❗
Only-Quran-Hadith Quiz 530❗
Quiz mein do sawal hain
Ek sahabi itne khubsurat they ki ek baar
unhone nahane ke liye apna kurta utara aur dusre sahabi ki un par nazar
padhi, jis se wo usee waqt nazar lagne
se behosh ho gaye.
Sawal 1 : Jinko nazar lagi un sahabi ka kya
naam hai ?
A. Aamir bin Rabiya
B. Musaib bin umer
C. Sahal bin Saad
D. Aamir bin Aswad
E. Sahal bin Hunaif
F. Inmein se koi
nahi
G. Sahi jawab ka
intezar hai
(Radi Allahu
Anhuma)
Sawal 2 :
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ko jab
ye khabar mili to Aapne unke pass jakar kya dua farmayee jis se wo foran
khade ho gaye wo dua kya
thi?
A. Awuzu bi
kalimatillaahi At-tamaati min sharri ma khalaq
B. Awuzu bi
kalimatillahi At-tammati min kulli shaytaanin
wa hammatin wa
min kulli aynin lammah
C. Allahumma Azhib Anhu Harraha , Wa
Bardaha, Wa Wasabaha
D. Surah Al-Falaq
& Surah An Naas
E. Surah fatiha
F. Inmein se koi
nahi
G. Sahi jawab ka
intezar hai
❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗
A sahabi was so
handsome , once they took off his jubbah (cloth) to take the bath and another
sahabi saw him , becuase of the effect of his eye he fell down same time.
Quiz 1 : What is the name of that sahabi
who fell down due to the effect of eye?
A. Aamir bin Rabiya
B. Musaib bin umer
C. Sahal bin Saad
D. Aamir bin Aswad
E. Sahal bin Hunaif
F. None of the above
G. I want to know
(Radi Allahu Anhuma)
Quiz 2 : As soon as the Prophet Sal-Allahu
Alaihi wasallam came to know this news he came there and recite a dua by which
that sahabi again got up instantly What was that dua ?
A. Auzu bi kalimatillaahi at-tamaati min
sharri ma khalaq.
B. Awuzu bi kalimatillahi At-tammati min
kulli shaytaanin
wa hammatin wa
min kulli aynin lammah
C. Allahumma Azhib Anhu Harraha , Wa
Bardaha, Wa Wasabaha
D. Surah Al-Falaq & Surah An Naas
E. Surah fatiha
F. None of the above
G. I want to know
Sahi Jawab EC
----------------
Abdullah bin umar se rivayat hai ki Aamir ban Rabia aur sahal ban hunaif ghusal
ke iraday se ja tahe they aur jharion ki oot talaash kar rahay thay, Sahal bin
hunaif Radi Allahu Anhu ne ne apna oon
ka jubba utaar kr ek taraf rakha, Aamir bin rabia Radi Allahu Anhu farmate hain
ki main ne unki taraf dekha to unko meri nazar lag gayee jaise hi Wo pani mein gusal krne ke liye daakhil huye
to Pani mein Ek dhamaka (goonj) hua (Mishkat sharif ki sahi rivayat mein hai ki
unhone unke badan ko dekh kar kaha tha ki maine aaj tak itna khubsurat badan
kisi ka nahi dekha , kisi kuwari ladki ka bhi nahi) aage Aamir radi allahu anhu
kahte hain ki maine unke paas aaya aur unko 3 martaba aawaz di to unhone jawab
nahi diya. Main Nabee Sal-Allahu Alaihi wasallam ke pass aaya aur Aapko khabar
di Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam tashreef laye aur paani mein dakhil ho gaye ,
Aapke pindliyo ki safedi mujhe ab bhi yaad hai, Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam
ne unke seene par haath maara aur
farmaya
اللهم أَذْهِبْ عَنْهُ حَرَّهَا
وَبَرْدَهَا وَوَصَبَهَا
Allahumma Azhib Anhu Harraha , Wa Bardaha,
Wa Wasabaha
Ya ALLAH is se iski garmee aur iski sardi
aur iski beemari khatam kar de
To wo khade ho gaye Rasool-Allah Sal-Allahu
Alaihi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi
shakhs apne bhai mein ya uske uske jis mein ya uske maal mein koi aisee
cheez dekhe jo usko pasand ho to wo uske liye barkat ki dua kare kyunki nazar
ka lagna haq hai
Al Silsila As
Sahiha , 2042-Sahih
https://www.islamweb.com/ar/fatwa/130553/
-------------------
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَامِرٍ قَالَ
انْطَلَقَ عَامِرُ بْنُ رَبِيعَةَ وَسَهْلُ بْنُ حُنَيْفٍ يُرِيدَانِ الْغُسْلَ
قَالَ فَانْطَلَقَا يَلْتَمِسَانِ الْخُمُرَ قَالَ فَوَضَعَ عَامِرٌ (كَذاَ فِي
الْمُسْنَد وَفِي الْمُستَدْرَك: سَهْلٌ وَهُوَ الصَّوَاب) جُبَّةً كَانَتْ عَلَـيْهِ
مِـنْ صُوفٍ فَنَظَرْتُ إِلَيْهِ فَأَصَبْتُهُ بِعَيْنِي فَنَزَلَ الْمَاءَ
يَغْتَسِلُ قَالَ فَسَمِعْتُ لَهُ فِي الْمَاءِ قَرْقَعَةً فَأَتَيْتُهُ
فَنَادَيْتُهُ ثَلَاثًا فَلَمْ يُجِبْنِي فَأَتَيْتُ النَّبِيَّ ﷺ فَأَخْبَرْتُهُ فَجَاءَ يَمْشِي فَخَاضَ الْمَاءَ كَأَنِّي أَنْظُرُ إِلَى بَيَاضِ
سَاقَيْهِ قَالَ: فَضَرَبَ صَدْرَهُ بِيَدِهِ ثُمَّ قَالَ: اللهم أَذْهِبْ عَنْهُ
حَرَّهَا وَبَرْدَهَا وَوَصَبَهَا قَالَ فَقَامَ فَقَالَ رَسُولُ اللهِ ﷺ إِذَا رَأَى أَحَدُكُمْ مِنْ أَخِيهِ وَمِنْ نَفْسِهِ وَمِنْ مَالِهِ مَا يُعْجِبُهُ فَلْيُبَرِّكْهُ فَإِنَّ الْعَيْنَ
حَقٌّ.
