Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Tuesday, January 30, 2018

Hadith: Gaay (Cow) ka doodh shifa hai uska ghee dawa hai aur uska gosht beemari hai






Bismillahirrahmanirrahim

✦ *Hadith: Gaay (Cow) ka doodh shifa hai uska ghee dawa hai aur uska gosht beemari hai*
-----------
Zuhair apni biwi se rivayat karte hai ki Malika Bint Umar ne unhe ek beemari mein gaay ka ghee istemal karne ka mashwara diya tha aur ye kaha tha ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya uska (Gaay ka) doodh shifa hai uska ghee dawa hai aur uska gosht beemari hai
Al-Silsila-tus-Sahiha- 2293

✦ Tashreh : Ulmao se jab Gaay ki qurbani aur is hadith ke baare mein sawal kiya gaya to unhone kaha hai ki insan ko bahut zyada gaay ka gosht nahi khana chahiye,  magar kabhi kabhi isko kha sakte hain aur qurbani mein agar koi dusra janwar na mile to hi gaay ka istemal karna behtar hai
-----------
زھیر اپنی بیوی سے روایت کرتے ہیں کی ملیکۃ بنت عمر نے ایک  بیماری میں ان کو  گائے کا گھی استمعال کرنے کا مشورہ دیا  تھا۔ 
اور كہا كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس كا دودھ شفا ہے اس كا گھی دوا ہے اور اس كا گوشت بیماری ہے
السلسلہ صحیحہ  - ٢٢٩٣ 
----------
ज़ुहैर अपनी बीवी से रिवायत है की मलिका बिन्त उमर ने एक बीमारी में गाय का घी इस्तेमाल  करने का मशवरा दिया था और  ये कहा था की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहु अलैही वसल्लम  ने फरमाया उसका (गाय का) दूध शिफा है उसका घी दवा है और  उसका गोश्त बीमारी है
अल सिलसिला अस सहीहा - 2293
-----------
Narrated Zuhair from his wife that malika bint umar recommended the cow's ghee for a disease and said  RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam said about the cow: Its milk is a cure, its ghee is a treatment and its meat is a disease.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2293

✦ Explaination : The scholars have reconciled between this hadith and the hadith of his sacrificing the cow for his wives, by stating the intention behind the prohibition of cow’s meat is only referring to consuming large quantities of it. As for eating it sometimes; there is no problem or any harm in this. And it is 
without any doubt permissible; because the intent behind the prohibition of beef is to consume large quantities of it; and to use beef as a replacement for the meat of sheep, goats and camels. This is the answer of the scholars.

Sunday, January 28, 2018

Hadith : Zaitun ka tel khane mein istemal karo aur usko baalo mein lagao





Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Zaitun ka tel khane mein istemal karo aur usko baalo mein lagao
--------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Zaitun ka tel khane mein istemal karo aur usko baalo mein lagao kyunki ye mubarak darakht se bana hai
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees-874
--------
رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: زیتون كا تیل کھانے میں استعمال کرو اور اسے بالوں میں لگاؤ، كیو نكہ یہ مبارك درخت سے بنا ہے۔
--------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया ज़ैतून का तेल खाने में इस्तेमाल करो और उसको बालों में लगाओ क्यूंकी ये मुबारक दरख़्त से बना है
अल-सिलसिला-अस-सहिहा हदीस-874
--------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said use Olive oil in eating and use it on your hair because it comes from a blessed tree.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees-874


