Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Wednesday, September 5, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 466 ❗


Only-Quran-Hadith Quiz 466


Jawab Ek se zyada hain

*Sawal : Inme se wo kaun kaun se kaam hai jisko karte rahne se insan gunaho se aise paak ho jayega jaise wo abhi maa ke pet se paida hua ho ?*

A. Takleef mein bhi achchi tarah Wuzu karna
B. Yateem aur miskeen ki madad karte rahna
C. Masjid mein namaz ke baad thaharna
D. jamat ke liye paidal chal kar jana
E. Tahajjud ki Namaz padhna
F. Waldein ki farmabardari krna
G. Logo ke saath achche akhlaq se pesh aana
H. Sahi jawab ka intezar hai
____________
Only-Quran-Hadith Quiz

Answers are more than one

*Quiz : What are those deeds if any muslim will follow it continuously he will be like that day as his mother born him (means no sins will be remained)*

A. Doing Ablution (Al-Wudu), in difficulty,
B. Helping to the Orphan and Poor
C. Staying  in the Masjid after the Salat,
D. Walking on the feet to the congregation,
E. Praying Tahajjud Prayer
F. Obey to the parents
G. Deal people with good manners
H. I want to know


*Sahi jawab ACD*
------
Mafhum-e-Hadith : in teen kamo ko karne wale ke gunah aise khatam ho jayenge jaise maa ke pet se paida hua ho
--------------------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya aaj raat (khwab mein) mera RABB mere paas behatreen surat mein aaya aur pucha ki Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam kya tum jante ho ki muqarrab farishte kis baat par jhagadte hain maine arz kiya nahi, phir Allah Subhanahu ne apna haath mere shano ke darmiyan rakha aur maine us ki thandak apne seene par mehsus ki aur maine jaan liya ki aasman aur zameen ke darmiyan kya kya hai.

Phir Allah subhanahu ne dobara pucha ki ki Muhammed Sal-Allahu Alaihi wasallam kya tum jante ho ki muqarrab farishte kis baat par jhagadte hain maine arz kiya ji haan kaffarat (jinse gunah mit jate hain) ke baare mein jhagad rahe hain aur kaffarat ye hai
1. Masjid mein namaz ke baad thaharna
2. jamat ke liye paidal chalna
3. Takleef mein bhi achchi tarah Wuzu karna

Jo ye amal karta hai wo khair ke saath zinda rahta hai aur khair hi ke saath marta hai aur wo gunaho se aise paak ho jayega jaise wo paidayeesh ke waqt tha
(yani abhi maa ke pet se paida hua ho)
jamia Tirmizi, Jils 3 , 1159-Hasan
_____________
*Correct Answer ACD*
------------
Narrated by Ibn 'Abbas that the Messenger of Allah () said: "During the night, my Lord, Blessed is He, and Most High, came to me in the best of appearances." He (one of the narrators) said - I think he said it was during a dream - "So he said: 'O Muhammad Sal-Allahu Alaihi wasallam ! Do you know in what the most exalted group busy themselves with?'"

He said: "I said: No He said: "So He placed His Hand between my shoulders, until I sensed its coolness between my breast." - or he said: "on my throat, so I knew what was in the heavens, and what was in the earth. He said: 'O Muhammad Sal-Allahu Alaihi wasallam! Do you know in what the most exalted group busy themselves with?' I said: 'Yes, in the acts that atone: and the acts that atone are;
1. Staying  in the Masjid after the Salat,
2. Walking on the feet to the congregation,
3. Doing Ablution (Al-Wudu), in difficulty,

and whoever does that, he lives in goodness and dies upon goodness, and his sins shall be like that of the day his mother born him.'
Jamia Tirmizi, Book 44, Hadith 3233-Hasan (Part)

No comments:

Post a Comment