Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Sunday, September 9, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 506 ❗


Only-Quran-Hadith Quiz 506

Dono sawalo ke jawab saath mein dena

Ek baar ek Sahabi ne Rasool-Allah se kaha ki aapki wajah se mujhe takleef pahunchi hai mujhe aapse qasas (lena) hai phir Aap   ne apne aapko Qasas ke liye unke samne hazir kar diya ?

Sawal 1 : Wo Sahabi kaun they ?

A. Anas Radi Allahu Anhu
B. Zaid Radi Allahu Anhu
C. Abu Darda Radi Allahu Anhu
D. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Unhone us takleef ke badle kya Qasas liya ?

A. Unhone kaha ki mujhe Jannat mein aapka saath chahiye
B. Unhone Aap ke badan ke ek hisse ko chum liya
C. Unhone Aap ke saath Hajj par jaane ki ejzat maang li
D. Wo Aap ke khadim bankar rahne lage
E, Inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

: Only-Quran-Hadith Quiz

Reply both quiz together

🔸 Once a Sahabi said to the Prophet Sal-Alalahu alaihi wasallam that you have hurted me I want to take revenge for this and after that Prophet presented himself to him for revenge ?

Quiz 1 :Who was that Sahabi (companion) ?

A. Anas Radi Allahu Anhu
B. Zaid Radi Allahu Anhu
C. Abu Darda Radi Allahu Anhu
D. Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu
E. None of the above
F. I want to know

Quiz 2 : What kind of revenge he took from Prophet ?

A. He said I want to be your neighbour in paradise
B. He kissed the part of the body of Prophet
C. He took the permission to go on hajj with prohet
D. He started to serving the prophet as a servent
E. None of the above
F. I want to know

: ✔💯Sahi Jawab EB💯✔
 Wo sahabi Sawad ibn Ghaziya Radi Allahu anhu they.
---------------
Habban ibn Wasi ibn Habban Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Badr wale din sahaba Radi Allahu Anhuma ki safein seedhi ki aur aapke haath mein teer tha jiske jariye aap safein seedhi kar rahe they Aap Banu Adi bin Najjar ke ek shakhs Sawad ibn Ghaziya Radi Allahu anhu ke pass se guzre to dekha wo saff se aage badhe huye they to Aapne dheere se teer ki nok ko unhe chubho kar kaha ki Eh sawad seedhe ho jao to unhone kaha ki YA Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam aapne mujhe takleef di halanki aap ko to haq aur adal ke saath bheja gaya hai,mujhe qasas lene dijiye , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne apne pet se kapda uthaya aur farmaya ki ye lo Qasas le lo.

Sawad Radi Allahu Anhu ne farmaya ki main aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ke pet se chimat gaya aur aapke pet ko chum liya Aapne farmaya ki eh sawad tumhe aisa karne ko kis cheez ne aamadah kiya maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jo kuch samne hain aap dekh rahe hain ( yani jung hone wali hai) aur main ye chahta hu zindagi ke aakhri lamho mein mera jism aapke jism ko lag jaye , phir Aap -SalAllahu alaihi wasallam ne mere liye khair aur bhalaye ki dua ki
As Silsila As Sahiha, 3356
Seerat ibn Ishaq , 266/2-Hasan

✔💯Answer is EB💯✔
and that sahabi was Sawad ibn Ghaziya Radi Allahu Anhu
--------------------------------
Habban ibn Wasi ibn Habban Radi Allahu anhu told me on the Authority of some elders of his tribe that on the day of Badr the apostle dressed the ranks of his companion wth an arrow which he held in his hand.As he passed by Sawad ibn Ghaziya Radi Allahu Anhu , an ally of Ibn’Adiy ibn al-Najjar Radi Allahu Anhu, who was mustansil (standing out of line) he pricked him in his belly with the arrow, saying, Stand in line, O Sawad Radi Allahu Anhu.
He said You have hurt me, O Prophet of Allah  Sal-Allahu Alaihi Wasallam Allah has sent you with right and justice so let me retaliate (revenge) . The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam uncovered his belly and said Take your retaliation.

Sawad Radi Allahu anhu embraced him and kissed his belly. He Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked what had made him do this and he replied, O apostle of Allah, you see what is before us and I may not survive the battle and as this is my last time with you I want my skin to touch yours.The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam blessed him.
As Silsila As Sahiha, 3356
Seerat ibn Ishaq , 266/2-Hasan

No comments:

Post a Comment