Hadith : Quran sifarish karne wala hai aur iski sifarish qubul ki jati hai*




Bismillahirrahmanirrahim

✦ *Hadith : Quran sifarish karne wala hai aur iski sifarish qubul ki jati hai*
-----------
✦ Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Quran sifarish karne wala hai aur iski sifarish qubulki jayegi jo shaks isko apne saamne rakhega usko ye jannat ki taraf le jayega aur jo isko apni peeth ke peeche rakh dega (yani nahi padhega) usko jahannam ki taraf hank kar le jayega
Al-Silsila-As-Sahiha-2876
---------
جابر‌رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: قرآن سفارش کرنے والا ہے اور اس کی سفارش قبول کی جائے گی  ۔ جو شخص اسے اپنے سامنے رکھے گا اسے جنت کی طرف لے جائے گا
اور جو اسے اپنی پیٹھ کے پیچھے رکھ دیگا (یعنی نہیں پڑھےگا ) اسے جہنم کی طرف ہانک کر لے جائے گا
---------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहु अलैही वसल्लम  ने फरमाया क़ुरान सिफारिश करने वाला है और इसकी सिफारिश क़ुबूल की जाती है जो शख्स इसको अपने सामने रखेगा उसको ये जन्नत की तरफ ले जाएगा और जो इसको अपनी पीठ के पीछे रख देगा उसको जहन्नम की तरफ हांक कर ले जाएगा
अल-सिलसिला-अस-साहिहा-2876
---------
Narrated by Jabir Radi Allahu Anhu Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam said The Quran is an intercessor whose intercession will be accepted, Whoever puts it in front of him, it will lead him to Paradise, and whoever puts it behind his back, it will drive him to Hell. 
Al-Silsila-As-Sahiha-2876

Do sazdo ke darmiyan padhne ki dua




Bismillahirrahmanirrahim

✦ Do sazdo ke darmiyan padhne ki dua
---------
✦ Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam do sajdo ke darmiyan ye dua parhtey they
Allahummagfirli, Wa Arhamni , Wa Aafini, Wa Ahdini, Wa Arzuqni
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي
Eh Allah mujhe baksh de aur mujh par raham farma aur mujhe Aafiyat de aur mujhe Hidayat de aur mujhe Rizq ata farma
Sunan Abu Dawud, Jild 1 , 842 -Hasan

Note: Jab koi namaz mein pahle sajda kar le to uske baad wapas sajde se sir uthakar ye dua padhe uske baad dusra sajda kare.
---------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم دو سجدوں کے درمیان یہ دعا پڑھتے تھے
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي
 یعنی اے اللہ میری مغفرت فرما، مجھ پر رحم کر، مجھے عافیت دے، ہدایت دے اور رزق دے
سنن ابو داوود جلد ١، ٨٤٢- حسن 
---------
✦  रसूल-अल्लाह सलअल्लाहु अलैही वसल्लम दो सजदों  के दरमियान  ये दुआ पढ़ते  थे
अल्लहुम्मगफीरली, वा अरहमनि , वा आफिनी, वा अहदिनी, वा आरज़ुक़्नी
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي
एह अल्लाह मुझे बख्श दे और मुझ पर रहम फरमा और मुझे आफियत दे और मुझे हिदायत दे और मुझे रिज़क़ आता फरमा 
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1 , 842 -हसन

नोट: जब कोई नमाज़ में पहला सज़दा कर ले तो उसके बाद वापस सज़दे से सिर उठाकर ये दुआ पढ़े उसके बाद दूसरा सज़दा करे.

✦ Dua to recite between two prostrations (Sujud)
---------
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam used to say between the two prostrations  (Sujud)
Allahummagfirli, Wa Arhamni , Wa Aafini, Wa Ahdini, Wa Arzuqni
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي  وَعَافِنِي وَاهْدِنِي وَارْزُقْنِي
O Allah, forgive me and have mercy on me and heal me and guide me and provide (Rizq) for me.
Sunan Abu dawud, Book 3, 849-Hasan

Note: After first prostrations in salah raise your head and recite these dua and then go for second prostrations


❗ Only-Quran-Hadith Quiz-330❗


Only-Quran-Hadith Quiz-330

Jawab ek se ziyada hai

Sawal : Inmein se wo kaunse inaamat hain jo Allah subhanahu ki taraf se shaheed ko diye jaate hain ?

A. Khoon ka pahla qatra girte hi uski bakhshish ho jati hai
B. Jannat mein apna thikana dekh leta hai
C. Azab e Qabr se mehfooz rahta hai
D. uske sir par ezzat wala yaqut ka taaj rakha jata hai
E. uski shadi jannat ki 72 Hur Al Ain se ki jati hai
F. uske 70 rishtedaro ke haq mein uski shafaat qubul ki jati hai
G. Uski rooh Arsh ka tawaf karti rahti hai
H. Sahi jawab ka intezar hai
------------------------------------------

Answer are more than one

 What are the rewards with Allah for the martyr among below ?

