Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 5, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 476 ❗


  Only-Quran-Hadith Quiz 476

Teesre Sawal ke jawabat ek se zyada hain

Sawal 1 : Wo kaunsa Rahib tha jisne sabse pahle Rasool-Allah Sal-Allaahu alaihi Wasallam ko pahchan liya ki Aap Nabee hain ?

A. Warqa
B. Naufal
C. Bahira
D. Hekal
E. Ibn Saad

Sawal 2 : Us waqt Aap Sal-Allahu alaihi Wasallam ki umar mubarak kitni thi ?

A. 9
B. 7
C. 10
D. 13
E. 15

Sawal 3 : Us rahib ne Rasool-Allah Sal-Allaahu alaihi Wasallam mein nabuwat ki kaunsi nishaniya dekhi thi ?

F.  Badal ka Aap par saya karna
G. Peshani ke darmiyan noor ka chamakna
H. Darakht aur Paththar ka sazda karna
I.  Aapki Amanat dari aur aala akhlaq
J. Dono shano ke darmiyan Nabwuwat ki muhar
K. Sahi jawab ka intezar hai
_____________________
Only-Quran-Hadith Quiz

The third question has more than one reply

Quiz 1 : What is the name of that monke who first of all identified the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam that he is a messenger of Allah ?

A. Warqa
B. Naufal
C. Bahira
D. Hekal
E. Ibn Saad

Quiz 2 : At that time ,what was the age of our beloved Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam ?

A. 9
B. 7
C. 10
D. 13
E. 15

Quiz 3 : What features that monk found in Prophet Sal-Allahu alauhu wasallam about his Prophecy ?

F.  Shade of clouds over him
G. The Noor (light) in the forhead
H. The Prostration of trees and stones to him
I. The extra ordinary good manners
J. The Seal of prophethood between shoulders
K. I want to know


💯 Sahi Jawab CA FHJ  🌹
--------------------
Abu Talib Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko saath lekar mulk e sham rawana huye aur basra ke muqam par muqam kiya to waha ek bahira nama ka rahib uski khnqah mein raha karta tha , ye nasraniyo ka bada aalim tha , usne dekha ki us kafile mein tamam logo ko chorh kar sirf Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam par ek badal saya kiye huye chala ja raha hai , jab wo kafila ek darakht ke kareeb gaya to us darakht ki shakhe Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam par saaya karne lagi ye dekh kar wo rahib apni khanqah se utra aur sare qafile walo ko apne paas bula liya aur un nishaniyo ko gaur se dekhne laga jo usko pahle se malum thi uske baad usne aapki peeth dekhi wo dono shano ke beech mein Muhar e Nabuwat nazar aayee

Hisham bin Muhammad rivayat karte hain ki jab Abu talib Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko lekar mulk e sham aaye to us waqt Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ki umar 9 baras thi.

Abu Musa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki rahib (bahira) Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke kareeb aaya aur unka haath pakada aur kahne laga ye sare aalam ke sardar hain ye Rabbul Alameen ke Rasool hain, inko Allah subhanahu sare jahan ke liye rahmat bana kar mabuus farmayega Quraish ke sheikh ne us rahib se pucha tumko ye bata kaise malum huyee to usne kaha ki jab tum ghati mein aaye to koi darakht ya paththar aisa na tha jo saze mein gir padha ho aur jamadat aur nabatat sirf Nabeeyo ke samne sazda karte hain aur maine unki muhr e nabuwat bhi dkehi jo saib (apple) ke barabar thi jo unke dono shano ke darmiyan hain
Tarikh At Tabri Jild 2, Page 47-48-Hasan

Arabic text with Hasan Sanad :
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=334&pid=376736&hid=392

http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?hflag=1&bk_no=334&pid=376736
__________
💯 Answer CA FHJ  🌹
---------------------------
Abu talib took prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam to the Syria with him on a trading expedition, The caravan halted at Busra in Syria, where there was a learned Christian monk named Bahira in his cell. Ehile he was in his cell he had seen the Messenger of God shaded by a cloud which marked him out from among the company. Then they hadcome near, and, when they halted in the shade of a tree close to him, he observed the cloud covering the tree and bending down its branches over the Messenger of God until he was in the shade beneath it. When Bahira saw this, he descended from his cell and sent the caravan a message inviting them all. When he saw the Messenger of God, he observed him very intently, noting features of his person whose description he had found in his book.

After the company had finished the meal and dispersed, he asked the Messenger of God about certain matters which had taken place both when he was awake and when he was asleep. The Messenger of God told him, and he found that these things corresponded to the description which he had found in his book. Finally he looked at Muhammad's back, and saw the seal of prophethood between his shoulders.

Hisham bin Muhammad: Abu Talib took the Messenger of God to Busra in Syria when he .was nine years old.

Abu Musa Radi Allahu Anhu said Abu Talib set off for Syria accompanied by the Messenger of God and a number of shaykhs of Quraysh. When they were above the monk's cell they went down and unloaded their camels. The monk came out to meet them, even though when they had passed by him previously he had not done so nor paid any attention to them. As they were encamped among their baggage he went among them, finally coming up andtaking hold of the hand of the Messenger of God. Then he said, "This is the Chief of the Worlds; this is the Messenger of the Lord
of the Worlds : this person has been sent by God as a mercy to the Worlds. The shaykhs of the Quraysh said to him , "What is it that you know ?" He replied, "I know that when you appeared at the top of the pass there was not a tree or a stone which did notprostrate itself in worship; and they only prostrate themselves to a prophet. I also recognize him by the seal of prophethood which is below the cartilage of his shoulders and which is like an apple."
Tarikh At Tabri , Jild 6, Page 94-95 – Hasan

Arabic text with Hasan Chains :
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=334&pid=376736&hid=392

http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?hflag=1&bk_no=334&pid=376736

No comments:

Post a Comment