❗ Only-Quran-Hadith Quiz 518❗
Jawab ek se
ziyada hain
Sawal : Shaitan
kis kis ke saath ho jata hai ?
A. Jo musalmano
ki jamaat se alag ho jaye
B. jo Allah ki Yaad se gafil ho jaye
C. jab gair mahram mard aurat tanhayee mein
ho
D. Qazi jab zulm
karne lag jaye
E. Jab koi
lagatar 3 Juma ki namaz chorh de
F. Jab koi biwi
bina wajah shohar se talaq le le
G. Sahi Jawab ka
intezar hai
: ❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Answer are more
than one
Quiz : Who become
accompanied by Devil?
A. The one who
separat from jamah
B. The one blinded from remembrance of
Allah
C. A (non mahram) man and woman who are
alone
D. An Unjust Judge
E. The one who dont pray three fridays
continously
F. When A wife got seprate with her husband
without any reason
G. I want to know
✦ Sahi Jawab ABCD
------------
✦ Al Quran :
Aur jo ALLAH ki yaad se ghafil ho jata hai to hum us par ek Shaitan muqarrar
kar dete hain phir wo uska saathi ban jata hai
Surah Az-Zukhruf (43) , Verse 36
✦ Hazrat Umar
Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allaha sal-Allaahu alaihi Wasallam ne
farmaya tum mein se jo shaksh jannat mein thikana chahta hai usko chahiye ki
(musalmano ki) Jamaat ko lazim pakad le kyunki akele aadmi ke saath shaitan ho
jata hai aur do (musalmano) se dur rahta hai, tum mein se koi shaksh kisi aurat ke saath tanha na baithe
kyunki un do ke saath teesra shaitan hota hai, aur jis shaksh ko apne neik kaam
se khushi ho aur burey kaam se gam ho to wo momeen hai
jamia Tirmizi, Jild 2, 37-Sahih
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne
farmaya beshak Allah subhanahu Qazi (judge) ke saath us waqt tak hota hai jab
tak ki wo zulm na kare aur jaise hi wo zulm karta hai to Allah Subhanahu uska
saath chorh deta hai aur shaitan uske saath ho jata hai
jamia Tirmizi, Jild 1, 1340-Sahih
✔💯Answer ABCD
----------------
✦ Al Quran : And whoever is blinded from
remembrance of the Most Merciful ( ALLAH) - We appoint for him a devil, and he
is to him a companion.
Surah Az-Zukhruf (43) , Verse 36
✦ It was
narrated from Umar Radi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said
Behold! A man is not alone with a (non mahram) woman but the third of them is
Ash-Shaitan. Adhere to the Jama'ah, beware of separation, for indeed
Ash-Shaitan is with one, and he is further away from two. Whoever wants the
best place in Paradise, then let him stick to the Jama'ah. Whoever rejoices
with his good deeds and grieves over his evil deeds, then that is the believer
among you.'"
jamia Tirmizi,Book 7, 2165-Sahih
✦ The Messenger
of Allah (ﷺ) said [Indeed] Allah is with the judge as long as he is not
unjust. So when he is unjust, He leaves him and he is accompanied by Shaitan.
jamia Tirmizi, Book 13, 1330-Hasan
No comments:
Post a Comment