Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 5, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 462❗


Only-Quran-Hadith Quiz  462


Dusre sawal mein jawab ek se zyada hain

Sawal 1 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam par jadu karne wale shaksh ka kya naam tha  ?

A. Abdullah ibn Ubay
B. Aasam bin Lubaid
C. Uqba bin Abi Muait
D. Abu jahal
E. Lubaid bin Al-Aasam
F. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam par jo jadu kiya gaya tha usmein kaun kaun see cheezein istemal ki gayee thi ?

G. Jhadu
H. Kaanghi
I. Miswak
J. Khajur ke khosho ka gilaf
K. Kanghi mein fase huye baal
L. Sahi jawab ka intezar hai
___________
Only-Quran-Hadith Quiz

Second Question has more than one answer

Quiz 1 : Who did the magic on the on the Prophet Sal Allahu Alaihi Wasallam ?

A. Abdullah ibn Ubay
B. Aasam bin Lubaid
C. Uqba bin Abi Muait
D. Abu jahal
E. Lubaid bin Al-Aasam
F. I want to know


Quiz 2 : What were things being used for the magic done on the Prophet Sal Allahu Alaihi Wasallam ?

G. Broom
H. Comb
I. Siwak
J. Outer skin of the pollen of date-palm
K. The hair gathered on comb
L. I want to know


Sahi jawab E HJK
------------
Aisha radi Allah anha ne bayan ki Nabi Kareem Sal Allahu Alaihi Wasallam par jadoo kiya gaya tha. Aap ke Zahan mein baat hoti thi ke falah kaam main kar raha hon halanki Aap usko nahi kar rahe hote. Aakhir ek din Aap Sal Allahu Alaihi Wasalla ne dua ki ke Allah Subhanahu is jadoo ke asar ko door kar de. is ke baad aap ne Aisha Radi Allahu Anha se farmaya ki tumhe maloom bhi hai ki Allah subhanahu ne mujhe woh tadbeer bata di hai jisme meri Shifa muqaddar hai.

Mere paas do Aadmi aaye, ek to mere sir ki taraf baith gaye aur dusra paaw ki taraf. phir ek ne dusre se kaha, inhen kya beemari hai ? dusre aadmi ne jawab diya ke in par jaadoo hua hai. unhon ne poocha, jaadoo un par kis ne kiya hai? jawab diya ke Labid bin Aasim Yahoodi ne, Poocha ke woh jadoo (tona) kic cheez mein rakha gaya hai? kaha ki kanghi mein, aur kanghi mein fase huye baalo mein aur khajoor ke khushk khoshe ke gilaf mein. poocha, aur yeh cheeze kaha hain ? kaha Dharwan ke kuwe mein.

Phir Rasool-Allah Sal Allahu Alaihi Wasallam wahan tashreef le gaye aur wapas aaye to Aisha Radi Allahu Anha se farmaya, wahan ke khajoor ke darakht aise hain jaise shaitan ki khopdi. Maine Aap Sal Allahu Alaihi Wasallam se poocha, woh jadu aap ne waha se nikalwaya ? Aap Sal Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke nahi mujhe to Allah subhanahu ne khud Shifa di aur mein ne uusko is khayaal se nahi nikalwaya ke kahin is ki wajah se logon mein koi jhagda na fail jaye
 is ke baad woh kunwa band kar diya gaya.
Sahih Bukhari Jild 4, 3268
______________
Correct Answer E HJK
----------
Narrated Aisha Radi Allhu Anha , Magic was worked on the Prophet () so that he began to imagine that he was doing a thing which he was not actually doing. One day he invoked (Allah) for a long period and then said, "I feel that Allah has inspired me as how to cure myself.

Two persons came to me (in my dream) and sat, one by my head and the other by my feet. One of them asked the other, "What is the ailment of this man?" The other replied, 'He has been bewitched" The first asked, 'Who has bewitched him?' The other replied, 'Lubaid bin Al-Aasam.' The first one asked, 'What
material has he used?' The other replied, 'A comb, the hair gathered on it, and the outer skin of the pollen of the male date-palm.' The first asked, 'Where is that?' The other replied, 'It is in the well of Dharwan.' "

So, the Prophet () went out towards the well and then returned and said to me on his return, "Its date-palms (the date-palms near the well) are like the heads of the devils." I asked, "Did you take out those things with which the magic was worked?" He said, "No, for I have been cured by Allah and I am afraid that this action may spread evil amongst the people." Later on the well was filled up with earth.

Sahih Bukhari Book 54, Hadith 490

No comments:

Post a Comment