Answer EC
------------
Narrated by Abdullah bin Umar Radi Allahu
Anhu anhu Once two Companion named Amr
bin Rabia and Sahl bin hunaif going
together with the intention of taking bath , and they were looking some bushes
(plants) to screen for bath.
Amir said that Sahal took out his jubbah
(kind of cloth) for bath and I looked at him, As soons as he enter inside to
take bath I heard a big sound from inside. ( According the Sahi narration of
mishkat Amir radi allahu anhu said I have never seen such beautiful skin as
this, not even the skin of a virgin,”
and Sahal fell down to the ground.) further he said I came to him and called him
three times he didn’t reply me so I went back to the prophet Sal-Allahu Alaihi
wasallam and said all this matter , he
came with me and enter in the water (Sahal was fell down there) , The Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam
put his hand on the chest of Sahal and said
اللهمَّ أَذْهِبْ عَنْهُ حَرَّهَا
وَبَرْدَهَا وَوَصَبَهَا
Allahumma Azhib Anhu Harraha , Wa Bardaha,
Wa Wasabaha
Oh Allah remove his heat , his cold
and his disease
After this Sahal got up. The prophet
Sal-Allahu Alaihi wasallam said When one
of you sees something he likes in his brother, or in his body or in his wealth
, pray for him to be blessed (with words
such as MaashAllah, BarakAllah). Because The effect of an evil eye is a fact.
Al Silsila As
Sahiha , 2042-Sahih
https://www.islamweb.com/ar/fatwa/130553/
-------------
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَامِرٍ قَالَ
انْطَلَقَ عَامِرُ بْنُ رَبِيعَةَ وَسَهْلُ بْنُ حُنَيْفٍ يُرِيدَانِ الْغُسْلَ
قَالَ فَانْطَلَقَا يَلْتَمِسَانِ الْخُمُرَ قَالَ فَوَضَعَ عَامِرٌ (كَذاَ فِي
الْمُسْنَد وَفِي الْمُستَدْرَك: سَهْلٌ وَهُوَ الصَّوَاب) جُبَّةً كَانَتْ
عَلَـيْهِ مِـنْ صُوفٍ فَنَظَرْتُ إِلَيْهِ فَأَصَبْتُهُ بِعَيْنِي فَنَزَلَ
الْمَاءَ يَغْتَسِلُ قَالَ فَسَمِعْتُ لَهُ فِي الْمَاءِ قَرْقَعَةً فَأَتَيْتُهُ
فَنَادَيْتُهُ ثَلَاثًا فَلَمْ يُجِبْنِي فَأَتَيْتُ النَّبِيَّ ﷺ فَأَخْبَرْتُهُ فَجَاءَ يَمْشِي فَخَاضَ الْمَاءَ كَأَنِّي أَنْظُرُ إِلَى بَيَاضِ
سَاقَيْهِ قَالَ: فَضَرَبَ صَدْرَهُ بِيَدِهِ ثُمَّ قَالَ: اللهم أَذْهِبْ عَنْهُ
حَرَّهَا وَبَرْدَهَا وَوَصَبَهَا قَالَ فَقَامَ فَقَالَ رَسُولُ اللهِ ﷺ إِذَا رَأَى أَحَدُكُمْ مِنْ أَخِيهِ وَمِنْ نَفْسِهِ وَمِنْ مَالِهِ مَا يُعْجِبُهُ فَلْيُبَرِّكْهُ فَإِنَّ
الْعَيْنَ حَقٌّ.