❗ Only-Quran-Hadith Quiz 511❗
❗Qayamat ke din
kuch log ek taare (star) ke charo aur khade honge aur us se roshni hasil
karenge aur un logo se badi pyari khushbu aa rahi hogi aur aakhir mein wo
jannat mein dakhil ho jayenge aur ek amal aisa hoga jisko karne se wo amal
karne wala bhi un logo ke muqam tak pahuch jayega❗
Quiz mein 2 Sawal hain
Sawal 1 : Wo kaun log honge jinki ye sifat
bayan ki gayee hai?
A. Rishtedaro ke saath achcha suluq karne
wala
B. Quran ko padh kar amal karne wale
C. Juma ki namaz
ko pabandi se padhne wale
D. Sard rato mein wuzu karke namaz padhne
wale
E. Inmein se koi
nahi
F. Sahi jawab ka
intezar hai
Sawal 2 : Wo kaunsa amal hoga jisko karne wala bhi
un logo ke muqam tak pahuch jayega ?
A. La ilaha
ilAllah ka zyada wird karne wala
B. Yateem aur Miskeen ki parwarish karna
C. Ishrak ki
namaz pabandi se padhne wala
D. Kisi musalman ko kafir ke shar se
bachane wala
E. Inmein se koi
nahi
F. Sahi jawab ka
intezar hai
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
On the day of
Qayamah, there will be a star surronded by some people and will get the light
from that star, A very nice fragrence will be coming out from those people and
at the end they will enter in the paradise, Nobody will be able to reach on the
level of those people except the one who will perform a speical deed ?
There are Two questions in the quiz
Quiz 1 : Who are those people who will get
the light from that star ?
A. Keeping good relations with relatives
B. The one who read and follow Quran
C. One who sincerely pray friday prayers
D. one who perform ablution in cold night
to pray
E. None of the above
F. I want to know
Quiz 2 : What is that special deed by which
a person can reach the level of those people ?
A. One who say frequenty la ilaha illallah
B. One who Look after the orphan and widow
C. One who pray Duha (ishraq) prayer
regularly
D. Oen who save a believer from the evil of
disbeliever
E. None of the above
F. I want to know
: ✔💯Sahi Jawab CE
------------------
Abu Musa Ashari Radi Allahu Anhu se rivayat
hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu
Qayamat ke din dino ko (yani sunday, monday ...in sabko) unki halat mein zahir karega aur juma ke din
ko chamakta hua (sitare ki tarah) zahir karega, Ahl e juma (Juma ki namaz ka
pabandi se ehatmam karne wale) usko is tarah ghere huye honge jaise dulhan ko
uske shohar ki taraf bhejte huye gher liya jata hai.
Ye (Juma ka din) unke liye (Ahl e juma ke
liye) roshni karega aur wo uski roshni mein chalenge, unke rang baraf ki taraf
safed honge aur unki khushbu kasturi ki tarah phoot rahi hogi wo kafur ke pahad
mein mashgul honge jinn aur insan unko dekh rahe honge aur wo tajjub ki wajah
se nigah neechi nahi karenge yaha tak ki
wo Jannat mein dakhil ho jayenge aur sawab ki niyyat se azan dene walo ke alawa
koi bhi un logo ke martabe tak nahi pahuch sakega
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees – 565
Tabrani -1537-Hasan
Al Baihiqi, 2786-Hasan
-------------
Arabic text of Hadith:
------------------
عن أبي مَوسَى الْأَشْعَرِيّ، قال: قال
رَسُول الله ﷺ: إِن الله يَبْعَثُ الْأَيَّامَ يَومَ الْقِيَامَة عَلَى هَيْئَتِهَا، وَيَبْعَثُ
الْجُمُعَةَ زَهْرَاءَ مُنِيرَة، أَهْلُهَا يحفون بِهَا كالعَروس تُهـدى، إلى
كَريمِها تُضـِيءُ لَهـم، يَمْشُون في ضَوْئِهَـا، أَلْوَانُهُـم كالثَّلجِ بَيَاضًا، ورِيحُهم تَسْطعُ
كَالْمِسْك يَخُوضُون في جِبَال
الْكَافُور، يَنْظُرُ إِلَيْهِم
الثَّقَلَان ما يطرفون تَعَجُّبًا حَتَّى يَدْخُلُوا الْجَنَّة، لَا يُخَالِطُهُم
أَحدٌ إِلَا الْمُؤَذِّنُون الْمُحْتَسِبُون
السلسلہ صحیحہ حدیث ٥٦٥
طبرانی ١٥٣٧- حسن
البیہقی ٢٧٨٦ – حسن
: ✔💯 Answer CE ✔
------------------
Narrated By Abu Musa Ashari Radi Allahu
Anhu that the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said , On the day of Qayamah,
Allah subhanahu will raise the days (Sunday, Monday..etc.) in their form , but
the day of juma (Friday) will be raised as a big shining (star) The People of Friday (the one who sincerely
pray Friday prayers) will surround to it , like a bride is surrounded on the
time when she was being sent to her bridegroom.
That (friday) will spread light for those
people (for Ahal a Juma) and they will walk in that light. Their color will be
white like an ice and the fragrance of
musk will be coming out from them . they will be busy in the mountain of
Camphor (kafoor) . Many jinn and human being will be watching them surprisingly
and those will enter in paradise.
Nobody will be able to reach on that level
except the one who pronounce Adhan (the
call of prayer) with the intention of getting good deeds ( he will also reach
to that level)
Al-Silsila-As-Sahiha Hadees–565
Tabrani -1537-Hasan
Al Baihiqi, 2786-Hasan
-------------
Arabic text of Hadith:
------------------
عن أبي مَوسَى الْأَشْعَرِيّ، قال: قال
رَسُول الله ﷺ: إِن الله يَبْعَثُ الْأَيَّامَ يَومَ الْقِيَامَة عَلَى هَيْئَتِهَا، وَيَبْعَثُ الْجُمُعَةَ زَهْرَاءَ مُنِيرَة، أَهْلُهَا يحفون بِهَا كالعَروس تُهـدى،
إلى كَريمِها تُضـِيءُ لَهـم، يَمْشُون في ضَوْئِهَـا، أَلْوَانُهُـم كالثَّلجِ بَيَاضًا، ورِيحُهم تَسْطعُ
كَالْمِسْك يَخُوضُون في جِبَال
الْكَافُور، يَنْظُرُ إِلَيْهِم
الثَّقَلَان ما يطرفون تَعَجُّبًا حَتَّى يَدْخُلُوا الْجَنَّة، لَا يُخَالِطُهُم
أَحدٌ إِلَا الْمُؤَذِّنُون الْمُحْتَسِبُون
السلسلہ صحیحہ حدیث ٥٦٥
طبرانی ١٥٣٧- حسن
البیہقی ٢٧٨٦ – حسن
No comments:
Post a Comment