Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 12, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 529❗



Only-Quran-Hadith Quiz  529

Jawab ek se ziyada hai

Sawal : Hadith ke hisab se kaun kaun see baate Sehri ke liye sahi hai ?

A. Sehri ke khane mein barkat hai
B. Jisne Sehri nahi ki uska roza nahi hota
C. Hamare aur Ahl e kitab mein sehri ka farq hai
D. Sehri Al-Falah hai
E. Sehri Roze ko paak karti hai
F. Sehri mein der karni chahiye
G. Sahi jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

Answers are more than one

Quiz : According Hadith what are the true statements for the suhur  ?

A. There is a blessing in Suhur
B. The one who didn't do suhur his fasting is invalid
C. Difference between our fasting and that of the people of the Book is suhur
D. Suhur is Al-Falah
E. Sehri make the fasting more pious
F. Delay Suhur
G. I want to know



✔💯Sahi Jawab ACDF
----------
 Anas radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Sehri khaya karo kyuki Sehri ke khane mein barkat hai ,hamare aur Ahal-e-Kitab ke Roze mein Sehri ke luqme ka farq hai
Sahih Muslim,Vol 3, 2549 ,2550

 Abu Zarr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne 27 raat ko apne ahal o ayal aur ajwaz e mutahharat (ghar walo) ko bhi jama karke namaz ada farmayee, yaha tak ki humko Al-falah ke nikal jane ka khatra malum hua, pucha ki Al-falah kya hai to farmaya Sehri
Sunan Nasaii, Jild 1, 1608-Sahih

 Abu Atiya Radi Allahu anhu se rivayat hai maine Aisha Radi Allahu anha se kaha ki hamare darmiyan do ashab hain inmein se ek to Roza jaldi iftar karte aur sehri mein der karte , aur dusre wo hain jo iftar mein der karte hain aur sehri jaldi kar lete hain , to Aisha Radi Allahu anha ne pucha ki wo kaun hai jo iftar mein jaldi karte hain aur sehri mein der,  to unhone farmaya ki Abdullah bin masood Radi Allahu anhu, to Aisha radi Allahu Anha ne kaha ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam isee tarah kiya karte they
Sunan Nasaii, Jild 2, 69-Sahih

✔💯 Answer ACDF 
---------
 Anas Radi Allahu Anhu reported The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam as saying: Take suhur (meal a little before dawn), for there is a blessing in Suhur (taking meal at that time) The difference between our fasting and that of the people of the Book is suhur (eating shortly before dawn.)
Sahih Muslim,Book 6, 2412,2413

 It was narrated that Abu Atiyyah said I said to Aishah Among us there are two of the Companions of the Prophet, one of whom hastens Iftar and delays Sahur, and the other delays Iftar and hastens Sahur.She said: Which of them is the one who hastens Iftar and delays Sahur? I said: Abdullah bin Masud. She said: that is what the Messenger of Allah used to do."
Sunan Nasaii,Book 22, 2160-sahih

 It was narrated that Abu Dharr Radi Allahu Anhu said  the Messenger of Allah   led us in praying Qiyam when there were three days left (means on 27 Ramazan) . He gathered his family and wives (and led us in prayer) until we feared that we would miss Al-Falah. I (one of the narrators) said: "What is Al-Falah?" He said: The suhur.
Sunan Nasaii, Book 20, 1606-Sahih

No comments:

Post a Comment