Only-Quran-Hadith Quiz 216
Sawal: Jo Nikah ki taqat na rakhta
ho usko kya karna chahiye ?
A. Tahajjud padhe
B. Roze rakhe
C. Zakat de
D. Gair mahram se baat na kare
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
------------
Quiz: According to Hadith, What a muslim should do , if is not able to
marry ?
A. Pray Tahajjud
B. Should fast
C. Give charity
D. Dont talk to gair mahram
E. None of the above
F. I want to know
Sahi jawab B. Roze rakhe
----------
فَقَالَ عَبْدُ اللَّهِ كُنَّا مَعَ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم شَبَابًا
لاَ نَجِدُ شَيْئًا فَقَالَ لَنَا رَسُولُ اللَّهُ صلى الله عليه وسلم " يَا مَعْشَرَ الشَّبَابِ
مَنِ اسْتَطَاعَ الْبَاءَةَ فَلْيَتَزَوَّجْ، فَإِنَّهُ أَغَضُّ لِلْبَصَرِ،
وَأَحْصَنُ لِلْفَرْجِ، وَمَنْ لَمْ يَسْتَطِعْ فَعَلَيْهِ بِالصَّوْمِ، فَإِنَّهُ
لَهُ وِجَاءٌ "
------------
Abdullah ibn Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah
Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Naujawano ki jamaat tum mein jisey bhi
Nikah karney ki (maali) taqat ho usey Nikaah kar Lena chahiye kyunki ye nazar
ko neechi rakhney wala aur Sharamgaah ki hifazat karney wala amal hai aur jo nikaah
ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhe kyunki Roza uski
khwahishaat-e-nafsani ko tod dega.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5066
----------
✦ Narrated Abdullah Radhi Allahu Anhu :
We were with the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam while we were young and had
no wealth whatever. So ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "O
young people! Whoever among you can marry, should marry, because it helps him
lower his gaze and guard his modesty , and whoever is not able to marry, should
fast, as fasting diminishes his sexual power."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 4
No comments:
Post a Comment