Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, September 6, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 490❗


  Only-Quran-Hadith Quiz 490


Pahle sawal mein Jawab ek se ziayada hain

Sawal : Adam Alaihi Salam ki takhleeq aur farishto ke suzud ke baad jab Allah Subnanahu ne apne haath ko band kiya aur Adam Alaihi salam ke samne wapas khola to usmein Adam Alaihi salam ko kya dikha ?

A. Tamam Aulad e Adam ki tasweere
B  tamam Aulad e Adam ki Umar
C. Tamam Aulad Adam ke achhe aur bure amal
D. Tamam makhluqat ki sifat aur naam
E. Tamam Aulad e Adam ka jannat aur dozakh ka thikana
F. Tamam Makhluqat ki rooh
G. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Adam Alaihi salam ne us waqt sabse zyada noorani kisko dekha ?

A. Musa Alaihi Salam
B. Dawud Alaihi Salam
C. Isa Alaihi Salam
D. Idris Alaihi Salam
E. Ibrahim Alaihi Salam
F. Yahya Alaihi Salam
G. Sahi Jawab ka intezar hai


  Only-Quran-Hadith Quiz

Answers are more than one

Quiz : After the creation of Adam Alaihi salam and prostration of the angels, Allah closed His hand and then opened again , that time what Adam saw in his hand ?

A. The Pictures of All his descendant
B. The Age of All his descendant
C. The good and evils deeds of All his descendant
D. The Place in the Hell or heaven for his descendant
E. The birth place of All Prophets
F. The spirit of all creations
G. I want to know

Quiz 2 : That time to whom Adam Alaihi salam found that he has the most light (noor) ?

A. Musa Alaihi Salam
B. Dawud Alaihi Salam
C. Isa Alaihi Salam
D. Idris Alaihi Salam
E. Ibrahim Alaihi Salam
F. Yahya Alaihi Salam
G. I want to know


: 💯 Sahi Jawab AB  B
-----------
(Adam Alaihi Salam ki takhleeq aur Farishto ke sazda karne ke baad) Allah subhanahu ne Adam alaihi salam ke samne do muththiya bharee aur haath ko band kiya aur farmaya ki inmein se ek ko ikhtiyar kar lo, Adam alaihi salam ne dahini taraf wali Muththi ikhtiyar ki aur Allah subhanahu ke dono janib dahine hi hain , Allah subhanahu ne jab unke samne muththi kholi usmein Adam Alaihi Salam ke tamam Aulad ki tasweere thi aur har insan ke saath unki umar bhi likhi huyee thi aur Adam alaihi salam ki umar 1000 saal darj thi .

usmein se ek jamat bahut noorani thi , Adam Alaihi Salam ne pucha ki mere RABB ye kaun log hain jin par noor chaya hua hai , farmaya ye Nabiyo aur Rasoolo ki jamat hai jo mere bando ki taraf bheje jayenge us jamat mein se ek sahab Nooraniyat mein kuch zyada numaya they magar unki umar sirf 40 saal likhi thi Adam alaihi salam ne kaha ki  ye kya hai unmein se sabse zyada chamakdar aur roshan chehre wale ki umar sirf 40 saal hai farmaya yahi uski taqdeer mein likha hai.

Adam Alaihi Salam ne arz kiya eh mere RABB meri umar mein se 60 saal kam karke unko de dijiye.Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab Allah subhanahu ne adam alaihi salam ko zameen par utara aur kuch arsa guzar jaane ke baad jabn unki rooh qaz karne malik al maut aaye to Adam alaihi salam ne farmaya Eh malik al maut tum mere paas waqt se pahle nahi aa gaye kya?

Malik al maut ne kaha ki maine aisa nahi kiya to Adam alaihi salam ne kaha abhi meri umar mein se 60 saal baqi hai Malik AL maut ne kaha ki aapki umar mein se ab kuch baqi nahi hai apane apne RABB se darkhwast ki thi ki aapki umar mein se 60saal kam karke aapke bete dawud Alaihi salam ko de diya jaye , Adam Alaihi salam ne kaha maine aisa nahi kaha tha.

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Adam Alahi salam bhul gaye aur unki aulad bhi usee tarah bhul jati hai aur Adam Alaihi salam ne inkar kiya aur unki aulad bhi isee tarah inkar karti hai , isliye Allah subhanahu Qayamat ke din (aamal namo ki) likhi huyee kitab rakhega aur gawaho ke saath faisla farmayega
Tarikh At Tabri- Jild 1, Page 107-Hasan

Arabic text with Hasan  sanad
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=334&pid=376624&hid=178

 💯✔ Correct Answer AB B
------------
Narrated by Abu Hurairah Radi ALlahu Anhu that the Prophet: God created Adam with His own hand and blew some
of His spirit into him. He commanded the angels to prostrate themselves before Adam, and they did. Adam sat
down, then sneezed and said: Praise be to God! His Lord said to him: May your Lord show mercy unto you! Go to
that multitude of angels and say to them : Peace be upon you! He went and saidto them: Peace be upon you! and they
responded: And upon you be peace and the mercy of God! Adam then returned to his Lord who said to him: This is your greeting and the greeting for your progeny to use among themselves.

Then God closed His hand and said to Adam: Pick and choose! Adam said: I choose the right of my Lord. Both
His hands are right hands. God opened His hand for him, and behold, there was the picture of Adam and all his descendant (Progeny) and there was the age of each one written down with God. For Adam, a life of a thousand years had been written down.  There were people there crowned by light (Noor).

When Adam asked his Lord who they were, God replied: They are the prophets and messengers whom I shall send to My servants. Among them, there is a man who is the most luminous of them. However, a life of only forty years was
written down for him. Adam asked:  my Lord! Why is a life of only forty  years written down for this most luminous man among them ? God said:That is what was written down for him. So Adam said : my Lord ! Shorten my life by sixty years for him!

Now, the Messenger of God said: When God had settled Adam in Paradise and then had
cast him down to earth, Adam used to count his days. So, when the Angel of Death came to seize him, Adam said to him: You  have come too early, Angel of Death. The Angel of Death replied: I didnot. Adam said: Sixty years of my life still remain. The Angel of Death replied: Nothing remains of your life. You asked your Lord to write (those sixty years) down for your son David (dawud Alaihi salam) . Adam replied: I did not.

The Messenger of God continued : Adam forgot, and so did his progeny. Adam denied it, and so did his progeny. On that day, God established written documents and  commanded (the use of) witnesses
Tarikh At Tabri , Vol 1, Pge 328-Hasan

Arabic text with Hasan  sanad
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=334&pid=376624&hid=178

No comments:

Post a Comment