Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 5, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 469 ❗


Only-Quran-Hadith Quiz 469

Ek Baar do sahabi Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki baargah mein aapas mein zor zor se baat karne lag gaye is par Allah subnanahu ne aayat nazil farma di jiska tarjuma hai ki "Eh Imaan walon apni aawazien Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aawaz se unchi na karo .."

Sawal :  Wo do sahabi kaun they ?

A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu
B. Umar Radi Allahu Anhu
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Ali  Radi Allahu Anhu
E. Zaid Radi Allahu Anhu
F. Sahi Jawab ka intezar hai
__________
Quiz : Once two sahabi (companions)  was arguing each other infront of the prophet Sal-Allahu Alahai Wasllam and began to raise their voices that time Allah subhanhu revealed these verse "O you who believe! raise not your voices above the voice of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam..."

Who was that two Sahabi ?

A. Abu Bakr Radi Allahu Anhu
B. Umar Radi Allahu Anhu
C. Uthman Radi Allahu Anhu
D. Ali  Radi Allahu Anhu
E. Zaid Radi Allahu Anhu
F. I want to know


  Sahi Jawab AB🌹
-------------
Hazrat Abdullah bin Az-Zubair se riyavat hai Banu Tamim Ke kuch Sawar Nabi Akram Sal-Allahu Alahai Wasllam ke pass aaye, Hazrat Abu bakr Radiallah Anhu ne kahan:Al-Qa`qa bin Mabad ko sardar banye,aur Hazrat Umar Radiallah Anhu ne kaha :Al-Aqra bin Habis ko sardar banaye, phir dono mai behas wa takrar ho gayee yaha tak ke unki awaz buland ho gayee aur us waqt Allah subhanahu ne ye aayat nazil farmayee

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَرْفَعُوا أَصْوَاتَكُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِيِّ وَلَا تَجْهَرُوا لَهُ بِالْقَوْلِ كَجَهْرِ بَعْضِكُمْ لِبَعْضٍ أَن تَحْبَطَ أَعْمَالُكُمْ وَأَنتُمْ لَا تَشْعُرُونَ
Al Quran : Eh Imaan walon apni aawazien Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aawaz se unchi na karo aur jis tarah aapas mein ek dusre ko zor se bolte ho unke roobaru zor se na bola karo ki tumhare aamal zaya ho jaynege aur tumko khabar bhi na hogi. Surah Al-Hujraat, (49), 2
Sunan Nasaii, Jild 3,1687

Note : Surah hujrat ki is aayat ke saath iske baad wali aayat no. 3,4 aur 5 bhi nazil huyee thi.
_________________
Correct Answer AB 🌹
----------
Abdullah bin Az-Zubair narrated that A group from Banu Tamim came to the Prophet Sal-Allahu Alahai Wasllam. Abu Bakr said: "Appoint Al-Qa'qa' bin Ma'bad (as commander or governor)," and 'Umar said: "No, (appoint) Al-Aqra' bin Habis." They argued until they began to raise their voices, then the words were revealed:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَرْفَعُوا أَصْوَاتَكُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِيِّ وَلَا تَجْهَرُوا لَهُ بِالْقَوْلِ كَجَهْرِ بَعْضِكُمْ لِبَعْضٍ أَن تَحْبَطَ أَعْمَالُكُمْ وَأَنتُمْ لَا تَشْعُرُونَ
Al Quran : O you who believe! raise not your voices above the voice of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam , nor speak aloud to him in talk as you speak aloud to one another, lest your deeds should be rendered fruitless (become vain) while you perceive not. Al-Hujraat, (49), 2
Sunan An-Nasai, Book 49, Hadith 5388

No comments:

Post a Comment