❗ Only-Quran-Hadith Quiz 503❗
Dono sawalo ke jawab ek se zayada hain
Sawal 1 : Bait Al mamoor ki kya khasiyat
hai ?
A. Wo Allah ke Arsh ke kareeb hai
B. Inmein rozana 700000 farishte namaz
padhte hain
C. Waha ek baar jo farishta Namaz padh leta
hai wo wapas kabhi nahi aa sakta
D. Rozana waha 70000 farishte Durud o salam
padhte hai
E. Wo saatve aasman par hai
F. Rozana waha 70000 farishte namaz padhte
hain
G. Sahi jawab ka
intezar hai
Sawal 2 : Ismein se kaun kaun si Zahiri nahrein hain jo
Sidrat Al muntaha se nikli huyee hain?
H. Neel
I. Saihan
J. Furat
K. jaihan
L. Zanzabil
M. Sahi Jawab ka intezar hai
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
Both Questions has more than one answers?
Quiz 1 : What is the features of Bait Al
Mamoor ?
A. its near the throne of Allah
B. Daily 70000 angels send blessing on
Prophet Sal-Alahu Alaihi Wasallam
C. Any angels who come there once to pray,
can not come back again.
D. Daily 700000 angelys perform prayers
there.
E. its in the 7th heaven
F. Daily 70000 angels perform prayers
there.
G. I want to know
Quiz 2
: Name the apparent rivers ,
which is originated from the root of the Sidrat Al Muntaha?
H. Neel
I. Saihan
J. Furat
K. jaihan
L. Zanzabil
M. I want to know
💯✔ Sahi Jawab - CEF HJ ✔
--------------
Rasool-Allah sal-Alalahu Alaihi Wasallam ne
mairaj ka waqya bayan karte huye farmaya iske baad hum satwe aasman par aaye
Aur mujhe Bait Al mamur dikhaya gaya maine jibrail alaihi salam se iske baare
mein pucha to unhone kaha ye bait Al mamur hai ismein 70,000 farishte rozana
namaz padhte hain aur ek martba jo farishta ismein se padhkar nikal jata hai wo
phir kabhi wapas dakhil nahi hota iske baad mujhe Sidrat Al Muntaha bhi dikhaya
gaya, is ke phal aise they jaise maqam hijar ke matke hote hain aur Patte aise
they jaise haathi ke kaan, iski jadd se
chaar nahrein nikalti thi, do nahrein to baatini (chupi huyee) thi aur do
zahiri, maine Jibril Alaihi salam se
poocha to unhone bataya ke jo do baatini nehrein hain woh to jannat mein
hain aur do zahiri nahrein duniya mein neel aur furaat hain.
Sahi Bukhari , 3207 (Part)
💯✔ Answer CEF HJ ✔
-------
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam was
decribing the event of the night of journey and said ..Then we ( Me and jibril
alaihi salam) ascended to the seventh heaven I was shown Al-Bait-al-Ma'mur
(i.e. Allah's House). I asked Gabriel about it and he said, This is Al
Bait-ul-Ma'mur where 70,000 angels perform prayers daily and when they leave
they never return to it (but always a fresh batch comes into it daily).
Then I was shown Sidrat-ul-Muntaha (a tree
in the seventh heaven) and I saw its Nabk fruits which resembled the clay jugs
of Hajr (i.e. a town in Arabia), and its leaves were like the ears of
elephants, and four rivers originated at its root, two of them were apparent
and two were hidden. I asked Gabriel about those rivers and he said, 'The two
hidden rivers are in Paradise, and the apparent ones are the Nile and the
Euphrates.
Sahih Bukhari,Book 54, 429 (Part)
No comments:
Post a Comment