer), and that it had no power either to harm them or to do them good?  
  
90 And Harun (Aaron) indeed had said to them beforehand: "O my people! You are being tried in this, and verily, your Lord is (Allah) the Most Gracious, so follow me and obey my order."  
  
91 They said: "We will not stop worshipping it (i.e. the calf), until Musa (Moses) returns to us." 
  
92 [Musa (Moses)] said: "O Harun (Aaron)! What prevented you when you saw them going astray; 
  
93 "That you followed me not (according to my advice to you)? Have you then disobeyed my order?" 
  
94 He [Harun (Aaron)] said: "O son of my mother! Seize (me) not by my beard, nor by my head! Verily, I feared lest you should say: 'You have caused a division among the Children of Israel, and you have not respected my word!' " 
  
95 [Musa (Moses)] said: "And what is the matter with you. O Samiri? (i.e. why did you do so?)" 
  
96 (Samiri) said: "I saw what they saw not, so I took a handful (of dust) from the (hoof) print of the messenger [Jibril's (Gabriel) horse] and threw it [into the fire in which were put the ornaments of Fir'aun's (Pharaoh) people, or into the calf]. Thus my inner-self suggested to me." 
Surah Taha (20), 88-96 
----------------- 
And (remember) when Musa (Moses) said to his people: "O my people! Verily, you have wronged yourselves by worshipping the calf. So turn in repentance to your Creator and kill yourselves (the innocent kill the wrongdoers among you), that will be better for you with your Creator." Then He accepted your repentance. Truly, He is the One Who accepts repentance, the Most Merciful. Surah Al-Baqara (2), 54 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 736❗

❗*Only-Quran-Hadith Quiz 736❗ 

*Sawal : Sulaiman Alaihi salam ke waqt mein jo malika thi wo kiski ibadat karti thi ?* 

A. Chand 
B. Suraj 
C. Aag 
D. Laat aur Manaat nama ke buto ki 
E. Sitaro ki 
F. Imein se koi nahi 
G. Sahi jawab ka intezar hai 


*Sawal 2 : Sulaiman Alaihi salam ne jab usko islam ki dawat di to usne pahli baar mein kya kiya ?* 

H. Unka khat tukde tukde kar diya 
I. Unko tohfe bheje 
J. Unko waha aane ki dawat di 
K. Unse nikah ka paigam bheja 
L. Wo khud milne aa gayee 
M. Imein se koi nahi 
N. Sahi jawab ka intezar hai 
*Sawal 3 : Us malika ka takht uske pahuchne se pahle kaun lekar aa gaya ?* 

O. Ek Jinn 
P. Ek Aalim 
Q. Ek parinda 
R. Hawa 
S. Ek lashkar 
T. Imein se koi nahi 
U. Sahi jawab ka intezar hai 
__________________________________ 

❗*Only-Quran-Hadith Quiz*❗ 

*Quiz 1 : According Quran , In the kingdom of Sulaimn alaihi salam there was a queen , what she used to worship ?* 

A. Moon 
B. Sun C. Fire 
D. Idol Laat and Manaat  
E. Stars 
G. None of the above 
H. I want to know 

*Quiz 2 :  After getting the  invitation of islam from sulaiman alaihi salam what she did instantly ?* 

H. She torn his letter I. She sent some gift 
J. She invite him to meet her 
K. She send invitation for marrige 
L. She herself came to meet 
M. None of the above 
N. I want to know 

*Sawal 3 : Who brought her throne  before reaching her?* 

O. A Jinn 
P. A person who had knowledge 
Q. A Bird  
R. Wind 
S. An Army 
T. None of the above 
U. I want to know 

✅ *Answer BIP* 💐 
------------ 
20 He inspected the birds, and said: "What is the matter that I see not the hoopoe? Or is he among the absentees?  
  
21 "I will surely punish him with a severe torment, or slaughter him, unless he brings me a clear reason."  
  
22 But the hoopoe stayed not long: he (came up and) said: "I have grasped (the knowledge of a thing) which you have not grasped and I have come to you from Saba' (Sheba) with true news.  
  
23 "I found a woman ruling over them: she has been given all things that could be possessed by any ruler of the earth, and she has a great throne.  
  
24 "I found her and her people worshipping the sun instead of Allah, and Shaitan (Satan) has made their deeds fair-seeming to them, and has barred them from (Allah's) Way: 
so they have no guidance."  
  
25 [As Shaitan (Satan) has barred them from Allah's Way] so they do not worship (prostrate themselves before) Allah, Who brings to light what is hidden in the heavens and the earth, and knows what you conceal and what you reveal. [Tafsir At-Tabari]  
  
26 Allah, La ilaha illa Huwa (none has the right to be worshipped but He), the Lord of the 
Supreme Throne!  
  
27 [Sulaiman (Solomon)] said: "We shall see whether you speak the truth or you are (one) of the liars.  
  
28 "Go you with this letter of mine, and deliver it to them, then draw back from them, and see what (answer) they return."  
  
29 She said: "O chiefs! Verily! Here is delivered to me a noble letter, 
  
30 "Verily it is from Sulaiman (Solomon), and verily, it (reads): In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful:  
  
31 "Be you not exalted against me, but come to me as Muslims (true believers who submit to Allah with full submission).' "  
  
32 She said: "O chiefs! Advise me in (this) case of mine. I decide no case till you are present with me (and give me your opinions)."  
  
33 They said: "We have great strength, and great ability for war, but it is for you to command: so think over what you will command."  

34 She said: "Verily kings, when they enter a town (country), they despoil it and make the most honourable amongst its people the lowest. And thus they do.  
  
35 "But verily! I am going to send him a present, and see with what (answer) the messengers return."  
  
36 So when (the messengers with the present) came to Sulaiman (Solomon), he said: "Will you help me in wealth? What Allah has given me is better than that which He has given you! Nay, you rejoice in your gift!"  
  
37 [Then Sulaiman (Solomon) said to the chief of her messengers who brought the present]: "Go back to them. We verily shall come to them with hosts that they cannot resist, and we shall drive them out from there in disgrace, and they will be abased."  
  
38 He said: "O chiefs! Which of you can bring me her throne before they come to me surrendering themselves in obedience?"  
  
39 A 'Ifrit (strong one) from the jinn said: "I will bring it to you before you rise from your place (council). And verily, I am indeed strong, and trustworthy for such work."  
  
40 One with whom was knowledge of the Scripture said: "I will bring it to you within the twinkling of an eye!" Then when he [Sulaiman (Solomon)] saw it placed before him, he said: "This is by the Grace of my Lord - to test me whether I am grateful or ungrateful! And whoever is grateful, truly, his gratitude is for (the good of) his ownself; and whoever is ungrateful, (he is ungrateful only for the loss of his ownself). Certainly my Lord is Rich (Free of all needs), Bountiful." 
Surah An-naml (27) , 20-40 
___________________________________