Only-Quran-Hadith Quiz 228
Sawal: Jibril Alaihi salam kaunse aksar kaunse sahabi ki surat (form) mein
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke paas tashreef laya karte they ?
A. Zaid Al Kalbi Radi Allahu Anhu
B. Dhiraar Al-Azwar Radi Allahu Anhu
C. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu
D. Dihya Al kalbi radi allahu anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-----------
Quiz: Usually In which sahabi's form of jibril alaihi salam used to come
near prophet Sal-Alalahu alaihi wasallanm ?
A. Zaid Al Kalbi Radi Allahu Anhu
B. Dhiraar Al-Azwar Radi Allahu Anhu
C. Musaib bin umair Radi Allahu Anhu
D. Dihya Al kalbi Radi allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know
Sahi jawab D. Dihya Al kalbi radi allahu anhu
---------
Hazrat Jibril Alaihi Salam Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke paas
aaye aur Aap Sal-Allahu alaihi wasallam se baat karne lage us waqt ummul
momeneen Umm Salma radi Allahu anha apake pass mojud thi ,Aap Sal-Allahu alaihi
wasallam ne unse farmaya ki kya aap jaante ho ye kaun hai ? Ummul momeneen ne
kaha ki Dihya Al kalbi radi allahu anhu hain ,
Umm salma aage bayan karti hain ki Jab Jibril alaihi salam chale gaye
uske baad bhi main unhe Dihya Al kalbi radi allahu anhu samajhti rahi , aakhir
mein jab Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ka khutba suna jismein Aap Sal-Allahu
alaihi wasallam ne jibril alaihi salam ke aane ki khabar di tab mujhe sara haal
malum hua
Sahih Bukhari, 4980
More details:
http://www.sunnah.com/bukhari/66/2
http://www.sunnah.com/nasai/47/7
-------
Correct answer is D. Dihya Al kalbi radi allahu anhu
--------
Narrated Abu `Uthma radi allahu anhu
I was informed that Gabriel came to the Prophet (ﷺ) while Um Salama was with him.
Gabriel started talking (to the Prophet). Then the Prophet (ﷺ) asked Um Salama, "Who is
this?" She replied, "He is Dihya Al-Kalbi." When Gabriel had
left, Um Salama said, "By Allah, I did not take him for anybody other than
him (i.e. Dihya) till I heard the sermon of the Prophet (ﷺ) wherein he informed about the
news of Gabriel.
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 503
More details :
http://www.sunnah.com/nasai/47/7
No comments:
Post a Comment