Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 12, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 521 ❗


Only-Quran-Hadith Quiz 521

Dono sawalo ke jawab saath mein dijiye

Sawal 1 : inmein se Wo kaunse Nabee hain jo unke nikah ke waqt unki biwi ke samne mojud nahi they bulki dusre mulk mein they phir bhi unka nikah ho gaya ?

A. Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam
B. Musa Alaihi Salam
C. Sulaiman Alaihi Salam
D. Ibrahim Alaihi Salam
E. Ayyub Alaihi Salam
F. Inmein se koi nahi
G. Sahi Jawab ka intezar hai

Sawal 2 : Unki biwi ka kya naam tha jinka nikah is tara hua ?

A.Sara
B. Hajra
C. Laiyya
D. Saphoora
E. Rahima
F. Inme se koi nahi
*G. Sahi jawab ka intezar hai*
------
Kindly reply both answers together


Quiz 1 : What is the name of that prophet who was not present in his marriage ceremony (he was in another coty) yet his married happened successfully ?

A. Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam
B. Musa Alaihi Salam
C. Sulaiman Alaihi Salam
D. Ibrahim Alaihi Salam
E. Ayyub Alaihi Salam
F. None of the above
G. I want to know

Quiz 2 : What is the name of that wife who got married like this ?

A.Sara
B. Hajra
C. Laiyya
D. Shaphoora
E. Rahima
F. None of the above
G. *I want to know*


✔💯Sahi Jawab AF
Biwi ka  name Umm habiba Radi Allahu anha hai
-------------
Islam laane ke baad kuffar e Qurish se pareshan hokar Ubaydullah bin Jahsh aur Ramla (Umm Habiba Radi allahu anha jo ki makka ke sardar Abu Sufyan ki beti  thi) Habsha chale gaye jaha unke ek beti huyee jiska naam Habibah bint Ubayd-Allah rakha gaya, kuch dino ke baad Ubaydullah bin Jahsh ki wahi wafat ho gayee aur ye khabar jab Aap  Sallallahu Alahai Wasallam ko malum huyee to Rasool-Allah  Sallallahu Alaihi Wasallam ne Najjashi ko likha ki Umm Habiba bint e Abu Sufiyan Radi Allahu Anhuma  ka nikah mere sath kar do aur unko un Muslmano ke Sath Jo tumare yaha ho mere pass bhej do, Najjashi ne Rasool-Allah  Sallallahu Alaihi Wasallam  ke us paigam ko apni Khadima Abrah ke zariye Umm Habiba Radi Allahu Anha ko pauchaya wo us paigam se bahut khush huyee aur khushi mai unhone apni chandi ka jewar aur ek anguthi inam mein de di aur kaha us kaam ke liye mera wakeel bana do,Abrah ne Hazrat Khalid bin Saeed bin Al As Radi Allahu Anhu ko unka wakeel muqarrar ker diya aur unhone Umm Habiba Radi Allahu Anha Ka nikah ker diye,

Najjashi ne Rasul Allah Sallallahu Alahai Wasallam ki janib se paigam diya, Hazrat Khalid bin said Radi Allahu Anhu ne us se Umm Habiba Radi Allahu Anha ki taraf se qubul ker ke unka nikah kar diya ,Najjashi ne Chaar so (400) dinar Mehar  Hazrat Khalid bin Saeed ko diye unhone wo Umm Habiba Radi Allahu Anha ko laa ker de diye
Tarikh At tabri , Jild 2, 229

💯✔Answer AF
Wife Name : Umm habiba Radi Allahu Aaha
-----------
After accepting the islam Ubaydullah bin Jahsh and Ramla (Umm habiba radi Allahu Aaha)  emigrated to Abyssinia (Ethiopia), in order to avoid hostilities from Quraish, where she gave birth to her daughter, Habibah bint Ubayd-Allah. Ubaydullah bin Jahsh died while still in Abyssinia,

When The Prophet  Sal-Alalahu Alaihi Wasallam come to know the death of Ubaydullah bin Jahsh, he sent a message to the Negus (Najjashi-King of the Ethiopia))  that he should marry to him Umm Habibah Radi Allahu Anhu, the daughter of Abu Sufyan (Radi Allahu anhu), and should send her to him along with the Muslims who were with him.

To inform Umm Habiba of the marriage proposal, the Negus sent a slave girl of his named Abrahah to her. Umm Habibah was so overjoyed by the news that she gave Abrahah some of her silver jewelry and a ring. The Negus (najjashi) commanded Umm Habibah to appoint someone as her agent to give her in marriage, and she appointed Khalid bin Said He gave her in marriage: the Negus spoke on behalf of the Messenger of God, and Khalid spoke [for Umm Habibah] and gave Umm Habibah in marriage. The Negus called for 400 dinars as her bride gift and handed them to Khalid bin Said.

According to Umm Habibah Radi Allahu anha, who said: We departed in two ships, and he sent sailors with us. We landed at Al-Jar to Medina.
*Tarikh At tabri , Vol 8, 109*

No comments:

Post a Comment