Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 5, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 464❗


  Only-Quran-Hadith Quiz 464

Sawal : Wo kaunse Sahabi hain jinse Allah Subhanahu ne unki wafat ke baad bina parde ke baat ki ?

A. Jafar Al-tayyar Radi allahu anhu
B. Abdullah bin Amru Radi Allahu Anhu
C. Abu talha Radi Allahu Anhu
D. Musaib bin umair Radi Allahu anhu
E. inme se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
_______________
Only-Quran-Hadith Quiz

Quiz : What is the name of that Sahbai to whom Allah Subhanahu spoke directly wihtout a veil ?

A. Jafar Al-tayyar Radi allahu anhu
B. Abdullah bin Amru Radi Allahu Anhu
C. Abu talha Radi Allahu Anhu
D. Musaib bin umair Radi Allahu anhu
E. None of the above
F. I want to know

  Sahi jawab B

Abdullah bin Amru Radi Allahu Anhu jo ki jabir Radi Allahu Anhu ke walid they
----------
Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu farmate hain ki Meri mulaqat Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se huyee to unhone farmaya jabir kya baat hai main tumhe shikashta haal kyu dekh raha hu maine arz kiya ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam mere walid shaheed ho gaye aur karz chorh gaye, Aap
Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya kya main tumhe us cheez ki khushkhabri na sunauu jiske saath Allah subhanahu ne tumhare walid se mulaqat ki, maine arz kiya kyu nahi Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam.

Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ne tumhare walid ke alawa har shakhs se parde ke peeche se guftgu ki aur faramaya ki eh mere bande tamanna kar,tu  jis cheez ki tamanna karega main tujhe ata karunga unhone arz kiya eh Allah dobara mujhe zinda kar de taaki main dobara teri raah mein qatl ho jauu Allah subhanahu ne farmaya ki faisla ho chuka hai koi duniya mein wapas nahi jayega phir farmaya ye aayat nazil huyee
وَلَا تَحْسَبَنَّ الَّذِينَ قُتِلُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتًا  بَلْ أَحْيَاءٌ عِندَ رَبِّهِمْ يُرْزَقُونَ
Aur jo log ALLAH ki Raah mein maare jaye unhe Murda na samajhna , bulki wo zinda hain aur unko rizq diya jata hai (3:169)
jamia Tirmizi, Jild 2, 927-Hasan
_____________
Correct answer  B🌹
--------------------
Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu saying: "The Messenger of Allah () met me and said to me: 'O Jabir! Why do I see you upset?' I said: 'O Messenger of Allah! My father was martyred (on the Day of Uhud) leaving my family and debt behind.

He () said: 'Shall I give you news of what your father met Allah with?'" He said: "But of course O Messenger of Allah!" He said: 'Allah does not speak to anyone except from behind a veil, but He brought your father to speak to Him directly. He said: "[O My slave!] Do you wish that I give you anything?" He said: 'O Lord! Give me life so that I may fight for You a second time.' So the Lord [Blessed and Most High] said: 'It has been decreed by Me that they shall not return (21:95).
 He said:

وَلَا تَحْسَبَنَّ الَّذِينَ قُتِلُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتًا  بَلْ أَحْيَاءٌ عِندَ رَبِّهِمْ يُرْزَقُونَ
Think not of those who are killed in the Way of Allah as dead. Nay, they are alive, with their Lord, and they have provision. (3:169)."
Jamia Tirmizi,Book 44, Hadith 3010-Hasan

No comments:

Post a Comment