A. He is forgiven with the first flow of blood (he suffers),
B. He is shown his place in Paradise,
C. He is protected from punishment in the grave
D. The crown of dignity with yaqut is placed upon his head
E. He is married to seventy two wives from Al-Huril-'Ayn of Paradise,
F. And he may intercede for seventy of his close relatives."
G. His soul do tawaf of Arsh
H. I want to know

Sahi jawab AB CD EF
------------
Al-Miqdam bin Ma'diykarib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya
Allah subhanahu ke waha Shaheed ke liye 6 inamaat hain
1. Khoon ka pahla qatra girte hi uski bakhshish ho jati hai
2. Jannat mein apna thikana dekh leta hai
3. Azab e Qabr se mehfooz rahta haia aur Qayamat ki wahshat aur khufnak manzar se aman mein aa jata hai
4. Uske sir par ezzat wala yaqut ka taaj rakha jata hai jo duniya aur jo kuch usmein hai us se behtar hai
5. Aur uski shadi jannat ki 72 Hur Al Ain (badi aankho wali hooron) se ki jati hai
6. Aur uske 70 rishtedaro ke haq mein uski shafaat qubul ki jati hai
jamia Tirmizi, Jild 1, 1713-Hasan
--------------------
Narrated Al-Miqdam bin Ma'diykarib Radi Allahu Anhu  That the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam  said
There are six rewards with Allah for the martyr.
1. He is forgiven with the first flow of blood (he suffers),
2. He is shown his place in Paradise,
3. He is protected from punishment in the grave, secured from the greatest terror ( on Qayamah)
4. The crown of dignity with Yaqut is placed upon his head - and its gems are better than the world and what is in it -
5. He is married to seventy two wives from Al-Huril-'Ayn of Paradise,
6. And he may intercede for seventy of his close relatives."
jamia Tirmizi, Book 20, 1663-Hasan

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-329 ❗


Only-Quran-Hadith Quiz-329 

 Dono sawalo ke jawab saath mein is tarah dijiyega ..DA...AB

Sawal 1 : Suraj gurub ho kar kaha jata hai ?
A. Saatwe aasman par
B. Saato zameen ke neeche
C. Arsh ke upar
D. Arsh ke neeche
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Suraj gurub hone ke baad kya karta hai ?

A. Qayam ki halat mein rahta hai
B. Ruku ki halat mein rahta hai
C. Sazde ki halat mein rahta hai
D. Arsh ka tawaf karta rahta hai
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------
Kindly reply below quiz together ...like this ..AC....DE..

Quiz 1 : Where does the sun go after sunset ?

A. At the 7th heaven(sky)
B. Under the 7th earths
C. Above the Throne (Arsh)
D. Under the Throne (Arsh)
E. None of the above
F. I want to know

Quiz 2 : What does sun do after sunset ?

A. It stand like the situation of Qayam
B. It stand like the situation of Ruku
C. It fall in the prostrate (bow down)
D. Just do tawaf (Movea round) of Arsh
E. None of the above
F. I want to know


Sahi Jawab DC
--------------------
Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne apney sahaba Radi Allahu Anhuma se ek din farmaya kya tum ye jaante ho ki Suraj kahan jata hai ? unhone kaha ki Allah aur uska Rasool khub janta hai , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye chalta rahta hai yahan tak ki apne thaharne ki jagah yani Arsh ke neeche aa jata hai aur wahan sazdey mein gir jata hai , phir isi haal mein rahta hai yahan tak ki usey hukm hota hai uncha ho ja aur ja jahan se aaya hai , wo laut aata hai aur apney nikalne ki jagah se nikalta hai aur phir chalta rahta hai yahan tak ki apney thaharney ki jagah par arsh ke neeche aa jata hai aur sazda karta hai phir isi haal mein rahta hai yahan tak ki usey kaha jata hai uncha ho aur laut ja jahan se aaya hai aur phir wo nikalta hai apney nikalney ki jagah se,.
Ek baar wo isi tarah chalega aur logo ko uski chaal mein koi farq malum nahi hoga , yahan tak ki wo arsh ke neechey apney thaharney ki jagah par aayega us waqt us sey kaha jayegha ki uncha ho ja aur paschim ki taraf se nikal ja jidhar tu dubta hai wo niklega paschim (maghrib) ki taraf se, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya tum jaantey ho ye kab hoga ? ys us waqt hoga jab kisi ko imaan lana faydemand nahi hoga jo pahley imaan na laya ho ya usne imaan ke saath nek kaam na kiya ho.
Sahih Muslim, Vol 1, 399
-------------------------
It is narrated on the authority of Abu Dharr that the Messenger of Allah (may peace be upon him) one day said: Do you know where the sun goes? They replied: Allah and His Apostle know best. He (the Holy Prophet) observed: Verily it (the sun) glides till it reaches its resting place under the Throne. Then it falls prostrate and remains there until it is asked: Rise up and go to the place whence you came, and it goes back and continues emerging out from its rising place and then glides till it reaches its place of rest under the Throne and fallsprostrate and remains in that state until it is asked: Rise up and return to the place whence you came, and it returns and emerges out from it rising place and the it glides (in such a normal way) that the people do not discern anything ( unusual in it) till it reaches its resting place under the Throne. Then it would be said to it: Rise up and emerge out from the place of your setting, and it will rise from the place of its setting. The Messenger of Allah (may peace be upon him) said. Do you know when it would happen? It would happen at the time when faith will not benefit one who has not previously believed or has derived no good from the faith. 

