Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 5, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 481❗


Only-Quran-Hadith Quiz 481

teeno sawalo ke jawab saath mein dijiye is tarah ACD / BDE

Sawal 1 : Wo kaunse sahabi hain jinhone sabse pahle makka meie elaniya taur par Quran majid ki tilawat farmayee?

A. Hazrat Umar Radi Allahu Anhu
B. Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu
C. Hazrat Ali Radi Allahu Anhu
D. Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Unhone kaunsi Surah tilawat farmayee ?

A. Surah Fatiha
B. Surah Alaq
C. Surah Muzammil
D. Surah Rahman
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 3 : Jab wo tilawat farma rahe they to Kuffar e makka ne kya kiya ?

A. Khamoshi se tilwat sunne lage
B. Unki tilwat ke khilaf ashaar padhne lage
C. Un sahabi ke munh par maarne lage
D. Unhone apne kaano ko band kar diya
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
_____________
Only-Quran-Hadith Quiz

Kindly reply all three quiz together like this ABD / CDE

Quiz 1 : Name the first companion who recited Quran loudly in front of Disbelivers of Makka ?

A. Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu
B. Hazrat Ali Radi Allahu Anhu
C. Hazrat Umar Radi Allahu Anhu
D. Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu
E. none of the above
F. I want to know


Quiz 2 : Which surah he recited ?

A. Surah Fatiha
B. Surah Alaq
C. Surah Muzzammil
D. Surah Rahman
E. none of the above
F. I want to know

Quiz 3 : While he was reciting Quran what the Disbelievers of Makka did in his reaction?

A. They listened Quran silently
B. They began reciting poetry loudly
C. They began to hit him in the face
D. They closed their ears
E. none of the above
F. I want to know


 💯✔ Sahi Jawab BDC
-------------
Hazrat Urwa Radi Allahu Anhu se riyavat hai Sabse pehle Hazrat Abdullah ibn Masud Radi Allah Anhu ne Makka mai buland awaz se Quran ki tilawat farmayee
us ka waqiya ye hai Ek din Sahaba Radi Allahu Anhuma jama they Unhone kahan ke ab tak Quraish ne Allah ke Quran ko buland aawaz mai nahi suna Koun unko sunaye, Hazrat Abdullah ibn Masud Radi Allahu Anhu ne kaha main sunata hu aur Sahaba Radi Allahu Anhuma ne kahan ham darte hai ke tumko Unke hatho taklif pahuchegi, Hum aisa admi chahte hai jiska Kunba Khandan ho Jo unse uski hifazat ker sake.

Hazrat Abdullah ibn Masud Radi Allahu Anhu ne kaha mujhe iss baat ki ijazat do, Allah subhanahu meri hifazat karega, dusre din Chasht ke waqt Hazrat Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu Maqam mai aaye aur us waqt Quraish apne deewan khano mein baithe they, Hazrat Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu Maqam ke pass khade huye aur Unhone buland awaz se padha

بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ  ٱلرَّحْمَٰنُ. عَلَّمَ ٱلْقُرْءَانَ. خَلَقَ ٱلْإِنسَٰنَ. عَلَّمَهُ ٱلْبَيَانَ

Phir iss Surat ko tilawat karte huye wo Quraish ki tarf chale,  Quraish gaur karne lage aur kahne lage ke ye kya keh reha hai, phir unhone kahan ke shayad Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasllam per Jo wahi aayee hai us se padh raha hai phir wo apni apni jagah se uth ker Hazrat Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu ke pass aaye aur unke munh per tamache maarne lage magar wo isee tarah Quran tilawat karte rahe aur jahan tak Allah subhanahu ko tilawat maqsood thi waha tak padh ker apne doston ke pass wapas aagye, unke Chehre per tamancho ke nishan mojud they.

Sahaba Radi Allahu Anhuma ne kaha ham ko isse baat ka tumare liye andesha tha, Hazrat Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne kaha kabhi Allah ke dushman meri nazar mai iss qader haqeer nahi huye they jitne ke ab hai ,tum chaho to kal phir mai Unke samne Quran parhu,
Sahaba Radi Allahu Anhuma ne kaha nahi itna kafi hai tumne unko wo suna diya jis se wo Sunna nahi Chahte
Tarikh At Tabri, Jild 2 ,Page 79 -Hasan
Seerat ibn hisham , 202

Arabic text
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=334&pid=376742&hid=457
__________
💯✔Correct Answer ADC
---------
Ibn Humayd-Salamah-Muhammad b. Ishaq-Yahya b. 'Urwah b. al-Zubayr-his father:" The first to recite the Qur'an aloud in Mecca after the Messenger of God was 'Abdallah b. Masud.One day the companions of the Messenger of God were assembled together and said, "By God, Quraysh have never heard this Qur'an recited aloud to them. Who will let them hear it?" 'Abdallah b. Mas'ud said, "I will." They said, "We fear what they will do to you. What we want is a man who has a
clan who will protect him against them if they seek to harm him." He replied, "Let me do it. God will protect me."

The next day, Ibn Masud went to the Muqam e ibrahim in the late morning when the Quraysh were gathered in their groups. When he was standing at the Muqam e ibrahim, he said,
بسم الله الرحمن الرحيم
الرَّحْمَـٰنُ  
عَلَّمَ الْقُرْآنَ
خَلَقَ الْإِنسَانَ            
عَلَّمَهُ الْبَيَانَ
(In the name of God,the Compassionate, the Merciful,The Compassionate has made known the Qur'an. He has created man. He taught him eloquent speech.)
raising his voice as he did so, He turned toward them as he recited, and they took notice of him and began to say, "What is this son of a slave's mother  saying?" Then they said, "He is reciting some of what Muhammad has brought," and rose up and began to hit him in the face. He continued to recite as much as God willed that he should, and then went back to his companions with the marks of their blows. on his face. They said, "This is what we feared would happen to you," but he replied, "The enemies of God were never more despicable in my sight than they are now. If you wish, I will do the same thing to them tomorrow." They replied, "No, you have done enough. You have made them hear what they do not wish to hear.
Tarikh At Tabri, Vol 6,Page 105-Hasan
Seerat ibn hisham , 202

No comments:

Post a Comment