❗
Only-Quran-Hadith Quiz 497❗
Jawab se ek se zyada hain
Sawal : Inmein se kaun kaun se sahabi hain
jinke liye Hazrat Umar radi Allahu ne farmaya tha ki agar meri maut ka waqt aa
jayega to main inko mera khalifa banaunga ?
A. Ali Radi
Allahu anhu
B. Abu Ubaida bin
jarrah Radi Allahu anhu
C. Saad bin maaz Radi Allahu Anhu
D. Musaib bin Umair radi Allahu Anhu
E. Zaid bin Harith Radi allahu anhu
F. Zubair bin Awwam Radi Allahu Anhu
G. Muaaz bin jabal Radi Allahu anhu
H. Saab bin Abi waqas Radi Allahu anhu
I. Sahi jawab ka intezar hai
: ❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Answers are more than one.
Quiz : For whom Umar Radi Allahu Anhu said
that If my death comes nears I would make khalifa to him ?
A. Ali Radi
Allahu anhu
B. Abu Ubaida bin
jarrah Radi Allahu anhu
C. Saad bin maaz Radi Allahu Anhu
D. Musaib bin Umair radi Allahu Anhu
E. Zaid bin Harith Radi allahu anhu
F. Zubair bin Awwam Radi Allahu Anhu
G. Muaaz bin jabal Radi Allahu anhu
H. Saab bin Abi waqas Radi Allahu anhu
I. I want to know
✔💯Sahi jawab ABFGH ✔
-----------
Hadith 1.
(Jab Hazrat Umar radi allahu anhu ki maut
ka waqt kareeb aaya to ) logo ne arz kiya Ya Ameer ul Momeenen Khilafat ke liye
koi wasiyat ker dijiye farmya ke Khilafat Ka Mein Un Hazrat se zyada aur kisi
ko mustahiq nahi pata ke Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam apni Wafat tak
Jin se Razi aur khush they fir aap ne Hazrat Ali ,Usman ,Zubair,Talha,Saad (bin
Abi waqas), Abur Rehaman bin awf Radi Allahu Anhuma Ka naam liya aur ye bhi
farmaya ke Abdullah bin Umar Radiallah Anhu ko bhi Sirf mashware ki had tak
sharik rekhna lakin Khilafat se innhein koi sarokar nahi rehega
Sahih Bukhari, 3700
Hadith 2.
Shuraih bin Ubaid Aur Rashid bin Saad Radi
Allahu Anhuma se rivayat hai ki shaam ke
mein jab Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Sarg Nami maqam par puhanche to
aap ko ye khabar mili ke shaam mein taaoon ki badi sakht wabaa phailee hui hai,
yeh khabar sun kar unhone farmaya ke mujhe shaam mein taoon ki wabaa phelne ki
khabar mili hai, meri raay ye hai ki agar mera aakhri waqt aa pahunche aur Abu
Ubaida bin jarrah Radi Allahu anhu zindah huye to main inhen apna khalifa
naamzad kar dun ga Aur agar Allah ne mujh se is ke mutalliq pucha ki ke tune
ummat e Muslimah par inhen apna khalifa kyun muqarrar kya? to mein kah dunga ke
mein ne Aap hi ke paighambar Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko ye farmate huye suna
tha har nabi ka ek Ameen hota hai aur mera Ameen Abu Ubaida bin jarrah Radi
Allahu anhu hai.
Logon ko yeh baat achi nahi lagi aur woh
kahne lage ke is soorat mein Quresh ke bare mein logon yani bani Fahar ka kya
banay ga? Phir Hazrat Umar Radi Allahu Anhu ne irshad farmaya agar meri maut se
pahle Abu Ubaida bin jarrah Radi Allahu anhu faut ho gaye to mein Maaz bin
Jabal Radi Allahu Anhu ko apna khalifa muqarrar kar dunga aur agar Allah ne
mujh se poocha ke tumne unko kyun khalifa muqarrar kya? to mein keh dun ga ke
Aap hi ke paighambar Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko ye farmate huye suna ki woh
qayamat ke din ulama ke darmain ek jamaat ki soorat mein uthaye jayen ge.