Sahih Muslim, Book #001, Hadith #0297

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-328❗


Only-Quran-Hadith Quiz-328


Quiz : Wo kya hai ya kaun hai jis se momeen ki rooh (maut ke baad bhi) judi rahti hai ?

A. Uske Gharwalo se
B. Uski Adhuri Qasam ya mannat se
C. Uske Qarz se
D. Us jagah se jaha wo ibadat karta tha
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-----------
Quiz : With whom the soul of the believer is attached to ?

A. With his family
B. With his incompleted Vow
C. With his debt
D. With tha place where he used to worship
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab C
----------
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Momeen ki rooh (maut ke baad bhi) Qarz se tab tak judi rahti hai jab tak ki usko ada na kar diya jaye
Sunan ibn majah, Jild 2, 570 –Sahih

Amr bin Al-As Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah ki raah mein qatl ho jane par sabhi gunah mita diye jate hain siwaye Qarz ke.
Sahih Muslim, Vol 5, 4884
----------
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah () said The soul of the believer is attached to his debt until it is paid off.
Sunan ibn majah, Book 15, Hadith 2413-Sahih
Narrated By Amr bin Al-As Radhi allahu anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Death in the way of Allah blots out everything except debt.

Sahih Muslim, Book 20, 4650

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-327❗


Only-Quran-Hadith Quiz-327

Sawal : Wo kaunsa azakar hai jisko subah sham padhne walo ko Allah subhanahu Qayamat ke din khush farma denge ?

 A.
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا 
Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin Nabiyyan
B.
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ 
وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
Lā ilāha illallāh, waḥdahu lā sharīka lahu, lahul-mulku wa lahul-ḥamdu,
yuḥyi wa yumītu, wa huwa Aalā kulli shai’in qadīr
C.
حَسْبِـيَ اللّهُ لا إلهَ إلاّ هُوَ عَلَـيهِ تَوَكَّـلتُ 
وَهُوَ رَبُّ العَرْشِ العَظـيم 
Hasbiyallahu la ilaha illa Huwa 'alayhi tawkkaltu
wa Huwa Rabbul- 'Arshil-'Azim
D.
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ
SubhanAllahi Wa Alhamdulillahi
wa la ilaha illallahu wa Allahu Akbar
E.
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ 
SubhanAllahi wa bihamdihi SubhanAllahil Azeem
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------------------------
Quiz : What is that azkar, If anybody recite daily morning and evening , Allah will make him pleased (happy) on the Day of Resurrection ?
A.
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا 
Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin Nabiyyan
B.
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ 
وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
Lā ilāha illallāh, waḥdahu lā sharīka lahu, lahul-mulku wa lahul-ḥamdu,
yuḥyi wa yumītu, wa huwa Aalā kulli shai’in qadīr
C.
حَسْبِـيَ اللّهُ لا إلهَ إلاّ هُوَ عَلَـيهِ تَوَكَّـلتُ 
وَهُوَ رَبُّ العَرْشِ العَظـيم 
Hasbiyallahu la ilaha illa Huwa 'alayhi tawkkaltu
wa Huwa Rabbul- 'Arshil-'Azim
D.
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ
SubhanAllahi Wa Alhamdulillahi
wa la ilaha illallahu wa Allahu Akbar
E.
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ 
SubhanAllahi wa bihamdihi SubhanAllahil Azeem
F. I want to know



