❗
Only-Quran-Hadith Quiz 522 ❗
Jawab ek se ziyada hain
Sawal : Luqman Alaihi Salam ne apne bete ko
inmein se kaun kaun see baato ki naseehat farmayee thi
A. Namaz padhte rahna
B. Kabhi shirk na karna
C. Zakat dete rahna
D. Museebat par sabr karna
E. Zameen par Akad kar na chalna
F. Buri baato se mana karte rahna
G. Bolte waqt nigahe neechi rakhna
H. Sahi Jawab ka
intezar hai
: ❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Answers are more
than one
Quiz : What
advises luiqman Alaihi salam gave to his son ?
A. Perform As-Salat
B. Join not in worship others with Allah
C. Keep giving charity
D. patience whatever befalls you.
E. Dont walk in insolence through the
earth.
F. forbid what is wrong
G. Lower your gaze while talking
H. I want to know
: ✔💯Sahi Jawab AB DE F✔
---------
Al Quran : Aur us waqt ko yaad kijiye jab
luqman alaihi salam ne apne bete ko naseehat karte huye kaha ki beta Allah ke
saath kabhi shirk na krna beshak Shirk to bada (bhari) zulm hai
Surah Luqman (31) Aayat 13
Beta namaz ki pabandi rakhna aur (logon ko)
achche kaamo ke karne ka hukm aur buri baato se mana karte rahna aur jo museebat
tujh par aaye us par sabr karna , beshak
ye badi himmat ka kaam hai, aur (takabbur se) logon se gaal na phulana aur zameen
par akad kar na chalna beshak Allah kisi itrane wale ko pasand nahi farmata hai , aur apni chaal mein aitdaal
kiye rahna aur (bolte waqt) aawaz neechi rakhna kyunki (unchi aawaz gadhe ki
hoti hai) aur sab aawazo se buri
aawaz gadho ki hai
Surah Luqman (31) Aayat 17-19
✔💯Answer AB DE F✔
-------------------
Al Quran : And (remember) when Luqman said
to his son when he was advising him: "O my son! Join not in worship others
with Allah. Verily joining others in worship with Allah is a great Zulm (wrong)
indeed.
Surah Luqman (31) Verse 13
Al Quran : O my son! Aqim-As-Salat (perform
As-Salat), enjoin what is right, forbid what is wrong, and bear with patience
whatever befalls you. Verily, these are some of the important commandments
(ordered by Allah with no exemption).
And turn not your face away from men with
pride, nor walk in insolence through the earth. Verily, Allah likes not any
arrogant boaster. And be
moderate (or show no insolence) in your walking, and lower your voice. Verily,
the harshest of all voices is the braying of the donkeys
Surah Luqman (31) Verse 17-19
No comments:
Post a Comment