Search Hadith

Video of the week

Total Pageviews

Category

Search Hadith

Thursday, August 15, 2019

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 792❗

❗ Only-Quran-Hadith Quiz 792❗

Quran ki ek aayat mein hai لَا تَحْزَنْ إِنَّ اللَّهَ مَعَنَا  ( La Tahzan InnAllaha Ma'ana-Gam na karo Allah hamare saath hai) 

Sawal 1 : Ye alfaz kisne kahe they ?

A. Musa Alaihi salam
B. Ibrahim Alaihi Salam
C. Yusuf Alaihi salam
D. Ibrahim alaihi salam
E. Ismaeel Alaihi salam
F. Adam Alaihi salam
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi jawab ka intezar hai

Sawal 2 : ye Alfaz kisko kahe they ?

A. Harun Alaihi salam
B. Hajra Alaihi salam
C. Dawud Alaihi salam
D. Isameel Alaihi salam
E. Ibrahim Alaihi salam
F. Hawa Alaihi salam
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi jawab ka intezar hai



❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗

There is a verse in Quran لَا تَحْزَنْ إِنَّ اللَّهَ مَعَنَا  ( La Tahzan InnAllaha Ma'ana -Dont be sad (or afraid), surely Allah is with us)

Sawal 1 : Who said these words ?

A. Musa Alaihi salam
B. Ibrahim Alaihi Salam
C. Yusuf Alaihi salam
D. Ibrahim alaihi salam
E. Ismaeel Alaihi salam
F. Adam Alaihi salam
G. None of the above
H. I want to know

Sawal 2 : To whom it were said ?

A. Harun Alaihi salam
B. Hajra Alaihi salam
C. Dawud Alaihi salam
D. Isameel Alaihi salam
E. Ibrahim Alaihi salam
F. Hawa Alaihi salam
G. None of the above
H. I want to know


Sahi Jawab GG
Rasool-Allah SallAllaahu Alaihi Waslalam ne Hazrat Abu bakr siddiq radi allahu anhu se farmaya tha
---------
Al Quran: Agar tum unki ( Rasool-Allah ki) madad nahi karogey to Allah unka Madadgar hai (wo waqt yaad karo) jab unko kafiron ne ghar se nikal diya (us waqt) do mein(ek Abu Bakr they) aur Dusrey ( khud Rasoollallah they) jab wo dono Gaar mein they us waqt wo (Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam) apney rafeeq ko tasalli detey they ki Gam na karo Allah hamarey saath hai
Al Quran, Surah At-Taubah (9) Aayat 40

Hadith: Abu Bakr Siddiq Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki hum gaar mein they aur Mainey Mushriko ke paanw dekhey apney siron par, mainey arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam agar unmein se koi apney qadmo ki taraf dekhey to humko dekh lega Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Eh Abu Bakr tu kya samjhta hai un dono ko, jinkey saath teesra ALLAH bhi hai
Sahih Muslim, Jild 6, 6169
---------
Al Quran: If you help him (Muhammad Peace be upon him ) not , for Allah did indeed help him when the disbelievers drove him out, the second of the two; when they (Muhammad Peace be upon him and abu bakr Radi-Allahu-Anhu ) were in the cave, he (Peace be upon him) said to his companion Dont be sad (or afraid), surely Allah is with us.
Al Quran, Surah At-Taubah (9) Verse 40

Hadith: Abu Bakr Siddiq may Allah be pleased with him reported I saw the feet of the polytheists very close to us as we were in the cave. I said: Allah's Messenger, if one amongst them were to see at his feet he would have surely seen us. Thereupon Prophet Peace be upon him said: Abu Bakr, what can befall two who have Allah as the third One with them.
Sahih Muslim, Book 031, Number 5868

No comments:

Post a Comment