Answer A
-----------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke khadim, Abu Salam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo bhi musalman ya insaan (ya banda) subah sham ye kalimat kahe 
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا 
Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan
To Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge .
Tarjumah : main raazi hu Allah ke RABB hone par, Islam ke deen hone par aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke Nabee hone par
Sunan Ibn Majah, Jild 3, 751-Sahih
-----------
It was narrated from Abu Salam, the servant of the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam that :
The Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said: "Any Muslim - or Any person, or Any slave (of Allah) - who says, in the morning and evening:
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا 
'Radaitu billahi Rabban wa bil-Islami dinan wa bi Muhammadin nabiyyan (I am content with Allah as my Lord, Islam as my religion and Muhammad as Sal-Allahu Alaihi Wasallam my Prophet) he will have a promise from Allah to make him pleased on the Day of Resurrection."
Sinan Ibn Maja, Book 34, 3870-Sahih


❗ Only-Quran-Hadith Quiz-326❗


Only-Quran-Hadith Quiz-326
Sawal : Wo kaunse Nabee hai jinhone Allah ke hukm se zameen par apna paanw maara to unke liye zameen se ek paani ka chashma (spring) nikal aaya aur Allah subahanhu ne iska zikr Quran majid mein bhi farmaya ?

A. Ayyub alaihi salam
B. Musa Alaihi Salam
C. Adam Alaihi salam
D. Ismaeel Alaihi Salam
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------
Quiz : What is the name of that prophet , who strike the ground with foot and (a spring of) water came out from that place and Allah has mentioned this thing in Quran ?

A. Ayyub alaihi salam
B. Musa Alaihi Salam
C. Adam Alaihi salam
D. Ismaeel Alaihi Salam
E. None of the above
F. I want to know



Sahi Jawab A
--------
وَاذْكُرْ عَبْدَنَا أَيُّوبَ إِذْ نَادَىٰ رَبَّهُ أَنِّي مَسَّنِيَ الشَّيْطَانُ بِنُصْبٍ وَعَذَابٍ
ارْكُضْ بِرِجْلِكَ ۖ هَـٰذَا مُغْتَسَلٌ بَارِدٌ وَشَرَابٌ
----------
Aur hamare bande Ayyub Alaihi salam ko yaad karo, jab unhone apne RABB ko pukara ki mujhe shaitan ne taklif aur azab pahuchaya hai (Allah ne farmaya) apna paaw zameen par maaro ye thanda chashma (spring of water)nahane aur peene ko hai
Al Quran , Surah sad , aayar 41-42

Tafseer : Ayyub alaihi salam jab sakht beemar huye to phir Allah subnanahu se unhone dua ki to unko hukm diya ki apna paanw zameen par maaro aur waha se ek pani ka chashma nikal aaya , jismein unhe nahane aur peene ka hukm hua aur uske jariya Allah subhahanhu ne unhe shifa ata farmayee
---------
And remember Our slave Ayyub (Job), when he invoked his Lord (saying): "Verily Shaitan (Satan) has touched me with distress (by ruining my health) and torment (by ruining my wealth)!
(Allah said to him): "Strike the ground with your foot: This is (a spring of) water to wash in, cool and a (refreshing) drink."
Al Quran , Surah sad , aayar 41-42

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-325❗


Only-Quran-Hadith Quiz-325

Sawal : Wo kaunse Nabee hai jinhone Allah ke hukm se zameen par apna paanw maara to unke liye zameen se ek paani ka chashma (spring) nikal aaya aur Allah subahanhu ne iska zikr Quran majid mein bhi farmaya ?

A. Ayyub alaihi salam
B. Musa Alaihi Salam
C. Adam Alaihi salam
D. Ismaeel Alaihi Salam
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------
Quiz : What is the name of that prophet , who strike the ground with foot and (a spring of) water came out from that place and Allah has mentioned this thing in Quran ?
A. Ayyub alaihi salam
B. Musa Alaihi Salam
C. Adam Alaihi salam
D. Ismaeel Alaihi Salam
E. None of the above
F. I want to know



