Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, September 6, 2018

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 488 ❗



Only-Quran-Hadith Quiz 488 


Dono sawalo ke jawab saath mein dijiye

Ek baar ek sahabi they jinke pass bahut sari khajurein thi unhone dekha ki khajurein kam hone lagi hain to unhone nigrani ki to ek chor ko pakad liya jiski khasiyat ye thi ki uska  haath jaanwar ki tarah tha magar wo insan ke jaisa dikhta tha, jab malum kiya to pata chala ki wo jinn tha

Sawal 1 : Wo jinn unke waha khajurien kyu churane aaya tha ?

A. Kyunki un Sahabi ko sadqa karna pasand tha
B. Kyunki wo bait ul maal ki khajure thi
C. Kyunki Wo Ramzan ka sadqa tha
D. kyunki us Jinn  ko iblis ne bheja tha
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2 : Wo sahabi kaun they jinhone us jinn ko pakda tha ?

A. Ubay ibn Kab Radi Allahu Anhu
B. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu
C. Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu
D. Yahya Radi Allahu Anhu
E. Inmein se koi nahi
F. Sahi Jawab ka intezar hai


  Only-Quran-Hadith Quiz

Kindly reply both quiz together

Once there was a sahabi who used to have lot of dates once he noticed that dates are being less so one night he started watching the dates and he caught a
thief who has hand like an animal but looks like human, he was a Jinn.

Quiz 1 : Why that jinn came to steal the dates of that sahabi ?

A. Because that Sahabi used to give lot of charity
B. Because  that dates belong to Bait Al Maal ( House of waealth)
C. Because that dates belong to the Ramadan charity
D. Because that jiss was being sent by iblis
E. None of the above
F. I want to know


Quiz 2 : Who was that sahabi who caught that jinn ?

A. Ubay ibn Kab Radi Allahu Anhu
B. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu
C. Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu
D. Yahya Radi Allahu Anhu
E. None of the above
F. I want to know


 ✔💯 Sahi jawab AA 💯
---------------
Ubay ibn Kab radi allahu anhu se rivayat hai ki unka ek khajur sukhane ka maidan tha jismein khajurein thi , wo uski nigrani kiya karte they ek din dekha ki khajurie kam hain  to wo uska pahra dene lage unhone dekha ki ek jaanwar hai jo balig ladke ki tarah dikhta hai, unhone usko salam kiya to usne salam ka jawab diya unhone pucha ki tum jinn ho ya insan usne kaha jinn , unhone (Ubay ibn kaab radi allahu anhu ne) kaha ki mujhe apna haath dikhao , usne apna hatah dikhaya to dekhte hain ki uska haath ek kutte ki tarah hai aur us par kutte ki tarah ke baal hain unhone kaha ki jinn ki takhleeq is tarah hoti hai kya ? usne kaha ki jinnat jante hain unmein mujhse taqatwar koi nahi phir unhone us se pucha ki tumhe is kaam par kisne majbur kiya ? usne kaha humein khabar mili thi ki tum aise shakhs ho jo sadqa pasand karte ho isliye humne socha ki hum bhi aapka khana khaye , phir unhone  (Ubay ibn kaab radi allahu anhu ne) pucha ki humko tumse kaunsi cheez panah deti hai usne kaha Aayat Al kursi , dusre din Ubay ibn kaab radi Allahu anhu Rasool-Allah Sal-Allaahu
Alaihi Wasallam ke pass gaye aur aapko sara waqya sunaya to Aap Sal-Allaahu alaihi Wasallam ne farmaya us khabees ne sach kaha
Sahi Ibn Hibban,791-Sahih
Al-Silsila-tus-Sahiha-2861
At Tabrani, 542-Hasan



 ✔💯 Correct Answer AA
---------------
Narrate from Ubay ibn Ka’b (RadiAllahu Anhu) that he used to have a field of dates and he used to guard it but as time passed by he noticed that dates are being less, One night he planned to guard it, but he saw an (animal) in shape of a young boy. Ubay Ibn Ka’b offered him greetings and he replied back. Ibn Ka’b asked him whether he was a human or Jinn? He replied: He was Jinn! Ubayy asked him to show his hand, Ubayy saw that his hand was like that of a dog and
it had hair on it like dog does. Ubayy asked: Are Jinns created in this fashion? He replied: Some Jinns are even more stranger than me. Ubayy asked: Who compelled you to do this (i.e. steal from my field) he replied: I have heard that you love to give Sadaqa so I thought of taking (stealing) something from you. Ubayy asked: What is it that can protect us from you? The Jinn replied: “Ayat al Kursi” which is in Surah al-Baqarah, whosoever recites it in the evening will be safe from our Sharr till the morning, and whosoever recites it in the morning he will be safe from us till evening. On next morning Ibn Ka’b went to the Prophet (Peace be upon him) and told him about this, the Prophet (Peace be upon him) said: The “Khabeeth told the truth”.
Sahi Ibn Hibban,791-Sahih
Al-Silsila-tus-Sahiha-2861
At Tabrani, 542-Hasan

No comments:

Post a Comment