Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 5, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 484 ❗


  Only-Quran-Hadith Quiz 484

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Jo shakhs apne ghar se wuzu karke farz namaz ki niyyat se masjid ko jaye aur waha jamat se namaz padhe to usko kya sawab milega ?

A. Usko Bakhsh diya jata hai
B. Uske bahine qadam par ek gunah mitaya jayega
C. Usko itna sawab hai jitna Umrah par jane ka
D. Usko itna sawab hai jitna Hajj par jane ka
E. Uske dahine qadam par ek neki likhi jayegi
F. Sahi jawab ka intezar hai

Only-Quran-Hadith Quiz

Answers are more than one

Quiz: The person who performs ablution and go towards masjid for prescribed prayer and complete his prayer in congregation what benefit he will get ?

A. He will be forgiven
B. On his each left step his one sin will be removed
C. Will get reward like the one who goes for hajj
D. Will get reward like the one who goes for Umrah
E. On his each right step he will get one good deed
F. I want to know

 💯✔ Sahi Jawab ABDE
-------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki jab tum mein se koi shaksh achchi tarah wudhu karke Namaz ke liye nikalta hai to Dahina (right) Qadam uthate hi Allah Subhanahu uskey liye ek neki likh dete hain aur bahina (left) Qadam uthate hi uska ek gunaah maaf kar dete hain so ab jo chahe(masjid se) Qareeb rahe ya dur rahe, phir jab wo Masjid mein aakar namaz Parhta hai to usko bakhsh diya jata hai,
Sunan Abu Dawud, Jild 1,  561-Sahih
-------------
Hazrat Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs apne ghar se wuzu karke farz namaz ki niyyat se nikle to usko utna sawab milega jitna ki ehram baandh kar hajj par jane ka hota hai, aur jo shakhs duha (chasht) ki namaz ki niyyat se nikle aur uski khatir takleef bhi bardasht kare to uska sawab umrah karne wale ki tarah hai aur jo namaz ek namaz ke baad ho aur uske beech koi behuda baat ya kaam na kiya jaye to wo namaz illiyeen mein likhi jayegi
Sunan Abu Dawud, jild 1, 556-Sahih

 💯✔ Correct Answer ABCE
-------------
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said If any one of you performs ablution and performs it very well, and goes out for prayer, if he take his right step , Allah records a good deeds (or blessing) for him, and as he take his left step Allah removes one sin from him. Any one of you may reside near (the mosque) or far from it; if he comes to the mosque and prays in congregation, he will be forgiven (by Allah).
Sunan Abu Dawud, Book 2, 563-Sahih
-------------
Narrated Abu Umamah Radi Allahu Anhu The Messenger of Allah () said: If anyone goes out from his house after performing ablution for saying the prescribed prayer in congregation (in the mosque), his reward will be like that of one who goes for hajj pilgrimage after wearing ihram . And he who goes out to say the mid-morning (duha) prayer, and takes the trouble for this purpose, will take the reward like that of a person who performs umrah. And a prayer followed by a prayer with no worldly talk during the gap between them will be recorded in Illiyyun.
Sunan Abu dawud, Book 2, 558-Hasan

No comments:

Post a Comment