❗ Only-Quran-Hadith Quiz 478❗
Dono sawalo ke jawab saath mein dijiye is
tarah AB / CD
✦ Kuch logo ne
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi Wasallam se ek makhluq ke baare mein pucha to us
waqt Allah subnanahu ne Wahi nazil farmayee aur kaha ki Aap farma dijiye ki
logo ko uska ilm bahut hi kam diya gaya hai ?
Sawal 1 : Wo kaunsi makhluq thi jiske baare
mein yaha sawal kiya gaya tha ?
A. Allah ka arsh
B. Rooh
C. Maut
D. Malik Al Maut
(Izrael Alaihi Salam)
E. Inmein se koi
nahi
F. Sahi jawab ka
intezar hai
Sawal 2 : Jab logo ne ye sawal pucha aur wahi ka
nuzul hua us waqt Aap Sal-Allaahu alaihi Wasallam ke saath kaunse sahabi they ?
A. Umar Radi
Allahu Anhu
B. Abdullah bin
masood Radi Allahu Anhu
C. Zaid Radi
Allahu Anhu
D. Abu saeed khudri
Radi Allahu Anhu
E. Inmein se koi
nahi
F. Sahi jawab ka
intezar hai
_________
❗
Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Kindly reply both quiz together like this
AB / CA
✦ Some people
asked to prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam about a creation and Allah subhanahu
send revelation that mankind have been given only a little knowledge about this
Quiz 1 : According above phrase What is
that creation people asked about ?
A. The throne of Allah
B. Spirit
C. Death
D. Angel of Death (Izrael Alaihi Salam)
E. None of the above
F. I want to know
Quiz 2 : When the people asked that
question and the revelation came down that time Which Sahabi was accompanied
with the prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam
?
A. Umar Radi Allahu Anhu
B. Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu
C. Zaid Radi Allahu Anhu
D. Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu
E. None of the above
F. I want to know
💯 Sahi Jawab BB ✔
----------
وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الرُّوحِ ۖ قُلِ
الرُّوحُ مِنْ أَمْرِ رَبِّي وَمَا أُوتِيتُم مِّنَ الْعِلْمِ إِلَّا قَلِيلًا
----------
Al Quran : Aur ye log Aapse Rooh ke baare
mein sawal karte hain unse kah dijiye ki ye mere RABB ke hukm se hai aur tumhe
(logo ko) jo ilm diya gaya hai wo bahut hi thoda hai
Surah Al Isra (17), 85
----------
Hadith : Abdullah bin masood Radi Allahu
Anhu se rivayat hai ki wo kahte hain ek martaba mein Rasool-Allah Sal-Allahu
Alaihi Wasallam ke saath madine ke khandaro mein chal raha tha aur aap khajoor ki chadi par sahara dekar
chal rahe they to kuch yahudiyo ka udhar se guzar hua usmein se ek ne kaha ki
Aapse rooh ke baare mein kuch pucho , dusre ne kaha ki mat pucho kahi ais ana
ho ki wo kuch aisee baat kah de jo tumhe pasand na aaye , magar unmein se kuch
ne
kaha ki hum jarur puchenge phir ek yahudi
shakhs khada hua aur kaha ki Eh Abul Qasim Sal-Allahu Alaihi Wasallam Rooh kya cheez hai , Aap Sal-Allahu Alaihi
Wasallam ne khamoshi ikhtyar farmayee ,
maine (dil mein) kaha ki Aap par wahi nazil ho rahi hai is liye main khada ho
gaya jab Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam
se wo wahi ki kefiyat dur ho gayee to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne
Quran ki ye aayat tilawat farmaya
وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الرُّوحِ ۖ قُلِ
الرُّوحُ مِنْ أَمْرِ رَبِّي وَمَا أُوتِيتُم مِّنَ الْعِلْمِ إِلَّا قَلِيلًا
Aur ye log Aapse Rooh ke baare mein sawal
karte hain unse kah dijiye ki ye mere RABB ke hukm se hai aur tumhe (logo ko)
jo ilm diya gaya hai wo bahut hi thoda hai
Sahih Bukhari, Jild 1, 125
_______
💯
Correct Answer BB ✔
----------
وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الرُّوحِ ۖ قُلِ
الرُّوحُ مِنْ أَمْرِ رَبِّي وَمَا أُوتِيتُم مِّنَ الْعِلْمِ إِلَّا قَلِيلًا
----------
And they ask you (O Muhammad ﷺ)
concerning the Ruh (the Spirit); Say: "The soul is of the affair of my
Lord, you (mankind) have been given only a little knowledge (regarding
this)"
Surah Al Isra (17), 85
----------
Narrated Abdullah bin masood Radi Allahu
Anhu While I was going with the Prophet (ﷺ)
through the ruins of Medina and he was reclining on a date-palm leaf stalk,
some Jews passed by. Some of them said to the others: Ask him (the Prophet)
about the spirit. Some of them said that they should not ask him that question
as he might give a reply which would displease them. But some of them insisted
on asking, and so one of them stood up and asked, "O Abul-Qasim !
What is the spirit?" The Prophet (ﷺ)
remained quiet. I thought he was being inspired Divinely. So I stayed till that
state of the Prophet (while being inspired) was over. The Prophet (ﷺ)
then said,
وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الرُّوحِ ۖ قُلِ
الرُّوحُ مِنْ أَمْرِ رَبِّي وَمَا أُوتِيتُم مِّنَ الْعِلْمِ إِلَّا قَلِيلًا
And they ask you (O Muhammad ﷺ)
concerning the Ruh (the Spirit); Say: "The soul is of the affair of my
Lord, you (mankind) have been given only a little knowledge (regarding
this)"
Sahih Bukhari, Book 3, 127
No comments:
Post a Comment