Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 5, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 467 ❗


  Only-Quran-Hadith Quiz 467


Sawal : Quran ko padhne wale logo ka unki misal se milan kijiye aur jawab is tarah dijiye
A1, B3, C4, D3, E5

A. Jo Momeen Quran nahi padhta magar us par amal karta hai
B. Jo Momeen Quran ko Buland aawaz se padhta hai
C. Jo Momeen Quran padhta hai aur us par amal bhi karta hai
D. Jo Momeen Quran ko ahista aawaz se padhta hai
E. Jo Munafiq Quran padhta hai
F. Sahi jawab ka intezar hai


1. Maza bhi bahut achcha aur khushbu bhi achchi
2. Maza to achcha lekin khushbu nahi
3. Jo chup kar sadqa deta hai
4. Jo Elaniya taur par sadqa deta hai
5. Khushboo achchi lekin maza kadwa
6. Inmein se koi nahi
_______________________
Only-Quran-Hadith Quiz

  Quiz : Kindly match the peroson who recite Quran with their examples and reply like this
A1, B3, C4, D3, E5


A. A Believer who does not recite the Qur'an but acts on it
B. One who recites the Quran in a loud voice
C. A Believer who recites the Qur'an and acts on it
D. One who recites the Quran quietly
E. A Hypocrite who recites the Qur'an
F. I want to know


1. Tastes nice and smells nice
2. Tastes good but has no smell
3. one who gives alms secretly
4. one who gives alms openly
5. Smells good but tastes bitter
6. Inmein se koi nahi


Bismillahirrahmanirrahim

Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala
------------
Uqbah ibn Amir Al-Juhani radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Buland aawaz se Quran padhne wala aisa hai  jaise ki elaniya taur se sadqa dene wala aur ahista aawaz se Quran padhne wala aisa hai jaise ki chupke se sadqa dene wala
Sunan Abu Dawud, Jild 1,1320-Sahih

Abu Musa radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us momeen ki misal jo Quran padhta hai aur us par amal bhi  karta hai meethe leemu (citron) ki tarah hai jiska maza bhi bahut achcha aur khushbu bhi achchi hoti,
Aur wo momeen jo Quran nahi padhta lekin us par amal karta hai uski misal khajur(date) ki tarah hai jiska maza to bahut achcha hota hai lekin khushbu nahi  hoti, Aur us munafiq ki misal jo Quran padhta hai Raihana (sweet basil) ke jaisee hai jiski khushboo to achchi hoti hai lekin maza kadwa hota hai Aur us munafiq ki misal jo Quran bhi nahi padhta andrayeen(colocynth) ke phal ki tarah hai jiska maza bhi kadwa aur boo bhi kharab hoti hai
Sahih Bukhari, Jild 6, 5059
----
The example of the person who recites the Qur'an
-----------------
Narrated Abu Musa radi Allahu Anhu The Prophet () said, "The example of a believer who recites the Qur'an and acts on it, like a citron which tastes nice and smells nice. And the example of a believer who does not recite the Qur'an but acts on it, is like a date which tastes good but has no smell. And the example of a hypocrite who recites the Qur'an is like a Raihana (sweet basil) which smells good but tastes bitter And the example of a hypocrite who does not recite the Qur'an is like a colocynth which tastes bitter and has a bad smell."
Sahih Bukhari, Book 61, Hadith 579

Narrated Uqbah ibn Amir al-Juhani The Prophet () said: One who recites the Qur'an in a loud voice is like one who gives alms openly; and one who recites the Qur'an quietly is one who gives alms secretly.
Sunan Abu Dawud, Book 5, 1328-Sahih

No comments:

Post a Comment