Masnad Ahmed, Jild 1,108-Hasan
---------
Arabic Text of Masnad Ahmed Hadith
-----------
حَدَّثَنَا أَبُو الْمُغِيرَةِ
وَعِصَامُ بْنُ خَالِدٍ قَالَا حَدَّثَنَا
صَفْوَانُ عَنْ شُرَيْحِ بْنِ عُبَيْدٍ
وَرَاشِدِ بْنِ سَعْدٍ وَغَيْرِهِمَا قَالُوا لَمَّا بَلَغَ عُمَرُ بْنُ
الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ سَرَغَ حُدِّثَ أَنَّ بِالشَّامِ وَبَاءً شَدِيدًا
قَالَ بَلَغَنِي أَنَّ شِدَّةَ الْوَبَاءِ فِي الشَّامِ فَقُلْتُ إِنْ أَدْرَكَنِي
أَجَلِي وَأَبُو عُبَيْدَةَ بْنُ الْجَرَّاحِ حَيٌّ اسْتَخْلَفْتُهُ فَإِنْ
سَأَلَنِي اللَّهُ لِمَ اسْتَخْلَفْتَهُ عَلَى أُمَّةِ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ
عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قُلْتُ إِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَكَ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ
وَسَلَّمَ
يَقُولُ إِنَّ لِكُلِّ نَبِيٍّ أَمِينًا
وَأَمِينِي أَبُو عُبَيْدَةَ بْنُ الْجَرَّاحِ فَأَنْكَرَ الْقَوْمُ ذَلِكَ
وَقَالُوا مَا بَالُ عُلْيَا قُرَيْشٍ يَعْنُونَ بَنِي فِهْرٍ ثُمَّ قَالَ فَإِنْ
أَدْرَكَنِي أَجَلِي وَقَدْ تُوُفِّيَ أَبُو عُبَيْدَةَ اسْتَخْلَفْتُ مُعَاذَ
بْنَ جَبَلٍ فَإِنْ سَأَلَنِي رَبِّي عَزَّ وَجَلَّ لِمَ اسْتَخْلَفْتَهُ قُلْتُ
سَمِعْتُ رَسُولَكَ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ إِنَّهُ يُحْشَرُ
يَوْمَ الْقِيَامَةِ بَيْنَ يَدَيْ الْعُلَمَاءِ نَبْذَةً
----------
: ✔💯Answer ABFGH ✔
---------
Hadith 1
(When the death of Hazrat Umar Radi Allahu
was near) Poeple said "O chief of the believers! Appoint a
successor." `Umar said, "I do not find anyone more suitable for the
job than the following persons or group whom Allah's Messenger (Sal-Allahu
alaihi wasallam) had been pleased with before he died." Then `Umar
mentioned `Ali, `Uthman, AzZubair, Talha, Saad (bin abi waqas) and `Abdur-Rahman
(bin Auf) Radi allahu anhuma and said, "Abdullah bin `Umar will be a
witness to you, but he will have no share in the rule
Sahih Bukhari,Book 57, Hadith 50
Hadith 2 :
It was narrated from Shuraih bin Ubaid and
Rashid bin Saad Radi Allahu Anhu that when Umar bin Al-Khattab reached Sargh,
he was told that there was a widespread plague in Syria. He said: I have heard
that there is a severe plague in Syria. I said: If my time comes, and Abu
Ubaidah bin Al-Jarrah Radi Allahu Anhu is still alive, I appoint him as my
successor (Khalifa). And if Allah asks me why I appointed him as my successor
to lead the Ummah of Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam , I will say: I heard
Your Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Every Prophet has a close
confidant (Ameen) and my close confidant is Abu Ubaidah bin Al-Jarrah.
The people objected to that, and said: What
about the prominent figures of Quraish? meaning Banu Fihr. Than he said: If my
time comes, and Abu Ubaidah Radi Allahu Anhu has died, then I appoint Muadh bin
Jabal Radi Allahu Anhu as my successor, and if my Lord, may He be glorified and
exalted, asks me why I appointed him as my successor, I will say: I heard Your
Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam
said He will be gathered on the Day of Resurrection as a leader of scholars.
Masnad Ahmed, Vol 1,108-Hasan
-----------
Arabic Text of Masnad Ahmed Hadith
-----------
حَدَّثَنَا أَبُو الْمُغِيرَةِ
وَعِصَامُ بْنُ خَالِدٍ قَالَا حَدَّثَنَا
صَفْوَانُ عَنْ شُرَيْحِ بْنِ عُبَيْدٍ
وَرَاشِدِ بْنِ سَعْدٍ وَغَيْرِهِمَا قَالُوا لَمَّا بَلَغَ عُمَرُ بْنُ
الْخَطَّابِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ سَرَغَ حُدِّثَ أَنَّ بِالشَّامِ وَبَاءً
شَدِيدًا قَالَ بَلَغَنِي أَنَّ شِدَّةَ الْوَبَاءِ فِي الشَّامِ فَقُلْتُ إِنْ
أَدْرَكَنِي أَجَلِي وَأَبُو عُبَيْدَةَ بْنُ الْجَرَّاحِ حَيٌّ اسْتَخْلَفْتُهُ
فَإِنْ سَأَلَنِي اللَّهُ لِمَ اسْتَخْلَفْتَهُ عَلَى أُمَّةِ مُحَمَّدٍ صَلَّى
اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قُلْتُ إِنِّي سَمِعْتُ رَسُولَكَ صَلَّى اللَّهُ
عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
يَقُولُ إِنَّ لِكُلِّ نَبِيٍّ أَمِينًا
وَأَمِينِي أَبُو عُبَيْدَةَ بْنُ الْجَرَّاحِ فَأَنْكَرَ الْقَوْمُ ذَلِكَ
وَقَالُوا مَا بَالُ عُلْيَا قُرَيْشٍ يَعْنُونَ بَنِي فِهْرٍ ثُمَّ قَالَ فَإِنْ
أَدْرَكَنِي أَجَلِي وَقَدْ تُوُفِّيَ أَبُو عُبَيْدَةَ اسْتَخْلَفْتُ مُعَاذَ
بْنَ جَبَلٍ فَإِنْ سَأَلَنِي رَبِّي عَزَّ وَجَلَّ لِمَ اسْتَخْلَفْتَهُ قُلْتُ
سَمِعْتُ رَسُولَكَ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ إِنَّهُ يُحْشَرُ
يَوْمَ الْقِيَامَةِ بَيْنَ يَدَيْ الْعُلَمَاءِ نَبْذَةً
No comments:
Post a Comment