Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, September 6, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 486 ❗


Only-Quran-Hadith Quiz 486

Pahle sawal mein jawab ek se zyada hain

Sawal 1 : Ek sahabi ne Rasool-Allah Sal-Alalahu alaihi Wasallam se sawal kiya ki aapko puri tarah ilm aur yaqeen ke saath kaise malum hua ki Aap nabee hain to Aapne uske jaawab mein kaun kaun se waqye sunaye ?

A. Shaq e Qalb (Sadar)
B. Gaar e Hira ki pahli wahi ke nuzul ka waqya
C. Shab e Mairaj ka waqya
D. Dusri wahi ke nuzul ka waqya
E. Fasrishto ka Unke wajan ko tolna
F. Sahi jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Ek baar farishte Aap Sal-Allahu alaihi Waslalam ka wajan tolne aaye aur kuch logo ke muqable mein Aapka wajan tolne ke baad aakhir mein kya kaha ?

A. Inka wajan 10,000 ke muqable mein bhi bhari hoga
B. Inka wajan 70,000 ke muqable mein bhi bhari hoga
C. Inka wajan Allah ki tamam makhluq se  bhi bhari hoga
D. Inka wajan tamam ummat se bhi bhari hoga
E. Inmein se kuch nahi kaha
F. Sahi Jawab ka intezar hai

  Only-Quran-Hadith Quiz

First questions has more than one anwer

Quiz 1 : Once a companion asked to Prophet Sal-Allaahu alaihi Wasallam that how how did you first know suerly that you are a prophet, in his response what incidents he described ?

A. Opening his breast by angels
B. The incident of first revelation in cave of Hira
C. The incident of the night of journey
D. The incident of the second revelation
E. The mesuring his Weight by angels
F. I want to know


Quiz 2 : Once the angels decided to measure the weight of the prophet Sal-Allahu alaihi wasallam , and  after weighing him with some people what was their final conclusion ?

G. He would be outweighed from 10,000 people
H. He would be outweighed from 70,000 people
I. He would be outweighed from All creations of Allah
J. He would be outweighed from whole of his ummah
K. None of the above
L. I want to know


 💯✔ Sahi Jawab AEJ
-------------
Hazrat Abu Zar Gaffari Radi Allahi Anhu se rivayat hai maine Rasul-Allah Sallahahu Alahai Wasllam se pucha ke puri  tarha ilm aur yaqeen hone tak Aap ko kaise malum hua ke Aap Nabi (Sallahahu Alahai Wasllam) hain , Aap Sallahahu Alahai Wasllam ne farmaye Abu Zar Radiallah Anhu Mein bateha Makka mai kisi jagha tha do farishtein mere pass aaye ek Zameen per utar gaya aur dusra Asman aur Zameen ke darmiyaan thehra reha ,ek ne dusre se pucha kya ye(Nabi Sallahahu Alahai Wasllam) wahi hai,Us ne kahan haan Ye(Nabi Sallahahu Alahai Wasllam) wahi hai us ne kaha acha to inko ek aadmi se wazan karo mujhe 1 shaks ke muqabil mai tola gaya Mein(Nabi Sallahahu Alahai Wasllam) unse bhari nikla phir ek farishte ne dusre se kahan ke Innko 10 admiyo se tolo Mujhe Us se tola gaya Mein Un per bhi bhari hua ,phir us ne kahan 100 se tolo ,mujhe 100 se tola gaya,mai unse bhi jhukta hua reha ,phir us ne kahan 1000 se tolo mujhe hazar se tola gaya,mein unse bhi bhari nikla, Ab farishte tarazu ke dusre paldre per mere muqabil wazan badhata reha ,akhir mein ek ne dusre se kaha ager tum Innko inn ki tammam Ummat ke muqabil mai bhi rekh ker tologe innhen ka wazan zyada hoga.

Phir ek ne dusre se kaha unka pait chaak kero usne mera pait chaak kiya dusre ne kahan unka Qalb nikal lo ya ye kahan ke Qalb (dil) Shaq karo usne mere Qalb cheer kar us se mehal khatrat Shaitani aur khoon ke lothrey ko nikal ker phenk diya phir ek ne dusre se kaha Unke pait ko iss terha dho dalo jis tarah barthan dhoya jata hai aur Unke Qalb ko bhi us se tarha dho dalo ya ye kahan ke Unke Qalb ko iss tarha dho dalo jis tarha Kapda dhoya jata hai phir usne ek Churi talb ki Jo Safaid billi ke Chehre ke mushabe thi wo mere qalb mai dakhil ki gayee,phir ek farishte ne dusre apne Saathi se kahan ke Unke pait per nishan kero, undono ne mere pait per nishaan dal diye aur Mehar ko mere dono shaanoh ke darmiyaan ker diya, uske bad hi wo mere samne se chale gaye ye waqiya mujhe iss tarha yaad hai ke goya ab meri nazroh ke samne hai
Tarikh At tabri, Jild 2, Page 62-Hasan

Arabic text with Hasan Sanad:
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=334&pid=376742&hid=422

 💯✔ Correct answer AEJ
--------------
Narrated by Abu Dharr Al-Ghifari RAdi Alahu anhu: I Asked to Prophet Sal-Allaahu alaihi Wasallam "0 Messenger of God, how did you first know with absolute certainty that you were a prophet?" "Abu Dharr," he replied, "two angels came to me while I was somewhere in the Valley of Mecca. One of them came down to earth, while the other remained between heaven and earth. One of them said to the other, 'Is this he?' and the other replied, 'It is he.' 'Weigh him against a man,' he said, so I was weighed against a man and outweighed him. 'Weigh him against ten,' he said, so he weighed
me against ten and I outweighed them. Then he said, 'Weigh him against a hundred,' so he weighed me against a hundred and I outweighed them. Then he said, 'Weigh him against a thousand.' Sohe weighed me against a thousand and I outweighed them. People began to be scattered over me from the pan of the balance, and one angel said to the other, 'If you were to weigh him against the whole of his community (ummah) he would outweigh them.'

"Then one said to the other, 'Open his breast.' He opened my breast, and then he said, 'Take out his heart' or'open his heart.' He opened my heart, and took out from it the pollution of Satan and the clot of blood, and threw them away. Then one said to the other, 'Wash his breast as you would a receptacle-or, wash his heart as you would a covering.' Then he summoned the sakinah, which looked like the face of a white cat, and it was placed in my heart. Then one of them said to the other, 'Sew up his breast.' So they sewed up my breast and placed the seal between my shoulders. No sooner had they done this than they turned away from me. While this was happening I was watching it as though I were a bystander."
Tarikh At tabri, Vol 6, Page 75-Hasan

Arabic text with Hasan Sanad:
http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=334&pid=376742&hid=422

No comments:

Post a Comment