Sahi Jawab A
--------
وَاذْكُرْ عَبْدَنَا أَيُّوبَ إِذْ نَادَىٰ رَبَّهُ أَنِّي مَسَّنِيَ الشَّيْطَانُ بِنُصْبٍ وَعَذَابٍ
ارْكُضْ بِرِجْلِكَ ۖ هَـٰذَا مُغْتَسَلٌ بَارِدٌ وَشَرَابٌ
----------
Aur hamare bande Ayyub Alaihi salam ko yaad karo, jab unhone apne RABB ko pukara ki mujhe shaitan ne taklif aur azab pahuchaya hai (Allah ne farmaya) apna paaw zameen par maaro ye thanda chashma (spring of water)nahane aur peene ko hai
Al Quran , Surah sad , aayar 41-42

Tafseer : Ayyub alaihi salam jab sakht beemar huye to phir Allah subnanahu se unhone dua ki to unko hukm diya ki apna paanw zameen par maaro aur waha se ek pani ka chashma nikal aaya , jismein unhe nahane aur peene ka hukm hua aur uske jariya Allah subhahanhu ne unhe shifa ata farmayee
---------
And remember Our slave Ayyub (Job), when he invoked his Lord (saying): "Verily Shaitan (Satan) has touched me with distress (by ruining my health) and torment (by ruining my wealth)!
(Allah said to him): "Strike the ground with your foot: This is (a spring of) water to wash in, cool and a (refreshing) drink."
Al Quran , Surah sad , aayar 41-42

❗ Only-Quran-Hadith Quiz-324❗


Only-Quran-Hadith Quiz-324

Dono sawalo ke jawab saath mein is tarah dijiyee AB / BD

-Ek Baar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki kaun hai jo meri is baat ko Qubul kare to main uske liye Jannat ka zimma leta hu ?

Sawal 1 : inmein se Wo baat kaunsi thi ?

A. Kabhi Namaz na chorhna
B. Kabhi kisi ki Geebat na karna
C. Kabhi Logo se na maangna
D. Kabhi Ramzan ke roze na chorhna
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Wo sahabi kaun they jinhone us waqt Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki wo baat maan li aur phir zindagi bhar us par amal kiya ?


A. Abu Bakr Radi allahu anhu
B. Soban Radi allahu anhu
A. Abu Talha Radi allahu anhu
A. Maaz Radi allahu anhu
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

------------

Kindly reply two questions together like this AC / BD

Once The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: 'Who will commit himself to one thing, I will guarantee him paradise..

Quiz 1 : What was that thing among below ?

A. Never leave any prayer
B. Never backbite anybody
C. Never Beg people for anything
D. Never leave the fasting of ramzan
E. None of the above
F. I want to know


Quiz 2 : That time who commited on this thing and after that whole life he followed it ?

A. Abu Bakr Radi allahu anhu
B. Soban Radi allahu anhu
A. Abu Talha Radi allahu anhu
A. Maaz Radi allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab CB
-----------
Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki kaun hai jo meri is baat ko Qubul kare to main uske liye Jannat ka zimma leta hu, maine arz kiya ki Main ,Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki logon se kuch na maangna , kaha jata hai ki agar soban Radi Allahu Anhu sawar hote aur unki chadi gir jaati to kisi se ye na kahte ye mujhe de do bulki wo khud utar kar lete
Sunan Ibn Majah, Jild 1, 1837-Sahih

Thawban Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shaksh mujhse is baat ki zamanat de de ki wo logo se nahi maangega ( sawal nahi karega) to main usko  Jannat ki zamanat deta hu, Thawban Radi Allahu Anhu ne kaha ki main (ab se kuch nahi mangunga) (Thawban Radi Allahu Anhu se rivayat karne wale ravi farmate hain) uske baad se unhone kisi se kuch nahi maanga
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1630-Sahih
------------------
Thawban Radi allahu anhu said: “The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: 'Who will commit himself to one thing, I will guarantee him paradise?' I said: 'I will.' He said: 'Do not ask (beg) people for anything.' So Thawban would drop his whip while he was on his mount, and he would not say to anyone: 'Get that for me' rather he would dismount and grab it.”
Sunan Ibn majah, Book 8, 1837-Sahih

Narrated by Thawban Radi Allahu Anhu The prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said If anyone guarantees me that he will not beg from people, I will guarantee him Paradise. Thawban Radi Allahu Anhu said : I (will not beg).
He never asked anyone for anything.

Sunan Abu Dawud, Book 9, 1639-Sahih