Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, September 9, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 504 ❗




Only-Quran-Hadith Quiz 504


Jawab ek se ziyada hain

Sawal : Jo Shaksh Duha (Ishraq) ki namaz ada kare usko kya kya sawab milta hai  ?

A. Uske us din ke sare aamal illiyin mein likhe jate hain
B. Wo aisa hai jaise bahut sara maal e ganeemat hasil kar liya
C. Uske sare gunah maaf kar diye jate hain
D. Usko Umrah karne jaisa sawab milega
E. Wo aisa ho jata hai jaise ki abhi maa ke pet se paida hua
F. Uske badan ke har ek jod (joints) ka sadqa ada ho jata hai
G. Sahi jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

Answers are more than one

Quiz :  The one who prays  Duha prayer (Ishraq /sunrise  prayer) , what hasnat  (good deeds) he will get ?

A. His all good deeds of that day will be written in illiyin
B. Will get the reward like person who performs umrah
C. He is like the one who has got lot of war booty (maal e ganimah)
D. His all sins will be forgiven
E. He will be like as his mother bore him
F. The charity for of body joints will be given from him
G. I want to know



 ✔💯Sahih jawab BCDEF💯
--------------
 *Chasht / Duha / Ishraq ki namaz ki fazilat*
--------------
1.  Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs apne ghar se wuzu karke farz namaz ki niyyat se nikle to usko utna sawab milega jitna ki ehram baandh kar hajj par jane ka hota hai, aur jo shakhs duha (ishraq ya chasht) ki namaz ki niyyat se nikle aur uski khatir takleef bhi bardasht kare to uska sawab umrah karne wale ki tarah hai aur jo namaz ek namaz ke baad ho aur uske beech koi behuda baat
ya kaam na kiya jaye to wo namaz illiyeen mein likhi jayegi
Sunan Abu Dawud, jild 1, 556-Sahih
-----------
2.  Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ek lashkar bheja jinhone bahut badi tadad mein maal e ganimat hasil kiya aur jaldi wapas aa gaye ek aadmi ne kaha,Eh Allah ke Rasool Sal-Allahu Alaihi Wasallam humne aise log nahi dekhe jo is lashkar se zyada ganeemat aur jaldi wapas aane wale ho to Aap  Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya main tumhe us lashkar se bhi ziyada jaldi aur badi ganeemat hasil karne
wale ke baare mein na batauu, wo shakhs jisne apne ghar mein wuzu kiya aur achchi tarah wuzu kiya phir masjid ki taraf gaya aur masjid mein subah ki namaz padhi phir uske baad chasht ki namaz padhi to wo bahut jald aur bahut badi ganeemat samet kar aaya
Al-Silsila As Sahiha,2384
Sahih Ibn Hibban, 2597-Hasan
-----------
3.  Uqbah bin Aamir radi Allahu Anhu se rivayat hai ki wo Rasool-Allah  ke satah ghazwa e tabuk ke liye rawana huye aur ek din Rasool-Allah  sahaba radi  allahu anhuma ke beech tashreef farma they aur us waqt Rasool-Allah   ne farmaya tum mein se jo koi suraj nikalne ke baad (yani Duha ya ishraq ke waqt) khade hokar achchi tarah wuzu kare aur phir 2 rkaat namaz ada kar le to uske sare gunah is taraf maaf kar diye jayenge jaise ki uski maa ne usko abhi paida
kiya ho
Masnad Ahmed, Vol 1, 121-Sahih
Sunan Al-Darmi,712-Sahih

 Arabic text
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=121&hid=118&pid=672323

http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=137&hid=712&pid=427752
-----------
4.  Abu Dharr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Subah hote hi  tum mein se har ek shakhs ke har ek  jod (joints) par sadqa wajib ho jata hai, phir har ek tasbeeh (yani subhanAllah kahna) sadqa hai , Har ek tamheed (Yani Alhamdulillah kahna ) sadqa hai ,aur har ek tehleel(La ilaha ilAllah kahna) bhi sadqa hai aur har ek takbir (Allahu Akbar kahna) bhi sadqa hai, (kisi ko) achchi baat sikhana bhi sadqa hai aur (kisi ko) buri baat se rokna bhi sadqa hai in Tamam kaamo ki jagah chasht (Duha / IShraq) ki do rakatein kaafi ho jati hain jisko wo padh leta hai
Sahih Muslim, Jild 2, 1671

 ✔💯Answer BCDEF
---------------
 *The Importence of the prayer of Duha / Chasht / Ishraq*
-----------
1. Narrated Abu Umamah Radi Allahu Anhu The Messenger of Allah () said: If anyone goes out from his house after performing ablution for saying the prescribed prayer in congregation (in the mosque), his reward will be like that of one who goes for hajj pilgrimage after wearing ihram . And he who goes out to say the mid-morning (duha) prayer, and takes the trouble for this purpose, will take the reward like that of a person who performs umrah. And a prayer followed by a prayer with no worldly talk during the gap between them will be recorded in Illiyyun.
Sunan Abu dawud, Book 2, 558-Hasan
-----------
2. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu reported The prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam sent one army who get lot of war booty and came back quickly, one person said oh Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam I never saw such people who get the war booty (maal e ganimah) so quickly and also so huge. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said should I not tell you about the one who get the more war booty and more quicker than this army ? the person who goes out to wards masjid from his house after performing ablution well and pray morning prayer and after that pray the Duha prayer he will be like the one who has got lot of war booty (maal e ganimah) quickly.
Al-Silsila As Sahiha, 2384
Sahih Ibn Hibban, 2597-Hasan
-----------
3. It was narrated from Uqbah bin Aamir that he went out with the Messenger of Allah on the campaign to Tabook, and one day the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam sat talking to his companions and said: Whoever gets up when the sun has risen (Time of Duha or Ishraq) and does wudoo (Ablution) and does it well, then stands and prays two rakahs, his sins will be forgiven him and he will be as his mother bore him.
Masnad Ahmed, Vol 1, 121-Sahih
Sunan Al-Darmi,712-Sahih

 Arabic text
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=121&hid=118&pid=672323

http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=137&hid=712&pid=427752
-----------
4. Abu Dharr Radi Allahu Anhu reported The prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said In the morning charity is due from every bone in the body of every one of you. Every utterance of Allah's glorification (Saying SubhanAllah) is an act of charity. Every utterance of praise of Him (Saying Alhamdulillah) is an act of charity, every utterance of profession of His Oneness (Saying La ilaha ilAllah) is an act of charity, every utterance of profession of His Greatness (Saying Allahu Akbar) is an act of charity, enjoining good is an act of charity, forbidding what is distreputable is an act of charity, and two rak'ahs
which one prays in the forenoon (Duha Prayer) will suffice.(for the charity of all body joints)
Sahih Muslim, Book 4, 1557

No comments:

Post a Comment